Shriram Finance Vehicle Loan Details (श्रीराम फाइनेंस व्हीकल लोन डिटेल्स)

अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

Shriram Finance Vehicle & Personal Loan Details (श्रीराम फाइनेंस व्हीकल और पर्सनल लोन डिटेल्स), Shriram Finance Customer Care (Contact/ Toll Free) Number: Dosto, Jab bhi hum koi vahan loan par kharidte hai to Shriram Finance Loan ka vikalp hamare samne mukhya taur par ubhar kar aata hai.

Shriram Finance Loan lokpriya hone ke piche uski processing ka jaldi hona aur grahako ke anusar suvidhayein pradan karna hai. Grahakon ko unki jarurato ke hisab se loan dene ki prakriya ne Shriram Finance Company ko hum sabka favorite bana diya hai.

Aaj ke iss article mein hum Shriram Finance Loan sambandhit jankari prapt karenge. Sath hi sath hum Shriram Finance company ke bare mein bhi janenge . Aaiye charcha karte hain, Shriram Finance loan ke bare mein.

Shriram Finance Vehicle & Personal Loan Details (श्रीराम फाइनेंस व्हीकल और पर्सनल लोन डिटेल्स), Shriram Finance Customer Care (Contact/ Toll Free) Number

Shriram Finance Vehicle & Personal Loan Details

Shriram Finance Loan aapko ek acche loan vikalp ke roop mein prapt hota hai. Shriram Finance Loan ke dwara aap apni aay ke aadhar par loan le sakte hai. Iski byaj dar 11.49% se lekar 28% tak hoti hai.

Aapko loan ko wapas karne hetu ek lachili awadhi bhi pradan ki jaati hai. Aap 3 varsh ke samay mein loan wapas kar sakte hai. Shriram Finance Loan 18 se lekar 59 varsh ke vyaktiyon ko pradan karaya jata hai. Aayiye jante hai, Shriram Finance Loan ki mukhya baaton ko.

Loan Rashi Aapki aay par nirbhar
Byaj Dar 11.49% – 28%
Samay Awadhi Adhiktam 3 varsh
Nyuntam Kist 3297 rupaye/ prati lakh
Processing Shulk 2.5% + tax
Kaun le Sakta Hai? Bhartiya vyakti self employed aur naukri pesha
Aayu Seema 18 – 59 varsh
Dishonour Charge 500

Shriram Finance Company

Dosto, jab aap koi vahan kharidte honge aur ise kharidne hetu aap ko loan ki avashyakta hoti hogi. To sabse pehle aapke samne Shriram Finance Company ka vikalp hi aata hoga.

Kyonki adhiktar log Shriram Finance Company se vehicle loan lena pasand karte hai. Shriram Finance Company ka pura naam: Shriram Finance Transport Company Limited hai. Yah Shri Ram Group ki ek company hai.

Shriram Finance Company ki sthapna san 1979 mein hui. Yah ek non banking aur registered company hai. Vartaman mein poore bharat mein iski 719 branch kaam kar rahi hai.

Shriram Finance Company ke chairman Shri Tyag Ranjan hain. Shriram Finance Company mein 2020 ke aankdo ke anusar 55000 vyakti naukri kar rahe hai. Shriram Finance Company Bharatiya Reserve Bank ke dwara registered hai.

Company ke CEO Manoj Kumar Jain hai. Company ne haal hi mein teen companyo ke sath vilay kiya hai. Jiske baad yah anuman lagaya ja raha hai, ki Shriram Finance Company Bharat ki sabse badi khudra non- banking company ubhar kar aayegi. Yah ek gair sarkari company hai.

इसे भी पढ़े Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale | आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले?

Shriram Finance Rate of Interest

Shriram Finance Company aapko vehicle loan ke alawa personal loan bhi uplabdh karate hai. Yadi hum baat kare, Shriram Finance company ke interest rate ki to yah aapki aay aur bhoot kaal ke lenden ke upar aadharit hota hai. Yadi aapka cibil score accha hai to aapko kam byaj dar par hi loan pradan karaya jata hai.

Anyatha aapke nivas sthan aur bank mein lenden ke aadhar par byaj dar mein badlav ho sakte hai. Shriram finance bank mein aapko 11.49% se lekar 28% tak byaj par loan pradan karaye jate hain. Yadi aapko 20% se kam byaj dar par Shriram Finance Company se loan mil jata hai. To yah aapke liye bahut hi accha vikalp hota hai.

Yadi aap ek self employed aur salaried person hai, to aapke liye byaj dar kam hi rakha jata hai. Kam byaj dar par loan lena aapke liye ek faydemand sauda hai. “Shriram Finance Vehicle & Personal Loan Details (श्रीराम फाइनेंस व्हीकल और पर्सनल लोन डिटेल्स), Shriram Finance Customer Care (Contact/ Toll Free) Number”

Shriram Finance Personal Loan

Shriram Finance Personal Loan aapko short aur medium term ke liye uplabdh karaye jate hai. Waise to Shriram Finance company jo vehicle loan dene ke liye jani jati hai. Magar aapko bata de ki Shriram Finance Company ke dwara personal loan bhi grahakon ko pradan karaya jata hai.

Jiske antargat aap adhiktam 3 varsh ke liye personal loan le sakte hai. Loan ki rashi aapki masik salary par bhi nirbhar karti hai. Jis prakar ki aapki salary hogi, usi ke anusar loan rashi tay ki jati hai.

Shri Ram Finance Personal Loan 18 se lekar 59 varsh ke vyaktiyon ko pradan kiya jata hai. Iske alawa yadi aavedak self employed hai to uska dhandha 2 saal purana hona chahiye. Yadi wah salaried person hai to kam se kam vah kisi sanstha ya company mein pichle 1 saal se karyarat hona chahiye.

Iske atirikt avedak ka niwas sthan pichle 1 sal se saman hona chahiye. Aur avedak ka koi bhi check bounce nahi hona chahiye. Yadi aap in sharton ko pura karte hai to aapki loan application swikar kar li jati hai. Byaj dar aapki loan application ki jaanch karne ke pashchat dekhi jati hai.

Yadi aap company ki sabhi niyam aur sharto ko pura karte hai aur aapka pichla record accha hai to aapko kam byaj dar par loan pradan kiya jata hai. Anyatha aapke liye byaj dar badhai bhi ja sakti hai. “Shriram Finance Vehicle & Personal Loan Details (श्रीराम फाइनेंस व्हीकल और पर्सनल लोन डिटेल्स), Shriram Finance Customer Care (Contact/ Toll Free) Number”

इसे भी पढ़े Pan Card Se Loan Kaise Le | पैन कार्ड से लोन कैसे लेते हैं?

Shriram Finance FD Rates

Yadi aap apne bhavishya ke liye bachat karna chahte hai. To fixed deposit aapke liye ek behtar vikalp hai. Jisme aap nivesh karne ke sath sath dhan ki suraksha aur fayda pate hai.

Savadhi jama (FD) sabse surakshit bachat vikalp hai jo aapko sunishchit return ke sath apna paisa badhane deta hai. Ye sunishchit return aapko mool rashi ki suraksha ke sath sath guarantee krit uch return ki peshkash karke behtar aur surakhsit bhavishya ke liye nivesh karne mein saksham banata hai.

FD rashi aapke aur Shriram Company ke beech invest ki tarikh se paripakvata tak swikrit byaj dar ke liye ek agreement hota hai. 12 mahine se lekar 60 mahine tak ki nivesh awadhi ke sath, Shriram city ki savadhi jama ICRA dwara “MAA +/ sthir outlook ke sath” rating ke liye ek vishvasniya FD hai.

Shriram Company ke anusar ve sarvotam FD byaj dar pradan karte hai jo aapki bachat ko surakshit roop se badhane mein aapki madad karti hai.

Shriram Finance FD Rates 2022

Samay Awadhi Masik Ek Chauthai Ardh Varshik Varshik
12 months 6.31% 6.35% 6.40% 6.50%
15 months 6.54% 6.58% 6.64% 6.75%
24 months 6.54% 6.58% 6.64% 6.75%
30 months 7.25% 7.30% 7.37% 7.50%
36 months 7.25% 7.30% 7.37% 7.50%
45 months 7.34% 7.39% 7.46% 7.60%
48 months 7.34% 7.39% 7.46% 7.60%
60 months 7.48% 7.53% 7.60% 7.75%

इसे भी पढ़े SBI Yono App Se Personal Loan Kaise Le?

Shriram Finance Personal Loan Apply Online

Aaiye dosto jante hain, Shriram Finance Personal Loan ke liye online apply kaise kare.

  • Aha, Shriram Finance Personal Loan lene ke liye aapko sabse pehle to Shriram Finance Ki official website par jana hoga.
  • Shriram Finance Loan ki official website par jane ke pashchat jab aap home page ko open karenge to aapko vibhinn prakar ke loan ke liye vikalp dikhai denge. Inke niche aapko ek vikalp dikhai dega, “Apply Now”.
  • Aapko “Apply Now” par click karne ke pashchat aage badhna hai. Ab aapse aap ki basic jankari mangi jayegi. Jaise ki aapka naam, mobile number, niwas sthan, pan card ityadi.
  • Uske baad aapko proceed par click karna hai. Proceed par click karne ke pashchat aapko apne avashyak dastavejo ko upload karna hoga. (Aavashyak dastavej ki suchi niche di gayi hai).
  • Aavashyak dastavejo ko upload karne ke pashchat aapko loan amount ka chayan karna hoga. Yah sab aapko step by step karte jana hai. Aur final submit par click kar dena bai.

Iss prakar se aap ghar baithe hi Shriram Finance Personal Loan ke liye apply kar sakte hai. Aksar hum dekhte hai ki jab hum offline loan ke liye avedan karte hai to hamein bank ke chakkar katne padte hai.

Aur kagzi prakriya ke liye bhag daud bhi karni padti hai. Magar online loan ke liye apply karne mein aapko yah sab dikkat nahi aati hai. Aap aasani se loan ke liye aavedan kar sakte hai.

Shriram Finance Loan Statement Download

Dosto! kai baar aisa hota hai ki hum apni loan statement ko bhool jate hai. Kyonki loan ke liye samayavadhi adhik hoti hai. To aise mein hum yah yaad nahi rakh pate hai ki kitna loan humne chuka diya hai aur kitna hamare paas baki hai.

Aise mein hamare samne prashna uthta hai ki kis prakar se Shriram Finance Loan statement ko download kare. Iske liye aapko Shriram City Finance loan application ko download karna hota hai. Application mein Login karne ke pashchat aapko ‘Home Page’ par le jaya jata hai.

Jahan par aap ‘My Account’ ke vikalp par click karne ke pashchat bank statement par pahunch jate hai. Yaha par aapko aapki loan statement se sambandhit sabhi jankari pradan karayi jati hai.

Iss prakar se aap Shriram Finance Loan Statement dekh sakte hai. Aur yahi se aap apni loan statement ko download bhi kar sakte hai. “Shriram Finance Vehicle & Personal Loan Details (श्रीराम फाइनेंस व्हीकल और पर्सनल लोन डिटेल्स), Shriram Finance Customer Care (Contact/ Toll Free) Number”

इसे भी पढ़े Mahila Loan 30000 Scheme 2021 | Mahila Samridhi Yojana

Shriram Finance Loan Against Property

Shriram Finance Loan aapko aapki property ke aadhar par bhi loan pradan karta hai. Yah aapki koi residential property ho ya fir aapki koi commercial property ho, aap in dono ke aadhar par loan le sakte hai.

Commercial Property Loan

The Commercial property par 1 lakh rupaye se lekar 15 lakh rupaye tak ka loan liya ja sakta hai. Commercial property par loan ka bhugtan karne ke liye aapko 12 varsh tak ka samay diya jata hai.

Magar dhyan rahe ki commercial property par loan sirf salaried person ya self employed vyakti ko hi diya jata hai. Commercial property loan par 15% tak ki byaj dar deni hoti hai.

Residential Property Loan

Residential property par bhi aapko Shriram Finance Company ke dwara loan pradan kiya ja sakta hai. Yah aapki jarurato ke anusar tay hota hai. Adhiktam aap 15 lakh tak ka loan residency property ke aadhar par le sakte hai.

Avedankarta ki aayu 21 varsh se adhik honi chahiye. Aapko residential loan ko wapas karne ke liye 12 varsh ka samay diya jata hai.

Shriram Finance Customer Care (Contact/Toll-Free) Number

Shriram Finance Company se kisi bhi prakar ki loan sambandhit jankari lene ke liye aap Shriram Finance customer care number par call kar sakte hai: 1800- 103- 6369.

Aap apne sawalo ka jawab pane hetu aur shikayat darj karane hetu bhi iss number par call kar suvidha pa sakte hai. “Shriram Finance Vehicle & Personal Loan Details (श्रीराम फाइनेंस व्हीकल और पर्सनल लोन डिटेल्स), Shriram Finance Customer Care (Contact/ Toll Free) Number”

इसे भी पढ़े Loan Kaise Le Mobile Se? | मोबाइल से लोन कैसे ले सकते है?

Shriram Finance Loan Review

Shriram Finance Loan vehicle loan ke roop mein sabse pehle hamare samne aata hai. Yadi hum baat kare iske reviews ki to hamein personally lagta hai ki Shriram Finance Company anya banko ke mukable mein jyada byaj dar vasulte hai.

Iske viprit Shriram Finance Company ka process bahut tej hota hai. Aapko 24 ghante ke andar hi loan pradan ki jaati hai. Aur aapko kagzi prakriya ke liye bhi itni bhaag daud nahi karni padti hai. Loan lena aasan hai aur grahak ke liye faydemand bhi hai.

Wahi dusri aur baat kare to personal loan ke liye Shriram Finance Loan ki sharte bahut hi mushkil pratit hoti hai. Jaise ki niwas sthan ka pichle ek saal se saman rehna, lagatar 2 saal tak ek hi company mein job karna ityadi. Wahi dusri aur Shriram Finance Company loan rashi ke baare mein bhi koi spasht jankari nahi deti hai.

Isliye hamein ek anishchitata ka samna bhi karna padta hai. Halanki Google par uplabdh Shriram Finance Loan ke review padne par pata chalta hai ki, adhiktar grahak Shriram Finance Loan suvidha se khush hai.

Wahi dusri aur kuch log aise bhi hai jinhe Shriram Finance loan se labh uthane mein dikkat aayi, kyonki unke anusar Shriram Finance se unhe na to acha customer support mila aur na hi kam byaj dar par loan.

Kai baar aisa dekha jata hai ki NBFC companya kujh grahakon ko bahut uchit dar par loan pradan karti hai. Baharhal yadi aapko 20% varshik dar tak loan milta hai, to aap loan le sakte hai. Yadi loan par liya jane wala byaj 20% se adhik ho to aapko aise loan se bachna chahiye.

इसे भी पढ़े Paytm Se Loan Kaise Liya Jata Hai | पेटीएम से लोन कैसे ले?

Conclusion

Dosto aaj ke iss article mein humne bahut hi mahatvapurna jankari prapt ki hai. Shriram Finance Loan ke bare mein aapne suna hi hoga. Magar shayad hi aapko puri jankari ho. Aaj ke iss article mein humne jana ki Shriram Finance Loan Details, Shriram Finance Company, Shriram Finance Rate Of Interest, Shriram Finance Personal loan, Shriram Finance FD Rates, Shriram Finance Personal Loan Apply Online, Shriram Finance Loan Statement Download, Shriram Finance Loan Against Property, Shriram Finance Customer Care ( Contact/ toll free) number. Shriram Finance Loan Review, ityadi.

Aasha hai ki aapko yah jankari pasand aayi hogi. Yadi aapka koi sathi Shriram Finance Loan lena chah raha hai to aap usse iss article se jarur rubaru karwaye. Aisi hi anya mahatvpurn loan jankariyon ke liye aap hamari website ke homepage par ja sakte hai. Jaha par vibhinn prakar ki loan jankari aapko pradan ki gayi hai.


अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

Check Also

Airtel Payment Bank Se Loan Kaise Le? Airtel Payment Bank Loan (Airtel Thanks App Personal Loan) Interest Rate, Customer Care Number, Review, etc.

Airtel Payment Bank Se Loan Kaise Le? एयरटेल थैंक्स एप से लोन कैसे लें?

अपने दोस्तों के साथ शेयर करेंAirtel Payment Bank Se Loan Kaise Le? Airtel Payment Bank …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

error: Content is protected !!