Loan Kaise Le Mobile Se? | मोबाइल से लोन कैसे ले सकते है?

अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

Mobile Phone Se Personal Loan Kaise Le Sakte Hain?: Dosto! Paise ki jarurat kab pad jaye kuch pta nhi chalta. Kai baar aisa hota hai, zindagi sahi raste se chal rahi hoti hai. Achanak se hi koi nayi musibat aakar khadi ho jati hai. Aur aapki jindagi ka santulan bigad jata hai. Paiso ke lenden ko lekar bhi aisa hi hota hai. Jab kharche aate hai to ek ke baad ek aate jaate hai.

Aise mein aadmi pareshan ho jata hai ki badhte hue kharchon ko kaise pura kiya jaye. Paise ke lenden mein dost aur rishtedar bhi muh ferne lagte hai. Aise mein sawal uthta hai ki yadi aadmi ko achanak hi paiso ki koi jarurat pad jaye. To aise mein kya kadam uthana behtar hoga. Aasan sa dikhne wala yah sawaal bahut hi mushkil jaan padta hai.

Mobile Phone Se Personal Loan Kaise Le Sakte Hain?

 

Pichle kuch varshon mein bhartiya samaj mein berojgari kuch jyada hi badi hai. Corona mahamari ke karan sampurn desh mein lockdown lagana pada jiski vajah se logo ke kaam dhandhe band ho gaye. Aur garib logo ko rojgar ke liye dar dar ki thokar khani padi. Isi sawal ka jawab lekar aaj hum hazir hai. Yadi aapko turant paise ki jarurat pad jaye. To aap apni iss jarurat ko kaise pura kar sakte hai.

Mobile se Loan Kaise le? Mobile Phone se ghar baithe hi aap chote se chote loan se lekar bade se bada loan le sakte hai. Aaj ke iss vishay mein hum focus karenge ki mobile se loan kaise le. Aur mobile se loan lene ke liye avashyak dastavej kya kya hote hai? Mobile se loan lene ke liye kin kin step se gujarna padta hai. To aaiye dosto jante hai, mobile se loan kaise le.

मोबाइल से लोन केसे लिया जा सकता है (Mobile Se Loan Kaise Liya Ja Sakta Hai)?

Dosto loan market mein bahut si NBFC companyo ke aane ke baad loan lena aur bhi asaan ho gya hai. Banko ke muqable mein NBFC company aasani se loan de deti hai. Sabhi banko aur NBSC companyo ka mobile app google play store par uplabdh hai. Yadi aap mobile ke jariye loan lena chahte hai to iske liye aapko ichuk bank ya company ka app download karna hoga. Uske baad aapko aage ke steps follow karne honge.

Udaharan ke liye bharat mein vartaman mein bahut se bank aur NBSC company loan pradan kar rahi hai. Kisi bhi online app ke jariye aap ghar baithe hi kuch hi minute mein loan le sakte hai. Bharat mein pramukh roop se loan dene wale app hai. Money Trap, Credit B, Paysense, Nira, Capital First Limited ityadi.

Bhartiya mobile banking ke dwara di jane wali pramukh loan app ki jankari niche di gayi hai. “Mobile Phone Se Personal Loan Kaise Le Sakte Hain?”

इसे भी पढ़े Shriram Finance Vehicle Loan Details (श्रीराम फाइनेंस व्हीकल लोन डिटेल्स)

Pramukh Mobile Loan App aur Unke Pramukh Goon

1 App ka naam = Moneytap
Loan Rashi = ₹3000 se ₹5 lakh
Byaj dar = 1.08-2.03%
App Rating = 4.3

2 App ka naam = PaySense
Loan Rashi= ₹ 5000- ₹5 lakh
Byaj dar =2.08-2.33%
App rating = 4

3 App ka naam = Dhani
Loan rashi = ₹1000- ₹15 lakh
Byaj dar = 1 – 3.17%
App rating = 3.9

4 App ka naam = Indialends
Loan rashi = ₹15000 – ₹50 lakh
Byaj dar = 0.9 – 3%
App rating = 4.5

5 App ka naam = Kreditbee
Loan rashi = ₹1000 – ₹1 lakh
Byaj dar = 2 – 3%
App rating = 4.5

MoneyTap App kya Hai?

Moneytap ek app aadharit credit line hai. Jo aapko lachile dhang se loan lene aur apne loan ka bhugtan karne ki anumati deta hai. Moneytap personal loan ke roop mein kam se kam 3000 se 5 lakh rashi tak ka loan pradan karta hai.

Moneytap personal loan ke liye online aavedan karna aasan hai. Aur iska upyog vibhinn vyaktigat jarurat jaise shadi karne, chhutti par jane, medical bill ka bhugtan, gadget kharidne aadi ke liye kiya ja sakta hai. “Mobile Phone Se Personal Loan Kaise Le Sakte Hain?”

Moneytap Loan Ke Mukhya Bindu

Byaj dar 13% varshik
Loan rashi Nyuntam 3 hajar aur adhiktam 5 lakh
Loan awadhi Nyuntam 2 mahine aur adhiktam 3 varsh
Aavedak ki Aayu Nyuntam 22 varsh aur adhiktam 55 varsh
Aavedak ki nyuntam aay 20 hajar
Processing fee Kul rashi ka 2%
Loan ke prakar Personal loan, education loan, travel loan ityadi.

इसे भी पढ़े Adhar Card Se Paise Kaise Nikale | आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले?

Paysense Se Loan Kese Le?

Paysense ek aisa instant bank loan application hai. Jiske jariye aap 24 ghante ke andar hi loan le sakte hai. Yah puri tarah se paperless hai. Uske dwara aap nyuntam ₹5000 rupaye se lekar ₹500000 tak ka loan 15.96% se 26% ka byaj dar mein le sakte hai.

Paysense se loan lene ke liye aapki nyuntam aayu 21 varsh aur adhiktam 60 varsh se jyada na ho. “Mobile Phone Se Personal Loan Kaise Le Sakte Hain?”

Byaj dar 15.96% se 26% varshik
Aavedak ki aayu 21 varsh se 60 varsh
Processing fee 2.5% kul rashi ka +GST
Loan rashi ₹5000 se ₹500000
Loan awadhi samay seema 3 mahine se 5 saal tak
Credit card history Aavashyak nahi

Dhani App Se Loan Kese Le?

Dosto! Dhani app ke madhyam se aap apni har choti se choti aur badi se badi jarurat ke liye loan le sakte hai. Dhani App apko vibhinn prakar ki loan sevaye pradan karta hai. App personal loan lene ke madhyam se aap adhiktam 1500000 Rupay tak ka loan le sakte hai.

Dosto! Dhani app ke madhyam se aap apni har choti se choti aur badi se badi jarurat ke liye loan le sakte hai. Dhani App apko vibhinn prakar ki loan sevaye pradan karta hai. App personal loan lene ke madhyam se aap adhiktam 1500000 Rupay tak ka loan le sakte hai.

Dhani App Personal Loan Mukhya Bindu. (Mobile Phone Se Personal Loan Kaise Le Sakte Hain?)

Byaj dar 13.99% varshik dar
Loan rashi Adhiktam 15 lakh
Aavedak ki aayu nyuntam 21 varsh
Loan awadhi nyuntam 3 mahine aur adhiktam 6 mahine
Processing Shulk kul loan rashi ka 3%
Foreclosure Charge 5% (6 mahine ke baad)

IndiaLends Se Loan Kaise Le?

Indialends ke dwara 1 varsh se 5 varsh tak ki awadhi ke liye 10.75% se shuru hone wali byaj dar par. 50 lakh tak ka vyaktigat loan diya jata hai. App aapki vyaktigat rin patrata ke aadhar par nyuntam byaj dar aur aasan anumodan ki peshkash karne wale sarvottam upyukt banko/ NBFC ki suvidha pradan karta hai. Indialends ka 50+ se adhik banko aur NBFC ke sath judav hai.

Indialends Loan App ke mukhya bindu

Byaj dar 10.75% varshik
Loan rashi adhiktam 50 lakh rupaye
Loan awadhi 1 varsh se 5 varsh
Aayu 21 varsh
Processing fee 2%

इसे भी पढ़े MUDRA Loan Kya Hai | MUDRA Loan Kaise Le in Hindi

Kreditbee Loan Kaise Le?

Kreditbee ek online digital loan dene wali company hai. Jo vibhinn personal paise sambandhi jaruraton ko pura karne ke liye niji loan pradan karta hai. Kreditbee personal loan 1000 rupaye se shuru hota hai. Aur 2 lakh rupay tak ja sakta hai. Yah loan aapko apne anusar tay ki gayi awadhi ke bhitar chukaya ja sakta hai. “Mobile Phone Se Personal Loan Kaise Le Sakte Hain?”

Kreditbee ke dwara aapko personal loan 2 lakh rupay tak diya ja sakta hai. Personal loan par prati mahina 1.02% ki dar se byaj liya jata hai. Aapko loan rashi ko kam se kam 2 mahine se lekar adhiktam 15 mahine mein bharna hota hai.

Yadi aap Kreditbee se loan lena chahte hai to sunishchit kare ki aapki nyuntam aayu 21 varsh se lekar 45 varsh ke beech mein hai. Kreditbee ke dwara diye jane wale loan par kul rashi ka 6% processing fee ke tour par le liya jata hai.

Loan rashi 1000 rupaye se lekar 2 lakh rupaye tak
Byaj dar prati mahina 1.02%
Aavedak ki aayu 21 varsh se 45 varsh
Loan awadhi 2 mahine se lekar 15 mahine tak
Processing fee 6% kul rashi ka

इसे भी पढ़े PMEGP Loan Kaise Milega | PMEGP Loan Kya Hai?

मोबाइल से लोन के लिए केसे अप्लाई करें? (Mobile Phone Se Personal Loan Kaise Le Sakte Hain?)

Sabse pehle toh aapko apne pasand ke loan app ka chunav karna hai. Jis Bhi loan app se aap loan lena chahe usse aapko google play store se download karna hai.

Uske baad aapko mobile app me registered mobile number se registration karna hoga. App mein login karne ke pashchat aapko home page par le jaya jata hai Jaha par aapko vibhinn prakar ke loan “product” wale option mein dikhaye jaate hain.

Ab aapko apni iccha ke anusar uss loan ka chunav karna hai, jise aap lena chahte hai. Loan ka chunav karne ke pashchat aapko naye page par redirect kiya jata hai. Jaha par aapko aapki personal information aur aap se avashyak dastavej upload karne ke liye kaha jata hai. Dhyan rahe in steps se pehle aap ko loan ki terms and conditions batayi jati hai.

Yah terms and conditions bahut hi aham hote hai. Isko aap achi tarah se padle. Tabhi jakar agle charan par pahunche. Jab aap apne form mein aavashyak jankari aur avashyak dastavej bhar dete hai. To aapka phone review mein chala jata hai. Uske baad aapko bank ya company ka agent call karta hai.

Aur aap se aapke kagjo ki satyata ki jaanch bhi karta hai. Yadi aapka record aur aapke dwara di gayi jankari sahi milti hai. To aapko loan ki swikriti pradan kar di jati hai. Aur loan rashi sidhe hi aapke bank account mein daal di jaati hai. “Mobile Phone Se Personal Loan Kaise Le Sakte Hain?”

मोबाइल फोन से लोन लेने हेतु आवश्यक दस्तावेज

Aaiye ab jante hai mobile phone se loan lene ke liye hame kin kin dastavej ki jarurat hoti hai. Jaise ki humne pehle bhi bataya ki mobile phone se loan lene hetu aapko nyuntam kagaji karyawahi se gujarna padta hai.

Darasal mobile phone loan puri tarah se paperless hota hai. Magar fir bhi aapko apne documents ki photo khich kar upload karne padte hai. Taki aapki satyata ki jaanch ki ja sake.

Mobile Phone Se Loan Lene Hetu Pramukh Dastavej:

  • Aadhar Card- Voter ID, Voter Card, Passport jisse apki pehchan sidh ho sake.
  • Pan Card
  • Mobile Number
  • Bank Account- Bank statement jis khate mein salary milti hai.

इसे भी पढ़े True Balance Loan Kya Hai? | True Balance Se Loan Kaise Le?

Mobile Phone Se Loan Kyun Le?

Loan Rashi: mobile phone ke jariye aapko ek achi khasi loan rashi uplabdh karai ja sakti hai. Sabse achi baat yah hai ki loan rashi chote se chote kharche se lekar bade se bade karobar taj ke liye di jati hai. Mobile phone se aap turant hi loan le sakte hai. Iske liye aapko banko ke chakkar nahi kaatne padte hai.

Suvidhajanak Awadhi: Mobile phone loan ki awadhi bhi kafi achi hoti hai. Aur 2 mahine se lekar 5 varsh tak rashi ko wapas kar sakte hai.

Aasan Online Aavedan: Digital platform aapko dhan ki aasan uplabdhta sunishchit karne ke liye kisi bhi samay vyaktigat rin ke liye online avedan karne ki anumati deta hai.

Nyuntam Dastavejikaran: Personal loan prapt karte samay ab aapko kyi dastavej jama karne ki avashyakta nahi hai. Aapko banko se loan lete waqt jis badi prakriya se gujarna hota hai. Usse nahi gujarna padta hai.

इसे भी पढ़े Marksheet Loan Kaise Le? 10th 12th पास मार्कशीट पर लोन कैसे ले?

Conclusion (Mobile Phone Se Personal Loan Kaise Le Sakte Hain?)

Dosto aaj ke iss article mein humne jana ki kis prakar aap mobile phone ke jariye loan le sakte hai. Aur humne dekha ki mobile phone se loan lena online loan ke muqable mein bahut hi aasan hai. Mobile phone loan lena samay ki bachat ke sath sath aapko turant loan bhi deta hai. Jiska upyog aap apne dainik jeevan ke karya se lekar bade se bade karobar ke liye bhi kar sakte hai.

Mobile phone ne aaj ki jindagi mein ek aham sthan prapt kar liya hai. Yadi hum dekhe to aaj ki jindagi mein mobile ka mahatva kuch jyada hi badh gaya hai. Smartphone ke aane ke baad mobile industry mein jo kranti aayi hai. Usne naye naye avishkar kar kar hamari zindagi ko aur bhi aasan kar diya hai.

Ab mobile ke jariye hi hum bank detail check kar sakte hain. Kisi bhi prakar ka bill bhar sakte hai. Bina paise ke lenden kar sakte hai. Yaha tak ki hum ghar baithe hi mobile se loan bhi le sakte hai. Mobile phone ke sare app dwara loan lena dekhne aur sunne mein avishvasniya malum padta ho magar yah satya hai. Ab aap ko kisi bhi bank ke chakkar katne ki jarurat nahi hai.

Asha karte hai ki aapko hamari yah post jankari se bharpur lagi hogi. Aur aapke sawalon ka jawab bhi iss post ke jariye mil gaya honge. Aisi hi mahatvapurna jankari ke liye hamari website ko avashya visit kare. Aur yah post apne dosto ke sath jarur share kare. Taki wah bhi mushkil waqt mein iss loan ka fayda utha sake.


अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

Check Also

ZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise le? ZestMoney Account Kaise Banaye, Tamil, Customer Care Number, Review, etc.

ZestMoney Kya Hai in Hindi | ZestMoney से पर्सनल लोन कैसे ले?

अपने दोस्तों के साथ शेयर करेंZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

error: Content is protected !!