SBI Yono App Se Personal Loan Kaise Le/ Lete Hain?: Dosto! Kabhi na kabhi to aap ko udhar paiso ki jarurat padi hi hogi. Aise mein aap apne dosto aur rishtedaro se madad lete hote honge. Agar rishtedar aur dost bhi paise dene se mana kar de ya koi bahana bana le, to aap kya karte ho? Aap kisi bank se loan lete honge? Ya fir byaj par karj lete honge.
Sathiyo! Aaj hum aapki iss samasya ka hal lekar aaye hai. Agar aapko paise ki jarurat hai. To aapko kisi bhi vyakti se paise mangne ki jarurat nahi padegi. Kai baar aisa hota hai ki hamein bahut adhik paiso ki jarurat pad jati hai. Aise mein kya kare. Dosto aaj hum baat karenge SBI Yono App Se Personal Loan Kaise Le? Aaj hum SBI Yono Personal Loan ke bare mein janenge aur batayenge ki kis prakar se aap bhi iss suvidha ka fayda utha sakte hai.
Yono SBI Personal Loan Kya Hai?
विषय-सूची
Dosto! Agar aap kisi bhi prakar ki paise ki tangi se joojh rahe hai. Ya aap ko achanak se paise ki jarurat pad jaye to aise mein SBI aapke liye ek behtarin application lekar aaya hai. Jiske dwara aap kabhi bhi aur kahi se bhi 1500000 rupaye tak ke loan ke liye apply kar sakte hai. Ji haan, hum baat kar rahe hai SBI Yono App ki. Iske jariye SBI apne grahakon ko 1500000 rupay tak ka online loan pradan kar rahi hai. Jis par bank 9.60 ka varshik byaj le raha hai.
Sabse achi baat yah hai ki yah loan prakriya bahut hi aasan hai. Jisse aap aasani se le sakte hai aur loan ki swikriti milne ke baad aapke khate mein loan rashi daal di jaati hai. Jisse aapko 5 varsh ke andar wapas karna hota hai. Aapko loan processing fee bhi bas 2% hi dena hota hai. Yaad rahe loan rashi prati vyakti ke anusar badal sakti hai. Loan rashi aapke cibil score par nirbhar karti hai.
Yono App se loan lene ke liye aapko google play store se yah app download karna hoga. Uske baad registration karne ke pashchat aap sirf chaar click mein loan le sakte hai.
Magar yah suvidha abhi SBI grahako ke liye hi hai. Iss prakar se aap Yono SBI Personal Loan le sakte hai. “SBI Yono App Se Personal Loan Kaise Le/ Lete Hain?”
इसे भी पढ़े – Adhar Card Se Paise Kaise Nikale | आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले?
SBI Yono Loan Eligibility?
Dosto ab hum baat karenge ki SBI Yono App se loan lene ke liye patrata kya hai. SBI Yono App se loan lene ke liye eligibility ki baat kare to pramukh roop se niman patrata hai.
SMS”PAPL” (space) last four digits of SBI account number” to 567676.
- SBI Yono App se loan lene ke liye aapki aayu nyuntam 21 varsh aur adhiktam 50 varsh honi chahiye.
- SBI Yono App se loan lene ke liye aapki monthly income kam se kam 5000 rupaye honi chahiye.
- Aapke paas current ya saving account hona anivarya hai.
- Grahak ko khate ke prakar ke anusar khate mein aavashyak shesh rashi banaye rakhna chahiye.
- Jab aavedak Yono me login karta hai, to ek purv anumodit (pre-approved) SBI personal loan offer uplabdh hona chahiye.
SBI se personal loan lene ke liye aap SBI Yono App ki loan eligibility criteria ko janne ke liye. Niche diye gaye number par message kar jankari prapt kar sakte hai.
SMS “PAPL” (space) last four digits of SBI account number” to 567676.
SBI YONO Personal Loan Ke Liye Documents
Yono SBI App me account banate Samay aadhar card ki avashyakta hoti hai.
- Sabse pehle to aapko form sankhya 16 bharna hota hai.
- Aapke pehchan patra ke roop mein aap aadhar card, driving licence, pan card ityadi ka sahara le sakte hai.
- Aapko apne nivas sthan ka pata bhi dena hoga. Jiske Liye aapse ration card ya bijli ka bill bhi dikha sakte hai.
- Aapko passport size photo upload karne ki bhi avashyakta padti hai. Agar aapke paas photo nahi hai to aap selfie bhi upload kar sakte hai.
- Ant me aapko apni salary slip upload karni hogi. Yadi aapke pass salary slip nahi hai to aap bank statement bhi send kar sakte hai.
Jab aap uparlikhit points ko company ke anusar pura kar lenge. To company aapka loan manjur kar legi. Bank statement aur salary slip se company yah dekhti hai ki aavedak kitne paise kamata hai.
itna company ko lagta hai fir usi hisab se company aapko loan deti hai. “SBI Yono App Se Personal Loan Kaise Le/ Lete Hain?”
इसे भी पढ़े – एक बीघा जमीन पर कितना लोन मिल सकता है?
SBI YONO Interest Rate
Dosto kisi bhi prakar ke loan lene se pehle chahe vah online ho ya offline, hamein byaj dar ke bare mein jarur pata kar lena chahiye.
Kyunki loan ka sabse mahatvapurna bhag byaj hi hota hai. Jitna adhik byaj hota hai utna hi adhik grahak ko nuksan hota hai. Aise mein yah bahut mahatvapurna ho jata hai ki aap ko pehle se hi byaj dar ke bare mein pata ho. Taki aapko bhavishya mein loan ko chukane mein aasani ho sake.
SBI Yono App ke madhyam se aapko 9.60% varshik byaj dena hota hai. Sath hi sath mein processing fees ke taur par aapko 2% shulk bhi dena hota hai. Magar processing fees ka bhugtan ek hi baar karna padta hai. Yah aapko loan lete waqt hi karna padta hai.
Tenure Rate Of SBI Yono Personal Loan
Dosto! Ab baat karte hai iss loan ko aapko kitne dino mein bharna padta hai. Agar hum baat kare to SBI Yono Personal Loan se aapko jo loan diya jata hai.
Uss loan rashi ko wapas karne ke liye aapko kam se kam 72 mahine ka samay diya jata hai. Yah samay adhiktam 5 varsh tak ka ho sakta hai. Atharat SBI Yono App aapko kam se kam 72 mahine aur adhik se adhik 5 varsho tak ka loan pradan karti hai.
Yah samay awadhi aapki loan rashi par nirbhar karti hai. Jo 72 mahine se adhik badh bhi sakti hai aur ghat bhi sakti hai. Aur aap bhi loan awadhi seema ka chunav kar sakte hai.
SBI Yono App Se Personal Loan Kaise Le/ Lete Hain??
- Aapko Yono SBI Application ko Google Play Store se download karna hoga.
- App download karne ke baad aapko apne mobile number ke sath Sign Up karna hoga. Uske baad aapko isme apni ek profile banani padti hai.
- Ab aapko pre approved loan offer ke sath apne loan ka chunav karna hai. Uske baad aapko loan awadhi ka chunav karna hoga.
- Ab aapke registered mobile number par OTP aayega.
- Tatpashchat fir aapko apni niji jankari bharni hogi. Jaise ki humne aapko bataya tha ki, umar, pan card, aadhar card aadi sab jankari bharni padti hai.
- Jab aap in jankariyo ko bhar denge to aapko pata chal jayega, ki aap iss loan ke liye eligible hai ya nahi. Eligible hone ke baad aap aage bade.
- Jab aapko loan lene ki manjuri mil jayegi, to aap loan lene ke liye apply kar sakte hai.
- Loan ko swikriti pradan hone par aapke account mein paise daal diye jayenge.
Ab hum aapko batayenge ki SBI Yono App se loan lene ke liye agar customer care ki madad ki jarurat ho to kaise madad paye.
इसे भी पढ़े – SBI Se Home Loan Kaise Le? | SBI Bank Home Loan Apply Online
SBI YONO App Loan Customer Care Number
SBI ke pass toll free number hai, jis par aap apne SBI vyaktigat rin prashnon ka uttar prapt karne ke liye grahak seva vibhag tak pahunch sakte hai. Ye number 1800 11 2211 aur 1800 425 3800 hai.
Vaikalpik roop se, aap customer care team se sampark karne ke liye toll free number, 080 26599990 par dial kar sakte hai. Iss prakar kisi bhi prakar ki suvidha aur asuvidha ke baare mein jaan sakte hai aur shikayat bhi darj kar sakte hai.
SBI YONO App Personal Loan Review
Mitro! Hamne SBI YONO ek personal loan ke reviews ke baare mein padha. Aur adhiktar grahak SBI YONO dwara di jane wali personal loan se khush hai.
SBI Yono Personal App se loan lena ek aasan prakriya hai. Jisse aap ghar baithe hi aasani se puri kar sakti hai. Iske liye aapko bank ke chakkar nahi lagane padte hai. Aur na hi aapko kisi kagaji karyawahi se gujarna padta hai. Loan ka process bahut hi aasan hai.
Jisse koi bhi aadmi pura kar sakta hai. Magar loan ka interest thoda adhik ho jata hai. Kyi grahakon se 9.60% se adhik bhi byaj dar li jati hai. Darasal SBI ke kuch apne maapdand hote hai. Jinke aadhar par tay hota hai, ki kis grahak ko kitna loan dena hai.
Aur kis grahak ko kitne pratishat loan byaj par loan dena hai. App ki google play store par bhi achi ranking hai. Aur lakho logo ne apne review bank ke sath share kar rakhe hai.
Aise mein review padh ke pata laga sakte hai ki aap ko bhavishya mein kin kin kathinaiyon ka samna karna pad sakta hai. Aur bank ka ravaiya kaisa rehta hai.
SBI Yono App se loan lena bilkul safe hai. Magar Kisi bhi prakar ka loan lene se pehle vittiya jokhimo ke bare mein pata kar le to behtar hota hai.
इसे भी पढ़े – Home Loan Kaise Le Sakte Hain? | होम लोन कैसे मिलता है?
Conclusion (SBI Yono App Se Personal Loan Kaise Le)
Aaj iss post ke madhyam se hamne jana ki Yono SBI personal loan kya hai? Sbi yono loan eligibility and SBI Yono app loan customer care number. Sbi yono Personal loan ke liye Documents.
Agar iske bawajud koi baat ho jo aapko samajh nahi aayi. To aap use comment section mein puch sakte hai. Hum uska jawab aapko jarur denge. Agar aapko yah post jankari se bharpur lagi ho to iss post ko apne dosto ke sath jarur share kare. Taki musibat ke samay mein wo bhi iss app ka fayda utha sake.
Kai baar hum logo ko paiso ki atyant avashyakta hoti hai. Magar paisa samay par nahi mil pane ki wajah se hamara bhari nuksan ho jata hai. Corona mahamari mein jyadatar log berojgar baithe hai. Mehangai ne aam aadmi ki kamar tod kar rakh di hai. Agar aapko lagta hai ki iss post se kisi ka bhala ho sakta hai. To jarur iss post ko apne dosto tak pahuchaye.