Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale | आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले?

अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale App | AEPS, Paynearby & Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale Mobile Se: Dosto kya aapne kabhi socha tha ki manav sabhyata itni tarakki kar legi. Jitni ekisvi sadi me kar li hai. Aur abhi bhi manav sabhyata nirantar prayas kar rhi hai ki kis trah jeevan ko aasan banaya jaye.

Manav jeevan ko aasan banane ke liye bahut se avishkar hue hai. Unhi mein se ek hai, Online paise ka len den. Aaj hum isi kadi mein baat karenge ki Aadhar Card se Paise Kaise Nikale. Iske liye hum kai pehluo par charcha karenge ki Aadhar Card se Paise Nikalne ke Liye Kya Hona Chahiye? Micro Atm Kya Hai?

Adhar Card Se Paise Kaise Nikale App | AEPS, Paynearby & Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale Mobile Se

Mobile se Aadhar Card se Paise Kaise Nikale? Kya Aadhar Number se Paise Nikale Ja Sakte Hai? Ghar baithe khud apne Aadhar Card se paise nikalne ke liye kya-kya chahiye? AEPS Kya hai and AEPS dwara pradan ki jane wali suvidhaye kya hai? AEPS se apne Aadhar Card se paise kaise nikale? Aadhar card se paise nikalne ka Apps (AePS Enabled Applications).

Paynearby se paise nikalne ke liye jaruri chije. Paynearby se paise kaise nikale? Kya Aadhar Card se paise nikalna surakshit hai? To chaliye dosto jante hai Aadhar Card se paise nikalwane ka process ke bare mein. Aur usse judi har choti badi baat ko.

आधार कार्ड का ऑनलाइन लेन देन में महत्त्व (Aadhar Card Ka Online Len Den me Mahatav)

Aadhar card ne hamare dastavejo mein jo sthan hasil kiya hai. Uski umeed nahi thi. Sabse jyada istemal aaj kagji prakriya mein aadhar card ka hi hota hai.

Ghar ka pata sidh karna ho ya khud ki pehchan, aap aadhar card se hi sidh kar sakte ho. Aur sabhi sarkari aur gair sarkari sansthaon ko yeh manna bhi padta hai.

Aadhar card ka istemal hotel me thaharne se lekar hawai jahaj mein yatra ke liye kiya jane laga hai. Aur din pratidin aadhar card istemal badhta hi ja raha hai.

Bhavishya mein aadhar card ka prayog aur bhi badega. Kisi bhi sarkari sanstha se kisi yojana ka labh uthane ke liye aadhar card ka hona bahut jaruri hai.

Aaj hum aadhar card ke ek vishvasniya upyog ke bare me batane wale hai. Aapko shayad maloom na ho. Magar aap aadhar card se paise bhi nikal sakte hai.

Aaj hum issi vishay par baat karenge aur aapko batayenge ki kis prakar aap aadhar card se paise nikaal sakte hain. Aapko aadhar card se paise nikalne ke liye kya kya chahiye.

Aadhar card se paise nikalne ke liye kaha jana padega aur bhi anya sawal. Jo aap janna chahte hai wo sab batayenge. Bus bane rahe iss post ke ant tak. Chaliye dosto baat karte hai, Aadhar Card se Paise Kaise Nikale?

इसे भी पढ़े SmartCoin Loan Kaise Le? | Smart Coin Loan Review

आधार कार्ड से पैसे निकालने के लिए क्या होना चाहिए? (Aadhar Card se Paise Nikalne Ke Liye Kya Hona Chahiye?)

Sabse pehle to hame yeh jaan lena chahiye ki aadhar card se paise nikalne ke liye hame kin cheezon ki avashyakta hogi. Aur kya kya cheez hame paise nikalne ke liye jaruri hogi.

Dosto aap bhi bank aur atm ki line mein lagane se katrate honge. Yadi aapko paise nikalne atm ya bank jana hi na pade to kaisa ho? Jaisa ki humne pahle hi bataya ki aap aadhar card se paise nikaal sakte hai.

Aadhar card se paise nikalne ke liye aapko chahiye ki aapka mobile number aapke bank khate se juda hua ho. Dusra sabse mahatvapurna kam ki aapke paas micro atm hona chahiye.

Ab aap soch rahe honge ki Micro Atm Kya Hota Hai? Aur niji vyakti ke paas khud ka atm kaise hoga? Aapka sochna jaiz hai. To chaliye dosto aapki iss samasya ko bhi dur kar dete hai. Aur Micro Atm Kya Hota Ha. Aur aap iska istemal kaise karte hai. Aayiye jaante hai.

माइक्रो एटीएम क्या है – Micro Atm Kya Hai? (Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale)

Micro Atm, Atm machine ka hi dusra roop hai. Micro atm swipe machine ki tarah hi karya karta hai. Darasal bank in Micro ATM se jude hote hai. Isse angreji mein Remotely Connected kehte hai.

Micro ATM mein fingerprint sensor laga hota hai. Jo jude hue bank se aapki jaankari prapt karta hai. Aap micro atm ki madad se paise nikalne ke sath sath kisi bhi khate mein paise bhi transfer kar sakte hain.

Aasan shabdon mein kahe to yeh ek aisi atm machine hai. Jiska uddeshya un gramin kshetro ke liye banking suvidha uplabdh karana hai jinme abhi bhi banking sewaon ka abhav hai.

Iska nirmaan mukhya roop se gramin kshetro ke liye hi kiya gaya hai. Bharat ki bhogolik sthiti ke karan kuch jagah par aaj bhi inn moolbhoot suvidhaon ka abhav hai. Isi ko dekhte hue micro atm jaisi machine ka avishkar kiya gaya.

To dosto ab aap samajh gaye honge ki micro atm kya hai. Ab aate hai sabse mukhya mudde par. Ab hum janege ki kis prakar se aap aadhar card ki sahayta se paise nikal sakte hai

इसे भी पढ़े Mi Credit Loan Kaise Le | Mi Credit Loan Kya Hai? MI Credit से लोन कैसे ले?

मोबाइल से आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले (Mobile se Aadhar Card se Paise Kaise Nikale)?

Jaise ki humne pehle bataya ki aapke paas micro atm hona chahiye. Yadi aapke paas micro atm nahi hai. To apne pass ki kirane ki dukan par jaye. Aksar kirane ki dukan wale dukandar ye rakhte hai.

Ab aapko micro atm mein apna aadhar card sankhya dalni hai. Aapko pata hoga ki aadhar card ka number 12 number ka hota hai. Aapko yah 12 anko ka number micro atm ke andar dalna hai.

Biometric machine ke jariye ab aapko verification prakriya se gujarna padta hai.

Jab aapka angutha scan ho jayega, toh aapke khate ki jankari screen par aa jayegi.

Yadi aap ke iss aadhar card se jude kai account hai. Toh sab khato ki jankari aa jayegi. Aapko uss khate ka chunav karna hai jisse aap paise niklwana chahte hai.

Khata ka chunav karne ke baad aapki screen par 2 vikalp aaenge. Ek “Withdraw Money” aur dusra “Transfer Money”. Yadi aap paise niklwana chahte hai to aapko withdraw money ka chunav karna hai. Agar aap kisi dusre ko paise bhejna chah rahe hai to aapko transfer money per click karna hoga.

Uske baad aapko jitna paisa nikalna hai ya bhejna hai. Uski amount micro atm me dalna hai.

Is tarah se aap aadhar card se paise nikalne aur bhejne ki seva, bina atm aur bank jaye, le sakte hai.

क्या आधार नंबर से पैसे निकाले जा सकते हैं (Kya Aadhar Number Se Paise Nikale Ja Sakte hai)?

Asal me sirf aadhar card ki vajah se hi aap paisa nahi nikal sakte hai. Yadi sirf aadhar card se hi paise niklte to koi bhi kisi ka aadhar card ka number pata karke paise nikaal leta.

Iss tarah samaj mein cgper crime ki badh aa jati. Aadhar card se paise nahi nikale ja sakte hai. Aapko biometric authentication se gujarna padta hai.

Jisme aap ki ungliyo ke fingerprint liye jate hai. Finger print device me ungli lagane ke baad sirf wahi vyakti paise nikaal ya bhej sakta hai. Jiska account iss aadhar card se juda hua ho. Anya koi vyakti kisi dusre ke aadhar card se paise nahi nikal sakta hai.

Ghar Baithe Khud Apne Aadhar Card Se Paise Nikalne Ke liye Kya Kya Chahiye?

Ab baat karte hai ki aap ghar baithe hi paise kis tarah nikal sakte hai. To chaliye jante hai, is pehlu ke bare mein.

  • Jaisa ki aapko pata hai ki iske liye Aadhar Card hona chahiye.
  • Aapka khata aapke bank account se link hona jaruri hai.
  • Ek android smartphone hona chahiye. Jiske internet ka access ho.
  • Aapke paas OTG cable honi chahiye.
  • Ek fingerprint scanner device hona bhi jaruri hai.
  • Jis company ka fingerprint scanner device hai, ussi device ki RD Service App hona chahiye.
  • Aap ke aadhar card mein aapke fingerprint update hone aavashyak hai.
  • Kyonki fingerprint se hi aapko pramanit (verify) kiya jata hai.
  • Aapke mobile me ek AePs app hona bhi jaruri hota hai.

Ye aavashyak samgri hoti hai. Jiske madhyam se aap ghar baithe aadhar card ki sahayta se paise nikaal sakte hai.

इसे भी पढ़े Agriculture Loan Kaise Le? | Features & Benefits of Agriculture Loans

AEPS क्या है? (Adhar Card Se Paise Kaise Nikale)

Aeps ki full form Aadhaar Enabled Payment System hoti hai. Aeps ke madhyam se hi aadhaar card ki madad se paise nikalna sambhav ho saka hai.

Yeh puri trah se surakshit aur secure hai. Jiske dwara aap apne bank khate ki jankari diye bina hi paise nikaal sakte hai. Aeps ke madhyam se aap paise bhejna, paise nikalna, mini statement nikalna aur fund transfer jaisi suvidhaye bhi ghar baithe hi prapt kar sakte hai.

Here, AEPS apne grahakon ko aadhar number ka upyog karke aur bikri ke bindu (Pos) ya micro atm par. Aadhaar verification ki seva pradan karke bhugtan ki anumati deta hai.

Yeh vittiy lenden ke liye ek saral aur surakshit hai. Iski sevaye grahakon ko aakarshit karti hai. Yeh bharat me cashless lenden ko badhawa dene ke liye Bhartiya Rashtriya Bhugtan Nigam (NPCI) dwara ki gayi ek aur pahal hai.

AEPS ka upyog karne ke liye, aapka bank khata aadhar se juda hona chahiye. Jo hamne upar bhi bataya hai. “Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale App”

AEPS Dwara Pradan Ki Jane Wali Suvidhaye Kya Hai?

  • Aeps prayog karne mein bahut aasan hai.
  • Yeh upyog karne mein surakshit hai.
  • Aeps vibhinn banko mein inter operable
  • Cashless lenden ko badhawa deta hai.
  • Gramin kshetro mein banking sevaye pahuncha raha hai.
  • Aeps ke madhyam se, sabhi bank khata dharak aadhar pramanikaran ke madhyam se apne bank khate se lenden kar sakte hai.
  • AEPS ke sath, lenden shuru karne ke liye keval aadhar sankhya aur biometric jankari ki avashyakta hoti hai. Aapko banko ke chakkar nahi katne padte.
  • AEPS aadhar pramanikaran ka upyog karke kisi bhi Kendra ya Rajya Sarkar ke nikayo ki Nrega, Samajik Suraksha Pension, Viklang Vridhavastha Pension aadi jaisi sarkari yojnao ka fayda liya ja sakta hai.

इसे भी पढ़े Kredivo Online Personal Loan Kaise Le? | KREDIVO Loan App क्या है?

AEPS Se Apne Aadhar Card se Paise Kaise Nikale?

Market me aeps ki kyi application aa chuki hai. In Ka upyog karke aap upar likhi hui sewaon ka fayda utha sakte hai. Aapko kisi bhi achi company ka aeps kharidna hai. Uske baad apko apni id aur password set karna hota hai. Taki aapke Aeps ka koi galat istemal na kar sake.

Id password banane ke baad aap AEPS ki suvidhaye apne mobile phone se hi pa sakte hai.

1. BHIM- Aadhaar- SBI
2. Paisa Nikal -AEPS, ATM Withdrawal, Money Transfer
3. Pay nearby
4. CSC DigiPay- AEPS Banking
5. Spice Money Merchant- Aadhaar ATM, Money Transfer

Ye bharat ki kuch prasidh companio ke Aeps utpaad hai. Jo cashless lenden ko badhawa dene ke liye market mein laye gaye the. Inhone bharat ko cashless banane mein mukhya bhumika nibhai hai.

Gramin kshetro ke log jaldi se kisi chij ko apnate nahi hai. Magar apps ki suraksha aur faydo ko dekhkar gramin kshetro ne in application ko bahut saraha hai.

Aap koi bhi Aeps chun sakte hai. Sabhi Aeps surakhsit hai. Halanki in ke kharab hone ka bhi khatra rehta hai. Isliye Aeps ki kharidari soch vichar kar ke ki jaye to behtar hoti hai. “Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale”

Dosto chaliye ab aapko batate hai ki kis prakar se aap inme se kisi ek ka istemal kar sakte hai. Udaharan ke liye hum Paynearby Aeps ko le lete hai. Aur jante hai ki kis prakar se hum ise use kar sakte hai.

Paynearby se Paise Nikalne Ke Liye Jaruri Chije Kya Kya Hai?

Paynearby se paise nikalne ke liye jo jaruri chije humko chahiye wo nimnlikhit hai:

  • Morpho Fingerprint Device
  • OTG cable
  • Morpho RD service app

इसे भी पढ़े Bharat ATM App Kya Hai? | BharatATM Marchant App से कैसे Loan ले?

Paynearby Se Paise Kaise Nikale?

  • Apne mobile me Paynearby app google play store se download karna hoga.
  • App install karne ke baad usse open kijiye.
  • App ki Home Screen par aapko apna username password dalna hoga. Jisse aap App mein login karoge.
  • Magar Paynearby app me login karne ke liye aapko pehle Paynearby ki id leni hoti hai. Yeh id ki kimat takreeban 500 se 1,000 ke beech ho sakti hai. Jise aap paas ke Paynearby retailer se bhi kharid sakte hai. Iske sath hi youtube jaise anya social media par bhi Paynearby par bhi kai log Paynearby ki id dete hai. Aap social media ka sahara le sakte hai.
  • Id milne ke tatpashchat username & password daal kar log in kare.
  • Ab aap app ke home page par aa jayenge.

Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale App | AEPS, Paynearby & Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale Mobile Se

  • Ab aap ko apne device mein OTG cable connect karni padegi. Aur iss OTG cable ke sath Morpho ke fingerprint scanner device ko attach karna padega.
  • Ab aapke samne aadhar withdraw ka vikalp aayega. Aapko us par click kar dena hai.
  • Uske baad screen par Morpho device ka icon dikhega. Aapko us icon par click karna padega.
  • Ab screen par aapse kuch jankari mangi jayegi, jo dena avashyak hai.
  • Apna Aadhar number dale jo aadhar card aapke khate se link ho.
    1. Bank khata ka chunav kare
    2. Fir dhan rashi daale
    3. Ab grahak ka mobile number dale, jo bank se link ho.
  • Uske baad “next” ka button dikhai dega. Aapko us par click karna hai. Uske baad aapko Scan Finger ke button ko daba dena hai.
  • Ab aapko Morpho device par apni ungli rakhni hogi. Taki aapki fingerprint ke jariye bank ki jankari nikali jaye.
  • Yeh paisa nikalne ka akhri step hota hai. Iske baad aapko sari jankari screen par de di jati hai.

इसे भी पढ़े NAVI Loan Kaise Kare | NAVI Loan Kaise Lete Hai in Hindi

Kya Aadhar Card se Paise Nikalna Surakshit Hai? (Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale)

Isme koi shak nahi hai ki pichle kuch saalo se cyber apradho mein vriddhi hui hai. Jiske karan market mein bahut sare fake apps bhi aa gaye hain.

Humne apne aas paas bank se paise nikalne ki baat ya kisi ke sath thagi hone ki khabre suni hogi. Ab sawal uthta hai ki Kya Aadhar Card se Paise Nikalna Surakshit hai? Ji haan, aadhar card se lenden karna bilkul surakshit hai.

Yeh NPCI ke tahat lagu kiya gaya hai. Bhartiya Rashtriya Bhugtan Nigam (NPCI) Bhartiya Sarkar ke niyantran mein kaam karti hai. Iski shuruaat 2013 mein hui thi. Bharat ko cashless banane mein iski mukhya bhumika rahi hai.

Aadhar card se paise nikalna surakshit hai. Aap khud soch sakte hai. Aadhar card se paise nikalte samay aap ko na to khata number batana padta hai, na IFSC Code aur na hi khata pin. Aapko apni niji koi bhi jankari nahi deni padti hai.

Aap biometric machine mein apne fingerprint ki madad se paise nikal sakte hai. Rashtriya lockdown ke dauran gramin kshetro mein lakhon logon ne iske jariye paise nikalvaye. Aur iska prayog abhi bhi nirantar jari hai. “Adhar Card Se Paise Kaise Nikale App | AEPS, Paynearby & Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale Mobile Se”

इसे भी पढ़े KreditBee Loan Kaise Le? | KreditBee Loan App Se Personal Loan Kaise Le?

How do I open a PayNearby account in Hindi?

Paynearby mein IRCTC dwara panjikaran

  • Apna Paynearby khata login kare.

  • Dashboard se “Saksham Rail Booking Sewa” (“Enable Rail Booking Service”) par click kare.
  • Avashyak jankari bhare.
  • Download section mein jaye aur Paynearby form download kare.
  • Paynearby Registration ko pura kare aur jama karwaye.

     

Conclusion (Adhar Card Se Paise Kaise Nikale)

Yadi aapko yah jankari (Adhar Card Se Paise Kaise Nikale App | AEPS, Paynearby & Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale Mobile Se) achi lagi ho aur post aapko jankari se bharpur lagi ho. To hame comment karke jarur bataye.

Yadi aap bhi paise nikalvane ke liye har roj shehar mein jate ho. Ya apne bank jane se dikkat aati ho. Yeh post aapki pareshani ko dur karne ke sath sath hi aapke samay ki bhi bachat kar sakta hai. Ya aapka koi dost jo har roj aisi hi pareshani ka samna kar raha ho.

To uski aap madad kar sakte hai. Uski madad karne ke liye aapko yah post uske paas pahunchani hogi. Behtar hoga ki yadi aap isko apne whatsapp aur facebook ke jariye share kare. Taki adhik se adhik log iss yojana ka fayda utha sake. Hamara kaam hai aap logo tak sahi jankari pahunchana.

इसे भी पढ़े Home Loan Kaise Le Sakte Hain? | होम लोन कैसे मिलता है?

Disclaimer (Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale)

“Adhar Card Se Paise Kaise Nikale App | AEPS, Paynearby & Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale Mobile Se” Post ko likhte samay puri savdhani barti gayi hai. Iske bawajud bhi yadi kuch galat likha ho ya vartani sambandhi (spelling mistake) galti ho gai ho to uske liye hum kshama prarthi hai.

Iske sath sath hi hum kisi bhi prakar ki online lenden aur cashless lenden mein hone wali thagi aur fraud ke prati jimmedar nahi hai. Yah post sirf aur sirf jankari hetu likha gaya hai.

Waise to Aadhar Card se paise nikalna bilkul surakhsit hai. Kisi bhi prakar ka koi khatra nahi hai. Yadi fir bhi aapke saath kuch aruchikar hota hai. To iske prati hmari koi jwabdehi nahi hai.


अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

Check Also

Airtel Payment Bank Se Loan Kaise Le? Airtel Payment Bank Loan (Airtel Thanks App Personal Loan) Interest Rate, Customer Care Number, Review, etc.

Airtel Payment Bank Se Loan Kaise Le? एयरटेल थैंक्स एप से लोन कैसे लें?

अपने दोस्तों के साथ शेयर करेंAirtel Payment Bank Se Loan Kaise Le? Airtel Payment Bank …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

error: Content is protected !!