Bajaj Finserv EMI Card Ke Fayde, Kaise Banaye, Kaise Apply Kare, Customer Care Number? Bajaj Finance Card Ke liye Document?: Aapne apni zindagi mein kuch na kuch to udhar mein kharida hi hoga. Ho sakta hai aapko udhar ke paiso ke badle udhar bhi dena pada ho.
Aapane saman ya kuch jarurat ke samay byaj par paise to liye hi honge. Ucch byaj dar ke karan jitna mool nahi hota hai, usse jyada to hame byaj bharna pad jata hai. Agar aap koi cheez kharidna chahte hain. Magar paisa nahi hai to aap byaj par hi lenge. Magar aaj hum iss article mein batane wale hain ki kis prakar se aap bina byaj ke ₹50000 tak ki kharidari kar sakte hain.
To chaliye dosto, aaj ke iss article mein jante hain ki kis prakar se hum bina byaj ke 50000 rupaye tak ki kharidari kar sakte hain. Iss card ka naam hai: Bajaj Finserv EMI Card.
Aaiye jante hain, Bajaj Finserv EMI card kya hai? Bajaj Finserv EMI card Kaise banaye? Bajaj Finance card ke liye document kya chahiye. Terms and conditions kya kya hai? (Bajaj Finserv EMI card eligibility?)
Bajaj Finserv EMI network card ek naye jamane ka bhugtan tool hai. Jise Bajaj Finserv EMI store aur anya partner store par online aur offline, dono tarah ke aasan aur suvidhajanak EMI par navintam utpadon ki kharidari mein madad karne ke liye design kiya gaya hai.
Bajaj Finserv EMI Card. / बजाज फिनसर्व ईएमआई कार्ड क्या है?
विषय-सूची
Bajaj company ke dwara yah suvidha aapko 50000 rupaye tak ki shopping karne ki suvidha uplabdh karati hai. Dekhne mein yah ATM card ki tarah hota hai. Magar iska upyog paise nikalne ke liye nahi kiya jata hai.
Bajaj Finserv EMI card ki madad se aap kisto mein kuch bhi saman khareed sakte hain. Sabse acchi baat yah hai ki aapko iska koi byaj nahi bharna padta hai. Yah ek prakar ki no cost EMI hai.
Iss card mein aapko limit di jati hai. Udaharan ke taur par yadi aapko 50 hajar ki limit di gayi hai. To aap card se ₹50000 tak ki shopping kar sakte hain. Jis prakar se hum koi chij installment mein lete hain. Usi prakar yah card kam karta hai. Gaur karne wali baat yah hai ki isme aapko byaj nahi dena padta hai.
इसे भी पढ़े – SBI Yono App Se Personal Loan Kaise Le?
Bajaj Finserv EMI Card Kaise Banaye (Bajaj finserv emi card kaise apply kare?)
Ab aap soch rahe honge ki aakhir iss card ki suvidha humko kaise mil sakti hai. To chaliye dosto, aapko batate hain ki kis prakar se aap Bajaj Finserv EMI card banwa sakte hain. No cost EMI card banvana bahut hi aasan hai. Ise mukhya roop se teen tariko se banaya jata hai.
मैसेज द्वारा:
Yah dekhne aur sunane mein bhale hi atpata lag raha ho. Magar yah sach hai ki ichchhuk vyakti apne mobile phone se EMI card likhkar 56070 par message kare. Uske baad company ka agent aapko call karega.
Jisko aap apni jankari de de. Uske baad aapke card ko banane ki prakriya shuru kar di jayegi. Aur aapka ek message se hi card bana diya jayega.
Online Apply:
Agar aapko message ke jariye nahin banvana hai. Ya aapko vishwas nahi ho pa raha hai, to aap card ke liye online bhi aavedan kar sakte hain. Iske liye aapko koi badi lambi prakriya se nahin guzarna padta hai. Aapko www.bajajfinserv.com par jakar apply karna hoga. Yahan EMI card ke liye aapko form bharna padega. Uske baad aapka card bana diya jayega.
Bajaj Finserv care
Aapko Bajaj Finserv card banane ke liye walk in ki suvidha bhi uplabdh hai. Aap Bajaj Finserv ke kisi najdiki care center mein jaakar yah card banwa sakte hain.
Aapko offline avedan karne ke samay aapke jaruri kagjat bhi le jane honge. Bajaj finserv card banvane ke liye kaun kaun se dastavej chahiye? (Yah bhi issi post ke niche bataya gaya hai)
इसे भी पढ़े – Loan Kaise Le Mobile Se? | मोबाइल से लोन कैसे ले सकते है?
Bajaj Finance Card Ke Liye Document?
- Bajaj Finance card banane ke samay aadhar card ki avashyakta hoti hai.
- Aapke pehchan patra ke roop mein aap aadhar card, driving licence, PAN card ityadi ka sahara le sakte hain.
- Aapko apne nivas sthan ka pata bhi dena hoga. Jiske liye aap ration card ya bijli ka bill bhi dikha sakte hain.
- Aapko cancel cheque ki bhi avashyakta hoti hai.
- EMI card banwane ke liye aapka cibil score record theek hona chahiye.
- Aapko passport size photo upload karne ki bhi avashyakta pad sakti hai.
- Ant mein aapko apni salary slip upload karni hogi. Yadi aapke paas salary slip nahi hai, to aap bank statement bhi send kar sakte hain.
Agar aap EMI card banvane ki soch rahe hain to aapko in documents ki jarurat pad sakti hai.
Bajaj finserv emi card eligibility?
Agar aap bhi Bajaj ka finserv EMI card banvana chahte hain. To aapko kuch mandando ko pura karna hota hai. Yah mapdand.nimnlikhit hai:
Aayu: Aapki aayu nyuntam 31 varsh se adhiktam 60 varsh honi chahiye. (EMI card ke liye)
Insta EMI card ke liye 23 se 65 varsh ki umar honi chahiye.
Aapki aay ka srot hona chahiye, arthat aap berojgar na ho.
Kehne ka bhav hai ki yah naukri pesha wale logo ke liye aasani se ban jata hai.
इसे भी पढ़े – Mahila Loan 30000 Scheme 2021 | Mahila Samridhi Yojana
Bajaj finserv emi card charges क्या हैं?
Bajaj Finserv EMI network card ke sath aane wala pre approved loan aapko aasani se utpad kharidne deta hai. Aur kharidari ki lagat ko no cost EMI mein badal deta hai. Aap apne vitt ke aadhar par punar bhugtan awadhi ko ghata badha sakte hain. Iss awadhi ko 3, 6, 9,12,18, 24 mahine ke bich sanshodhit bhi kar sakte hain.
Apna Bajaj Finserv EMI network card chunte samay yah jankari honi chahiye. Ki Bajaj Finserv EMI network card processing shulk alag alag cardon ke liye alag alag hai.
Bajaj Finserv EMI network card do prakar ke hote hain. Jin par len den karte samay processing shulk liya jata hai.
- Gold EMI Card– gold EMI card mein shamil hone ka shulk 412 rupaye hai.
- Titanium EMI Card– 883 rupaye ke shulk mein shamil hokar aap Titanium EMI card prapt kar sakte hain.
Inmein se kisi bhi card ka upyog karke aap no cost EMI par utpad khareed sakte hain. Har baar jab aap Bajaj Finserv EMI network card ka upyog karte hain. To aap se kharidari ke liye keval nyuntam Bajaj Finserv EMI network card processing shulk liya jata hai. “Bajaj Finserv EMI Card Ke Fayde, Kaise Banaye, Kaise Apply Kare, Customer Care Number? Bajaj Finance Card Ke liye Document?”
बजाज फिनसर्व ईएमआई कार्ड Ke Fayde
- Bajaj Finserv EMI network card kharidari karne ka ek achha sadhan hai.
- Iske dwara hum suvidhajanak roop se apni avashyakta ke anusar kharidari kar sakte hain.
- Iss card ke dwara hum online aur offline, dono tarah se shopping kar sakte hain. Aur 3 se 24 mahine ki awadhi mein mulya chuka sakte hain.
- Bajaj Finserv EMI card se EMI par saman kharidne par 0% byaj lagta hai.
इसे भी पढ़े – Pan Card Se Loan Kaise Le | पैन कार्ड से लोन कैसे लेते हैं?
Bajaj Finserv EMI Card Customer Care Number
Yadi aap card se sambandhit koi puch tach karna chahte hain. To aap toll free number ka upyog kare.
Bajaj finserv customer care number: 7219821111 / 020 3957 5152
The Bajaj finance customer care toll free number: 1800-103-3535
Bajaj finance credit card customer care number: 020 3957 5152 / 022 71190900
Bajaj finance customer care Email ID – wecare@bajajfinserv.in
Official Website – https://www.bajajfinserv.in
Agar aapko kuch puchna ho ya aapko koi dikkat aaye. To aap in number aur email ke jariye se sahayata prapt kar sakte hain.
Bajaj finserv emi card unblock kaise kare?
Kai baar kuch karno ki wajah se hamara card company ke dwara block kar diya jata hai. Agar kabhi aapka card bhi block ho jaye to aap usse kaise unblock kare? To aaiye aapko batate hain.
- Portal mein login karne ke liye aapko customer ID ko dalna hoga. Aur aapke panjikrit number par OTP aayega. Jaise hi aap OTP dalenge to aapka account verify ho jayega.
- EMI card ke baad “My Relations” vikalp ko chune.
- “View All” vikalp chune or “EMI Card Details” par click kare.
- Yahan aapko aapke card ko unblock karne ke liye option milega. Unblock karne ke liye us par click kare.
Ho sakta hai ki card unblock hone mein samay le. Isliye aap thoda intezar kare. Kai bar company card ko block karne ke baad jaldi unblock nahi karti hai. “Bajaj Finserv EMI Card Ke Fayde, Kaise Banaye, Kaise Apply Kare, Customer Care Number? Bajaj Finance Card Ke liye Document?”
इसे भी पढ़े – Google Pay Loan Kaise Le in Hindi | Google Pay Loan कैसे देता है?
Conclusion
Aaj humne jana ji kis prakar se aap bina byaj ke lakhon rupaye tak ki kharidari kar sakte hain. Ummid karte hain ki aapko hamari post jankari se bharpur lagi hogi. Agar aapko hamari post acchi lagi ho to isse apne doston ke sath jarur sajha kare. Taki aapke doston ko bhi yah jankari mil sake.