Dhani Super Saver Card Kaise Banaye & Kaise Use Kare? Dhani Super Saver Card Benefits in Hindi, Review & Customer Care Number: Dosto, kabhi na kabhi to aapko udhar paiso ki jarurat padi hogi. Aise mein aap apne dosto ya rishtedaron se madad lete honge.
Agar rishtedar aur dost bhi paise dene se mana kar de ya koi bahana bana le, to aap kya karte ho? Aap kisi bank se loan lete honge ya fir byaj par karj lete honge. Sathiyon, aaj hum aapki iss samasya ka hal lekar aaye hain. Agar aapko paise ki jarurat hai to aapko kisi bhi vyakti se paise mangne ki jarurat nahi padegi.
Aaj hum aapko batayenge, ek aise card ke bare mein jisse aap jab chaho aur jitni baar chaho paise kharch kar sakte ho. Jitni baar iss card ka istemal aap karoge. Utani hi bar aapko 5% basic cashback aur milega.
Aur pratyek mahine aapko 1250 rupaye ka cashback bhi milega. Ab aap soch rahe honge ki yah kaun sa card hai jo itni suvidhayen deta hai. Dosto, iss card ka naam hai: Dhani super saver card.
Aaj iss post mein hum iss card se sambandhit sari jankari prapt karenge. Jaise Dhani super saver card lene ke fayde kya hai? Dhani super saver card ka istemal kahan par kare, Dhani super saver card kaise len? Ya Dhani super saver card kaise banaye, Dhani super saver card cashback limit, Dhani super saver card customer care number. Aur aakhir mein hum aapko Dhani super saver card review ke bare mein batayenge. Aur batayenge ki aapko yah card lena chahiye ya nahi.
Dhani Super Saver Card क्या है?
विषय-सूची
Dhani card, debit card ki tarah hi hai. Magar yah rupay card hai. Dhani app ki shuruaat 16 January, 2017 ko hui thi. Dhani super saver card ek aisa card hai, jiski madad se aap jab chahe tab paisa kharch kar sakte hain.
Aap jab bhi iss card se paise kharch karoge, to aapko 5% basic cashback aur milega. Yah ek credit card ki tarah hi hai jiska upyog hum apni jaruraton ko pura karne ke liye karte hain. Aap iske jariye se medical suvidhaen bhi 24 ghante muft mein prapt kar sakte hain.
Agar aap isse davaiyan kharidte hain to aapko 40% se 60% tak ki chhut milegi. Aap Dhani card ka upyog apni dainik jaruraton ko pura karne ke liye kar sakte hain.
Jaise shopping karna (online aur offline), bajar se saman kharidna, petrol aur diesel bharvane ke liye. Arthat aap kisi bhi cheez ka bill bhar sakte hai. Yahan tak ki mobile phone recharge aur hotel bhi book kar sakte hain.
इसे भी पढ़े – Bajaj Finserv EMI Card Kaise Banaye? | बजाज फिनसर्व ईएमआई कार्ड क्या है?
Dhani Super Saver Card लेने के फायदे क्या है? (Dhani Super Saver Card Benefits in Hindi)
Ab baat karte hain ki kya suvidhaen humko Dhani super saver card se milti hai. Aur kya fayde hain, Dhani super saver card banvane ke. Kyunki jo chijen hamare fayde aur hamare liye upyogi ho. Unka hi hame istemal karna chahiye. To chaliye dekhte hain, Dhani super saver card ke fayde.
- Dhani card se kisi bhi prakar ki len den karne par aapko pratyek len den par 5% tak ka cashback milega.
- Aapko iss card par pratyek mah 1250 rupaye ka cashback milega.
- Agar aap is card ke dwara insurance bhi karate hain, to aapko ₹200000 ka insurance bhi milega.
- Aap iss card ko apne mobile phone se hi on off kar sakte hain.
- Aap is card ki madad se kahin par bhi online ya offline shopping kar sakte hain.
- Iss card ke sath sath aapko swasthya sevayen muft mein milti hai.
- Agar aapka record accha rehta hai to aapke card ke paise kharch karne ki limit bhi badha di jaati hai.
To aapne dekha ki iss card se aap kis prakar ki sevaye le sakte hain. Aur apna fayda utha sakte hain. Ab hum baat karte hain ki Dhani super saver card kaise le? Dhani super saver card kaise banaye? To chaliye dosto, aapko iss card ko prapt karne ki prakriya se bhi rubaru karate hain.
इसे भी पढ़े – एक बीघा जमीन पर कितना लोन मिल सकता है? | खेती की जमीन पर लोन केसे लें?
Dhani Super Saver Card Kaise Banaye & Kaise Use Kare?
- Dhani super saver card banwane ke liye aapko Dhani Application ko Google Play Store ya App Store se download karna hoga.
- Download hone ke pashchat isme apni profile set karni hai. Ismein aasan se steps hote hain jaise bhasha ka chunav.
- Uske baad phone number dalkar register karna padta hai. Yaad rahe ki aapka phone number aadhar card se link hona chahiye.
- Ab aapko app ke home page par hi Dhani super saver card ke option par click karna hai.
- Uske baad aapko apni KYC puri karne ke kuch steps pure karne hote hain.
- Ab aapko Dhani card ke liye plan lena hai ki aap kaun sa plan lena chahte hain. (Plan lene ke liye aapko fees charge dena padta hai).
- Plan le lene ke baad aapka card ban jayega.
- Ab is card ko aap order karke manga sakte hain. Ya fir aap isse application mein diye gaye vikalp se hi istemal kar sakte hain.
- Aapka Dhani super saver card 7 se 15 din mein aapke pass a jata hai.
Dhani Super Saver Card Cashback Limit क्या है?
The Dhani super saver card par jo cashback milega, uss cashback ki limit kya hogi and Dhani super saver card ki cashback limit aapke plan ke upar nirbhar karti hai. Udaharan ke taur par yadi aapne 350 rupaye wala plan liya hai.
To aapko 10000 rupaye kharch karne par ₹500 ka cashback milega. Ab aapko is plan mein sirf ₹150 ka hi labh hua. Kyunki aapne pehle se hi 350 ka plan le rakha hai. To kehne ka matlab hai ki Dhani super saver card ki cashback limit aapke plan ke upar nirbhar karti hai.
इसे भी पढ़े – Pan Card Se Loan Kaise Le | पैन कार्ड से लोन कैसे लेते हैं?
धनी सुपर सेवर कार्ड का इस्तेमाल कहाँ पर करे?
Ab aapke dimag mein kuch sawal aa rahe honge ki aap is card ka istemal kahan- kahan kar sakte hain. Kya iss card ka istemal kuch had tak simit to nahin hai? Kya aapke kshetra mein yah kaam karega? To chaliye jante hain ki aap Dhani super saver card ka istemal kahan- kahan kar sakte hain.
Dhani super saver card ka istemal 30 lakh se jyada store par kiya jata hai. Iske madhyam se aap mobile recharge, petrol- diesel, kirane ka saman, kapde, kisi bhi prakar ka bill pay karna. Arthat aap jo chahe vah is card ki madad se khareed sakte hain.
Online hi nahi yah sab suvidhayen offline bhi milti hai. Iska upyog aap desh ke kisi bhi rajya ya kshetra mein kar sakte hain. Yah to spasht hai ki Dhani card ka debit ya ATM card ki tarah istemal kiya ja sakta hai. “Dhani Super Saver Card Kaise Banaye & Kaise Use Kare? Dhani Super Saver Card Benefits in Hindi, Review & Customer Care Number”
The Dhani Super Saver Card Customer Care Number
The Dhani card customer care number aur aapke jarurat se sambandhit number aur email id niche di gayi hai. Agar aapko kisi bhi prakar ki jankari ya shikayat darj karani hai, to niche likhe hue number par sampark kar sakte hain.
Dhani Card
Call: 0124-6165722
(Monday to Saturday, 8am to 8pm)
Email: support@dhani.com
Dhani Doctors
Call: +91-7878679955
(Monday to Sunday, 9am to 9pm)
Email: healthcare@dhani.com
Dhani Pharmacy
Call: +91-7878679955
(Monday to Sunday, 9am to 9pm)
Email: healthcare@dhani.com
इसे भी पढ़े – Mahila Loan 30000 Scheme 2021 | Mahila Samridhi Yojana
Dhani Super Saver Card Review
To dosto, ab baat karte hain Dhani super saver card ke review ke bare mein. Baat karte hain ki kya Dhani super saver card aapke liye vakya mein faydemand hoga. Main pehle bhi kehta raha hoon ki internet par di hui jankari par aankh band karke bharosa nahi karna chahiye.
Kyunki jyadatar company aur website in chijon ke nuksan ke upar prakash nahin dalte hai. To dosto, aao baat karte hain Dhani super saver card ke bare mein. Aur hum aapko batayenge ki aapko yah card istemal karna chahie ya nahin.
- Pahle saal ka shulk vasul karne ke liye aapko lagbhag 5000 rupaye prati mahine iss card ke jariye kharch karne honge. Lagbhag 60 hazar har saal. 60 hazar rupaye ki rashi se adhik kharch karna aapko sahi mayne mein cashback dila sakta hai.
- Jab aap card order karte hain to aapko 99 rupaye ka shulk dena padta hai. Ismein aapko adhik se adhik 1250 ka cashback mil sakta hai.
- To mujhe iss card ka fayda un logon ke liye adhik nahi lagta hai. Jo ek saal mein 60 hazar se jyada kharch nahi kar sakte hain.
- Meri rai mein, yah card mehnga hai. Aur us vyakti ke liye accha vikalp nahi hai. Jisne 60 hazar rupaye se adhik kharch nahi kiya hai.
- Aap vittiya bazar ke jokhimo ko puri tarah se jankar hi koi kadam uthaye. Humne card ke fayde aur sambhavit nuksan aapke samne prastut kar diye hain. Card aapko lena chahiye ya nahi, yah nirnay aapke upar chodte hain.
इसे भी पढ़े – SBI Yono App Se Personal Loan Kaise Le?
Conclusion
Aaj iss post ke madhyam se humne aapko bataya ki kis prakar se “Dhani Super Saver Card Kaise Banaye & Kaise Use Kare? Dhani Super Saver Card Benefits in Hindi, Review & Customer Care Number Kya Hai”.
Halanki Dhani super saver card se judi sari jankari upar likhit panktiyon mein de di gayi hai. Agar iske bawajud aapko koi baat ho jo samajh nahi aayi, to use comment kar ke puche. Hum uska jawab aapko jarur denge.
Agar aapko yah post jankari se bharpur lagi ho to iss post ko apne doston mein jarur share kare. Taki musibat ke samay vah bhi iss app ka fayda utha sake. Kai baar hame paise ki atyant avashyakta hoti hai.
Magar paisa samay par nahi mil pane ki vajah se hamara bhari nuksan ho jata hai. Agar aap ko post ki jankari se lagta hai ki kisi ka fayda ho sakta hai. To jarur iss post ko apne dosto ke sath sanjha kare.
इसे भी पढ़े – Google Pay Loan Kaise Le in Hindi | Google Pay Loan कैसे देता है?
Disclaimer
Vaise to Dhani app puri tarah se surakshit hai. Aur Dhani card bhi puri tarah surakshit aur verified hai. Iske bare mein nakaratmak aur sakaratmak dono hi prakar ke review hain. Yah post jankari hetu likha gaya hai.
Kisi bhi prakar ki scheme ya seva ki suvidha lene se pehle aap sambandhit company ke bare mein pata kar le. Bina satyata ke kisi bhi company se lenden na kare. Company se unki byaj daro ke bare mein bhi pata kar le.
Agar kisi prakar ki aapko hani hoti hai, to hamari website iske prati uttardai nahi hogi. Agar aap loan lene wali sambandhit company ki sharton ko swikar kar rahe ho.
Aapne company ki sharten puri tarah se padh aur samajh li ho, tabhi kisi prakar ke loan ke liye apply karen. Kisi bhi prakar ki truti ke liye hum pehle se hi kshama prarthi hain.