CASHe Personal Loan App Customer Care Number, Interest Rate, Review, Eligibility, Document, Apk Download? CASHe Personal Loan Kaise Le?: Dosto! kai bar hamen paison ki adhik jarurat hoti hai. Aur ghar par bachi hui sabhi saving bhi khatam ho jati hai. Aise mein hamare samne sawal uthata hai ki mushkil waqt mein kaise apne niji kharchon ko chalaya jaaye.
Paise ka aana jana jeevan mein laga hi rahata hai. Kai bar paisa kam aur kai bar adhik ho jata hai. To kai bar sthiti aisi nhi hoti hai ki hamein doston ya rishtedaron se udhar bhi mangne padte hai.
Hamesha dost aur rishtedar bhi hamari arthik sankat mein madad nahi kar paate hain. Aise mein hamare samne aur bhi gehra sankat uth khada hota hai. Ki aise mein kis prakar se apne niji kharch uthaye jaaye.
Dosto, jab aapke sabhi raste band ho jaate hain to aap avashya hi loan ke vikalp ke bare mein sochte honge. Loan lene mein bhi bahut sari archan aati hai. Aur yah ek bahut hi bada process hai. Isi kagji prakriya ko lekar log loan lene se katrate hain.
Aur kai bar loan reject ho jane ki vajah se bhi log loan lene se pehle kai bar soch vichar karte hain. Dosto, aaj ke is article mein hum aapko ek aisa aasan tarika batayenge. Jiske madhyam se aap ghar baithe hi 10 se 15 minute ke andar loan le sakte hain.
CASHe Personal Loan App Kya Hai?
विषय-सूची
Aksar hum dekhte hain ki jab bhi kisi loan application ke liye aavedan karte hain. To iske liye humko bahut hi lambi chaudi prakriya se gujarna padta hai. Sath hi sath bank agent ke samne gidgidana padta hai. Tab jakar bhi loan ke acceptance ki umeed kuch jyada nahi hoti. Aur aaj ke samay mein itna waqt bhi kisi ke paas nahi hai, ki jo mahine bhar ki bhag daud kar sake.
Kyunki humko paisa emergency waqt ke liye chahiye hota hai. To offline loan milne mein der lag jati hai. Isi samasya se chutkara pane ke liye banking bajar mein kai prakar ki nayi application aayi hai. Jinke madhyam se ab aap ghar baithe hi loan prapt kar sakte hain.
CASHe personal loan app Bhartiya companiyon dwara nirmit app hai. Jiske dwara aapko instant loan diya jata hai. CASHe personal loan app ke dwara personal loan online diya jata hai. Jiske madhyam se grahakon ko ₹1000 se lekar 400000 tak ka niji rin pradan kiya jata hai. Personal loan lene ke liye yah ek sabse behtarin app hai.
Jiske andar aapko kuch hi minute mein personal loan pradan kiya jata hai. CASHe personal loan app ke madhyam se ek salaried vyakti hi loan le sakta hai. Loan lene ke liye grahak ki nyuntam aay 12000 rupaye se adhik honi chahiye.
इसे भी पढ़े – Shriram Finance Vehicle Loan Details (श्रीराम फाइनेंस व्हीकल लोन डिटेल्स)
CASHe Personal Loan Eligibility
CASHe personal loan app se loan lene ke liye aapko loan application ke kuch niyam aur sharton ko pura karna hota hai. Tabhi jakar aapki loan prakriya antim parinaam tak pahunchati hai.
Aur apki loan ko app ke dwara swikriti pradan ki jaati hai. CASHe personal loan lene ke liye aapko nimant sharton ko pura karna hota hai. Tabhi jakar aap loan lene ke liye eligible ho paate hain.
- CASHe personal loan lene ke liye aapki aayu nyuntam 21 varsh se adhik hone chahiye.
- Yah loan sirf salaried person ko hi di jati hai aur salaried vyakti ki maasik aay nyuntam 12000 rupaye se adhik honi chahiye.
- Sath hi sath aapka bank mein account hona jaruri hai. Kyunki loan rashi ko sidhe bank mein hi transfer kiya jata hai.
Yah kuch sharte CASHe personal loan app se loan lene ke liye aapko puri karni hoti hai. Iske bad aapki loan ko manjuri mil jaati hai. Aur aapka paisa sidha hi bank mein transfer kar diya jata hai.
Paisa aane ke baad aapko company ki taraf se call aata hai. Jisme aapko aapke loan swikriti ke bare mein jankari di jati hai.
CASHe Personal Loan Interest Rate (CASHe Personal Loan पर कितना ब्याज लगेगा?)
Jab bhi hum kisi prakar ki loan ki baat karte hain, to byaj daren sabse pehle hamare dimag mein aati hai. Aur kisi bhi prakar ka loan lene se pahle byaj daron ke bare mein jaan lena bahut hi jyada jaruri hai. Kyunki kai bar dekha jata hai ki log mushkil samay mein byaj daro ki aur dhyan nahi dete hain.
Aur baad mein unhe pata chalta hai, ki loan lene se fayda hone ke bajay uska nuksan ho raha hai. Isliye hi kisi bhi prakar ki loan lene se pehle aapko byaj daron ke bare mein jaan lena bahut hi jaruri hai.
CASHe personal loan app par 2.25% masik dar se byaj liya jata hai. Aur loan ka repayment karne ke liye 3 mahine se lekar dedh saal tak ka samay diya jata hai.
Sabse acchi baat yah hai ki yadi aap apne loan ko pehle hi repayment karna chahe to aapko foreclosure charge bhi nahin dena padta hai. “CASHe Personal Loan App Customer Care Number, Interest Rate, Review, Eligibility, Document, Apk Download? CASHe Personal Loan Kaise Le?”
इसे भी पढ़े – एक बीघा जमीन पर कितना लोन मिल सकता है? | खेती की जमीन पर लोन केसे लें?
CASHe Personal Loan Ke Liye Document Kya Kya Chahiye
Dosto, jaisa ki aapko pata hai ki kisi bhi prakar ke loan lene se pahle aapko kagji prakriya se gujarna padta hai. CASHe personal loan app se loan lene ke liye bhi aapko apne kuch avashyak dastavej app par download karne hote hain.
Jinke aadhar par aap ki satyata aur aapke nivas sthan se sambandhit anya jaanch ki jaati hai. CASHe personal loan app se loan lene ke liye aapko nimnalikhit dastavejon ki jarurat hoti hai.
- Aapko apni ek selfie khinch kar upload karni hoti hai.
- Loan lene ke liye aapko PAN card ki bhi avashyakta hoti hai.
- Aapko kisi ek ID ki jarurat bhi hoti hai, jaise ki Private licence, Voter ID, Passport, Aadhar card inmein se koi bhi ek ID. Jise pahchan patra ke roop mein prayog kiya ja sake.
- Aapki banking len den aur salary ki jaanch karne hetu aapke pichle 3 mahine ki bank statement bhi aapko upload Karni hoti hai.
CASHe Personal Loan Apply Online (CASHe Personal Loan Kaise Le?)
Dosto, ab baat karte hain CASHe personal loan app se loan lene ke liye apply kaise kare. CASHe personal loan lene ke liye aavedan karna bahut hi saral prakriya hai. Jise aap aasani se ghar baithe apne phone ki madad se kar sakte hain.
- Sabse pahle aapko CASHe app Google Play Store se download karna hoga aur isme registration karna hoga.
- Registration karne ke liye aapko apne kisi ek account ki jarurat hogi. Jaise ki Google account ya Facebook account ke madhyam se bhi aap login kar sakte hain.
- Ab aapko personal loan ke liye apply karna hoga. Aap personal loan vikalp per click kare.
- Uske baad aapko apni personal details sambandhit sabhi jankariyan iss app mein bharni hogi. Taki aapki eligibility ke bare mein app ko ek andaza mil sake.
- Aapko apni KYC se sambandhit dastavej upload karne honge.
- Aavashyak dastavejon ko submit karne ke pashchat aapki loan application review mein chali jayegi. Jahan par app ke karmchari aapki loan application par vichar karenge. Yadi aapke dwara di gayi jankari sahi payi jaati hai. Aur aap sabhi niyam aur sharton ko pura karte hain. To aapki loan ko swikriti pradan kar di jaati hai.
इसे भी पढ़े – Home Loan Subsidy Kaise Check Kare (होम लोन सब्सिडी कैसे चेक करे)
CASHe Instant Personal Loan App Apk Download
CASHe personal loan app ek Bhartiya app hai, jiski madad se instant loan pradan kiya jata hai. Is app ke dwara diye jane wale loan short term loan hote hai.
Ab tak is app ko 50,00,000 logo se jyada ne download kiya hai. Iski rating Play Store par 5 mein se 4.2 hai.
Is app ko Google Play Store se download kiya ja sakta hai. Iske alava aap ise APK format mein bhi download kar sakte hain.
Yah app kisi bhi prakar se download karna surakshit hai. “CASHe Personal Loan App Customer Care Number, Interest Rate, Review, Eligibility, Document, Apk Download? CASHe Personal Loan Kaise Le?”
Yadi aap is app ko apk version mein download karna chahe to vah bhi Google ki madad se kar sakte hain. Apk version mein download karne hetu aapko niche link pradan kiya gaya hai.
Jiske madhyam se aap CASHe instant personal loan application ko download kar sakte hain. Jaisa ki aapko bhi pata hoga ki applications ke version badalte rehte hain. Isi orakar is app ke bhi kafi sare version badal chuke hai.
DOWNLOAD APK: Click Here
CASHe Personal Loan EMI Calculator
Vaise sabhi prakar ke bankon aur loan application ke liye ek hi calculator ka istemal kiya ja sakta hai. Kyunki loan calculator ke liye ek formula ka istemal kiya jata hai. Jo sabhi prakar ke loan ke liye manya hota hai.
Personal loan calculator ke liye aapko apni loan rashi ke bare mein pata hona chahiye. Sath hi sath uss par liye jane wale byaj daron ke sath sath loan repayment ka samay pata hona chahiye. Yadi aapko in tino cheejo ka pata hai, to aap aasani se loan EMI calculate kar sakte hai.
CASHe personal loan EMI calculator ke liye aap iss link ke madhyam se apni loan EMI calculate kar sakte hai. Click Here for EMI Calculator
इसे भी पढ़े – EMI Pe Mobile Kaise Le | किश्तों (EMI) पर मोबाइल फ़ोन कैसे ले?
CASHe Personal Loan Customer Care Number
Dosto, jitna aasan process kisi bhi loan application ki official website par likha hota hai. Darasal itni aasani se yah prakriya ho nahi pati hai, to aise mein hamein kai baar customer care number ki bhi jarurat padti hai.
Taki aap apno samasyaon ko achi tarah se samajh sake. CASHe personal loan customer care number to uplabdh nahi hai, magar aap apni samasyaon aur pareshaniyon ko CASHe personal loan ki email id par bhej sakte hai.
Aap apni samasyaon ka hal support@cashe.co.in par pa sakte hai. “CASHe Personal Loan App Customer Care Number, Interest Rate, Review, Eligibility, Document, Apk Download and CASHe Personal Loan Kaise Le?”
The CASHe Personal Loan Review
CASHe personal loan ke bare mein humne google aur play store par uplabdh review padhe. Jahan par hame nakaratmak aur sakaratmak dono hi prakar ke bharpoor review mile.
Play store par iss personal loan app ki rating 4.2 hai. Yadi hum baat kare santusht grahako ki to unke anusar loan ki processing prakriya bahut hi sahi hai. Aur aap ise aasani se loan lene ke liye upyog mein la sakte hai. Santusht grahakon ki maane, to waise to iss loan app mein customer care number nahi hai. Magar phir bhi yadi kisi jankari ki avashyakta company ko hoti hai to aapko personal call karte hai.
Iske alava loan rashi bhi do ya teen din ke andar hi aapke bank khate mein sidhe transfer kar di jaati hai. Santusht grahak batate hain ki loan prakriya bahut jyada mushkil nahi hai aur aap use instant loan ke liye aasani se upyog mein la sakte hain.
Vahi dusri taraf is app ka anya pehlu bhi hai. Jisme aapko app ke bare mein nakaratmak comments dekhne ko milte hain. Aur app ki kamiyon ke bare mein bhi pata chalta hai.
Asantusht grahakon ka kehna hai ki loan process bahut hi slow hai. Loan ko review mein hi pade hue 10- 10 din se adhik time ho jata hai. Aur koi bhi response nahi mil pata hai. Dusri taraf e.mail karne par bhi loan app ki taraf se koi response nahi aata.
इसे भी पढ़े – Pan Card Se Loan Kaise Le | पैन कार्ड से लोन कैसे लेते हैं?
Conclusion
Dosto, aaj ke iss article mein humne CASHe personal loan app ke bare mein jankari pradan ki hai. Aapko loan se sambandhit sabhi pehluyon ke bare mein jankari de di gayi hai. Humne jana ki “CASHe Personal Loan App Customer Care Number, Interest Rate, Review, Eligibility, Document, Apk Download and CASHe Personal Loan Kaise Le?” ityadi ke bare mein.
App ke review se padhne se pata chala ki loan app Itna accha bhi nahin hai To kharab category mein bhi nahi rakh sakte hain. Magar han, loan app ki pyaj dare bahut hi jyada adhik hai. Aur aap ko soch vichar karte huye loan lena chahiye. Koshish kare ki itni jyada byaj daron per kam samay ke liye hi loan le.
Taki aapko kam byaj ka bhugtan karna pade. Asha karte hai ki apko yah article pasand aaya hoga. Yadi aapka koi dost ya rishtedar loan lene ke bare mein vichar kar raha hai. To aap use iss article se jarur avgat karaen. Aise hi anya mahatvpurn jankariyon ke liye bane rahiye hamare is website ke sath. Aap hamari website par jakar vibhinn loan application ke bare mein jankari prapt kar sakte hain.