True Balance Loan Kya Hai & True Balance Se Loan Kaise Le? True Balance Loan Customer Care Number, Review & Eligibility: Dosto, paiso ki jarurat kab pad jaye kuch kah nahi sakte. Kai baar aisa samay aata hai ki aapko jarurat ke samay par paise doston aur rishtedaron se udhar nahi milte.
Aise mein aapka jaruri kaam chhut jata hai. Aaj hum aapki isi samasya ka samadhan lekar aaye hai and Aaj hum aapko batayenge ki kaise aap ghar baithe hi chand minute mein loan le sakte hain. Aaj ki iss post mein hum baat karenge True Balance Loan App ki.
Iss app ke madhyam se hum aapko batayenge ki True Balance Loan Kya Hai? TRUE Balance Se Loan Kaise Le, True Balance loan Eligibility. Iss post ko aap pura padhenge to payenge ki kis prakar se iss loan ko liya ja sakta hai. Aur iss loan se jude jokhim kya kya hai. Aaiye dosto jante hai ki True Balance Loan Kya Hai?
True Balance Loan Kya Hai?
विषय-सूची
True Balance Mobile Application ek instant loan application hai. Jiske madhyam se aap kabhi bhi ghar baithe hi ghar ki aavashyaktao ko pura karne hetu loan le sakte hai. True Balance mobile application ke jariye aap kisi bhi prakar ka instant loan le sakte hai.
Jaise ki aapko ghar ka navinikaran karana hai ya kisi medical kharche ke liye aapko paiso ki jarurat ho. Ya anya koi kaam jaise ki shadi vivah ya phir property se sambandhit koi kaam ho to bhi True App Mobile Application ka istemal kiya ja sakta hai.
True app ke madhyam se aap jarurat padne par 5000 rupaye se lekar 50000 tak ka loan turant le sakte hai. Jisko aap 6 mahine mein wapas kar sakte hai. Iss app ke madhyam se loan lene ke liye aapko kisi bhi prakar ki guarantee ki avashyakta nhi hoti hai.
Iss app ke jariye Bharat ke kisi bhi rajya se baithe baithe loan liya ja sakta hai. Sabse acchi baat yah hai ki loan process puri tarah se paperless hai.
True Balance Mobile application ke madhyam se aap na sirf loan hi le sakte hai. Balki aap mobile recharge, dish tv recharge jaise karya bhi kar sakte hain. Yah Paytm ya Phonepe ki tarah hi kaam karta hai.
इसे भी पढ़े – Marksheet Loan Kaise Le? 10th 12th पास मार्कशीट पर लोन कैसे ले?
True Balance से लोन लेने के लिए योग्यता क्या है? (True Balance Loan Eligibility)
Dosto, aaiye ab hum baat karte hai ki True Balance App ke madhyam se loan lene ke liye kya kya avashyaktayen hoti hai. Yadi hum baat kare True Balance App ki to iske liye kuch yogyata aur eligibility criteria ko pura karna hota hai. Uske pashchat hi loan diya jata hai.
- True Balance app se loan lene ke liye aapka Bhartiya nagrik hona jaruri hai.
- Sath hi sath aapki aayu 18 varsh se jyada nahi honi chahiye.
- Aap kisi bhi company mein naukri karte hai, arthat aapki salary 10000 rupaye pratimah se jyada honi chahiye.
True Balance लोन लेने के लिए कौन कौन से दस्तावेज लगते हैं?
Dosto! ab hum baat karte hai, True Balance Loan App se loan lene ke liye kin kin dastavejo ki jarurat padti hai. Aise mein aapko batate chale ki waise to yah poori tarah se paperless hai. Magar phir bhi humein kuch dastavejo ki jarurat padti hai. Jisse hamein kisi bank ya company mein jama nahi karna hai, balki phone ke madhyam se hi application par upload karna hota hai.
Dosto, True Balance application se loan lene ke liye aapko aadhar card ki avashyakta hoti hai. Iske sath sath hi aapko bank statement bhi dikhani padti hai. Yaad rahe bank statement kam se kam 6 mahine ki honi chahiye.
Jiske madhyam se bank yah pata laga sake ki aap naukri karte hai ya nahin. Iske alawa avedak ke paas pan card ka hona bhi avashyak hai. “True Balance Loan Kya Hai & True Balance Se Loan Kaise Le? True Balance Loan Customer Care Number, Review & Eligibility”
The True Balance Loan Ke Liye Document Kya Kya Chahiye
- Aadhar Card
- Bank Passbook
- Pan Card
True Balance Loan Age Limit
True Balance Loan App ke madhyam se loan lene hetu aavedak ki aayu kam se kam 18 varsh honi chahiye. Yadi aap 10000 rupaye se adhik kamate hai to aap lagbhag 65 varsh tak iss loan ka fayda utha sakte hai.
इसे भी पढ़े – Adhar Card Se Paise Kaise Nikale | आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले?
True Balance से हमें कितना लोन मिलता है?
True Balance App ke madhyam se aapko kam se kam 2000 rupaye aur adhiktam 5 lakh rupay tak ka loan mil sakta hai. Loan awadhi 6 mahine ki hoti hai. Anya banko aur loan apps ke muqable mein True Balance Loan Application ki byaj dar bahut kam hai. Isliye hi grahakon ka aakarshan iss app ki aur bana hua hai.
True Balance Loan Application aapko 2 tarah ki loan deta hai. Ek loan ko Cash Loan kehte hai. Aur dusra loan hota hai, Level Up Loan. Cash loan mein aapko adhiktam 50,000 ka loan mil sakta hai. Wahi dusri aur Level Up Loan mein aapko cibil score ke anusar loan diya jata hai.
Jitna accha aapka purana record hoga utna hi acha loan ka amount bhi hoga. Yah sidhe taur par aapke cibil score par nirbhar karta hai. Level Up Loan mein adhiktam 50,00000 rupaye tak ka loan bhi le sakte hai.
True Balance लोन में कितना ब्याज लगाती है? (True Balance Loan Interest Rate)
Dosto, hum baat karte hai True Balance loan app ke madhyam se kitne pratishat byaj par aapko loan diya jata hai. Darasal, kisi bhi loan ka yah sabse aham pehlu hota hai. Aur yahi wajah hoti hai ki aksar log loan lene se katrate hai.
Kyonki bank ya anya vittiya company bahut hi bhari daam mein byaj dar vasul karte hai. True Balance loan application mein koi bhi byaj dar ka fix rate nahi hai. Yah aapki loan profile ke upar nirbhar karta hai.
Maan lijiye yadi aapka bank record sahi hai to aapke liye byaj dar kam hogi. Yadi aapka bank record sahi nahi hai aur aapka cibil score itna behtar nahi hai to aise mein aapko adhik byaj dar deni pad sakti hai.
Waise to company ke guidelines ke anusar yah company kisi bhi grahak se adhik se adhik 32% tak ka loan wasool kar sakti hai. Magar yaad rahe yah sirf adhiktam hai.
Jaruri nahi ki har kisi se yahi byaj dar li jaye. Isliye behtar yah hota hai ki loan lete samay iss baat ka khaas khayal rakhe ki bank aapko kitne pratishat par loan de raha hai. Bank loan lete samay company ke terms and conditions ko acchi tarah se padhe.
इसे भी पढ़े – KreditBee Loan Kaise Le? | KreditBee Loan App से पर्सनल लोन कैसे ले?
True Balance Se Loan Kaise Le
Dosto, ab aap samajh gaye honge ki True Balance Loan Kya Hai? Aaiye ab hum baat karte hai ki True Balance Loan App ke madhyam se aap loan kaise le sakte hai.
- Sabse pehle to aapko yah application Google Play Store se download karna hai.
- Download Kar lene ke pashchat aapko isme sign in karna hota hai.
- Jiske liye aapko apne mobile number ki avashyakta padti hai.
- Mobile number par ek OTP aata hai. OTP ko dalkar, app mein sign in kare.
- Uske baad aapko home page par le jaya jata hai. Jaha aapko kai prakar ke loan suvidhaon ke bare mein bataya jata hai.
- Ab aap jis bhi loan ko lena chahte hain. Us par click karke aage badh sakte hai.
- Loan lene ke liye aapko uppar likhit dastavej upload krne honge.
Yadi aap company ke eligibility criteria ko pura kar dete hai, to company ki taraf se aapka loan manjur kar liya jaega. Aur chand ghanto mein aapko paise sidhe hi aapke bank account mein daal diya jayege.
इसे भी पढ़े – Pashupalan Loan Yojana 2022 | पशु किसान क्रेडिट कार्ड योजना 2022
True Balance KYC Kaise Kare
Aaiye Dosto ab jante hai, True Balance App ki KYC kaise pura kare.
- Apko True Balance Application ka home page kholna hai.
- Ab aapko sabse niche complete KYC ke liye ek option milega. Jis par aapko click kar dena hai. Ab iske baad aapko ek naye page par le jaya jayega.
- Jaha par KYC ke liye confirm button par click kar dena hai.
- Uske baad aapko company ki vibhinn terms and conditions ke bare mein bataya jaega. Jinko aapne padh kar usko agree kar dena hai.
- Ab aap apne registered mobile number ya aadhar card se link mobile number ko verify kare.
- Ab aapko ek naye page par le jayea jayega, jaha par aapko KYC registration ke liye apply karna hai.
- KYC registration ke liye aapko apna aadhar card ka number enter karna hota hai.
- Iske baad aapko 5 anko ka suraksha code athwa captcha code ko enter karke Send OTP par click kare.
- Ab aapke mobile number par OTP bheja jayega, jisse aapko kisi anya ke sath share nahi karna hai.
- Apko apni marzi ke hisab se 4 anko ka ek share code banana hota hai. Jisko agle step mein use kiya jata hai.
- Ab aapko OTP enter karna hai. Uske baad aapko download button par click kar dena hai.
- Ab aapko 4 anko wale share code ko enter karna hota hai. Yah share code wahi hota hai. Jo aapne apni marji se download karke banaya tha.
- Uske baad aapko Extract KYC Data button par click kare.
Iss prakar aap True Balance App mein KYC kar sakte hai. Ab aapko True Balance App ki sari suvidhaen bina kisi rukawat ke pradan ki jayegi. Iss tarah se aasan roop se aap KYC kar sakte hai.
True Balance Ka Referral Code Kya Hai
True Balance App ke madhyam se aap sirf loan le sakte hai balki paise bhi kama sakte hai. Jab aap True Balance Loan App ko sign in karte hai, to aapko ek unique code diya jata hai. Jaise ki 2EWEK2FE, iss code ko hi referral code kaha jata hai.
Iske baad yadi aap kisi apne dost ko yah app download karne ke liye kehte hai, to aap usko apne referral code ke jariye se yah app download kar sakte hai. Jiske badle mein aapko company ki taraf se kuch reward diya jata hai. “True Balance Loan Kya Hai & True Balance Se Loan Kaise Le? True Balance Loan Customer Care Number, Review & Eligibility”
The True Balance Loan RBI Registered
To aaj kal internet par bahut sare fraud aur sahayak cyber crime chal rahe hai. Aise mein online paiso se sambandhit kuch bhi karna jokhim bhara hai. Lockdown ke dauran cyber crime mein badhotari ek pramukh chunauti aur samasya rahi hai.
Aise mein aap kisi bhi loan app ya anya kisi prakar ka app, bina jankari ke phone mein download na kare. Yadi hum baat kare, True Balance loan app ki to yah puri tarah se surakshit hai.
Yah app RBI ke dwara panjikrit hai. RBI sirf unhi apps ke liye registration karti hai, jo grahak ki santushti aur uski privacy ke sath khilwad na kare.
True Balance Loan Customer Care Number (True Balance Helpline Number)
True Balance Loan App aapko calling suvidha bhi deta hai. Yadi aap kisi bhi prakar ki asuvidha ka samna karte hai, to aise mein aap True Balance Loan ke customer care number par call kar sakte hai.
True Balance Loan Customer Care Number 0120 400 1028
इसे भी पढ़े – एक बीघा जमीन पर कितना लोन मिल सकता है? | खेती की जमीन पर लोन केसे लें?
True Balance Loan Review
Dosto, waise to aaj kal online market mein loan aur instant loan dene wale app ki koi kami nahi hai. Vibhinn prakar ke bank aur vibhinn company ke dwara grahakon ko instant loan ki suvidha puri tarah se online di ja rahi hai.
Isi kadi mein True Balance Loan App bhi hai. Jiske madhyam se aap ghar baithe hi instant loan le sakte hai. Magar ab baat aati hai ki kya True Balance Loan App se loan lena faydemand hai?
Dosto, True Balance Loan App ke madhyam se aapko tatkal hi loan de diya jata hai. Jiske karan aapko kabhi bhi emergency mein paiso ki tangi nahi dekhni padti. Loan ko chukta karne ki awadhi bhi grahako ke anusar hi rakhi gayi hai.
Sath hi sath True Balance Loan App ki nishchit byaj dar nahi hai. Yah byaj dar vyakti ke anusar badalte rehti hai. Jisko lekar grahako ke mann mein ek anishchitata hoti hai.
Jyadatar grahak iss app ke madhyam se loan lene par santusht hai. Magar phir bhi kuch logo ko app se dikkato ka samna karna pada hai. Aise me grahakon ko salah di jati hai ki loan lete samay sabhi terms and conditions ko achi tarah se padhe.
Taki aapko bhavishya mein koi pareshani na uthani pade. “True Balance Loan Kya Hai & True Balance Se Loan Kaise Le? True Balance Loan Customer Care Number, Review & Eligibility”
The True Balance loan app naye grahako par zyada vishwas nahi karta, jiske karan naye grahak ko bahut kam rupaye ka loan diya jata hai. Aise mein kul 2 ya 3 hajar ka loan lena faydemand nahi hota hai. Yadi aapka cibil score bahut acha hai, to hi aapko accha loan mil sakta hai.
Conclusion
Dosto, aaj humne jana ki True Balance Loan Kya Hai? Aur aapko bataya ki True Balance se loan lene ke liye yogyata kya hai? (True Balance Loan Eligibility). Iske alava aapko iss app se sambandhit sabhi prakar ki jankari di gayi hai. Jab aapko kisi kaam ko karne ka tarika pata hota hai, to aapke liye uss kaam ko karna aasan ho jata hai.
इसे भी पढ़े – EMI Pe Mobile Kaise Le | किश्तों (EMI) पर मोबाइल फ़ोन कैसे ले?
Humne aapko bataya ki True Balance Loan lene ke liye kon kon se dastavej lagte hai? True Balance Loan Kya Hai & True Balance Se Loan Kaise Le? True Balance Loan Customer Care Number, Review & Eligibility.
Asha hai ki aapko yah post jankari se bharpoor lagi hogi. Aisi hi anya jankariyan pane ke liye aap hamari website ko check kar sakte hai. Jaha aapko vibhinn prakar ki loan aur loan apps ke bare mein bataya gaya hai.
Agar yah post aapko pasand aayi ho to isse apne dosto ke sath share karna na bhule.