Bank Se 10000 Rupaye Tak Ka Loan Kaise Le/ Milega? आधार कार्ड से 10000 का लोन कैसे ले?: Dosto! kabhi na kabhi to aapke jeevan mein paise ki tangi aayi hogi. Aise mein hum paiso ke liye alag alag tarkeeb nikalte hai.
Magar kai baar aisa hota hai ki hamare sab rishtedar aur dost bhi paise dene se mana kar dete hai. Jiske karan hum nirash hokar apne jaruri kaam ko bhi paiso ki tangi ki wajah se chhod dete hai.
Dosto, vartman halat mein berojgari badhti hi ja rahi hai, aur mehangai ne jeb me paisa thehrna aur bhi mushkil kar diya hai. Aise mein yadi koi emergency ya medical emergency aa jaye to paiso ki wajah se hamein bahut sari musibat aur pareshani ka samna karna padta hai.
Aaj hum isi samasya ka samadhan lekar aaye hai. Dosto, aaj hum aapko batayenge ki aap turant hi 10000 rupaye tak ka loan kaise le sakte hain.
Hum aapko batayenge ki aapko kaun se bank se loan lena chahiye. Aur kaun se bank se loan lena faydemand hota hai. Sath hi sath aapko bank ki byaj dar ke bare mein vistaar roop se jankari denge.
Iske alawa hum aapko anya loan ke bare mein bhi surakshit jankari denge, jisse aap kisi bhi medical emergency ya anya jaruri kaam ke liye turant bhi loan le sakte hai. To dosto aayiye jante hai, iss loan ke bare mein.
10000 Ka Loan Kaise Le
विषय-सूची
Yadi hum baat kare 10000 rupaye ke loan ki to aise kai loan market mein uplabdh hai. Jinke tahat aap 10000 rupaye tak ka loan le sakte hai. 10000 rupaye tak ka loan online aur offline, dono hi prakar se liya ja sakta hai. Dosto, 10000 rupaye kuch jyada badi rakam nahi hoti hai to aise loan ko jyadatar garib aur madhyam varg ke log hi lete hai.
Garib vargon ki rahat ke liye aaj hum aapko aise loan ke bare mein batayenge jisme aapko byaj dar aur kisi guarantee ki avashyakta na ho. Aur sath hi sath jiski loan prakriya bhi aasan ho. Kuch bank aapko bahut hi kam byaj dar mein yah loan pradan kar denge.
To dusri aur kuch private bank aur NBFC company aapko kuch daro mein yah loan pradan kar denge. Magar dosto aaj hum aapko ek aise loan app ke bare mein bhi batayenge jiske jariye aap 10000 rupaye tak ka loan bina kisi byaj dar ke le sakte hai. “Bank Se 10000 Rupaye Tak Ka Loan Kaise Le/ Milega? आधार कार्ड से 10000 का लोन कैसे ले?”
इसे भी पढ़े – Loan Kaise Le Mobile Se?
प्रधानमंत्री स्वनिधि योजना से लोन कैसे लें
Dosto, 2020 mein corona lockdown ki vajah se desh mein bhayankar garibi fail gayi. Jis ko kam karne hetu kendra sarkar ne kai prakar ki yojnao ka shilanyas kiya.
Aur kai prakar ke loan logo ko diye jane lage. Yadi aap kisi shehar mein rehte hain, aur aapke paas koi bada udyog nahi hai to aise logo ke liye pradhanmantri ne Pradhanmantri Swanidhi Yojana ki shuruaat ki. Taki chote karobari, rehdi, patri aur anya kisi chote vyavsay se gujara karne wale log apne rojgar ko badha sake. Aur apna bharan poshan kar sake.
Pradhan Mantri Sannidhi Yojana ke tahat rehdi patri par kaam karne wale logo ko 10000 rupaye tak ka ek saal ke liye bina byaj ke loan diya jata hai. Sabse achi baat yah hai ki isme aapko kisi guarantee aur granter ki bhi avashyakta nahi hoti. Iss loan ko kisi bhi najdiki bank shakha se aasani se liya ja sakta hai.
Pradhanmantri ne aatm nirbhar bharat banane ke uddeshya se pradhanmantri Sannidhi Yojana ke tahat gareeb pariwaro ka kalyan karne hetu iss suvidha ka shilanyas kiya. Iske tahat lakho- croro logo ko bina byaj ke 10000 rupaye tak ka loan diya gaya. Jiski vajah se garib pariwaro ko apna vyavsay sthapit karne mein aasani hoti hai.
Pradhanmantri Swanidhi Yojana ka labh kisi bhi bank jaise ki Scheduled, Commercial Bank, Regional Rural Bank, Small Finance Bank, Cooperative Bank, Non banking, Finance companies, Microfinance Institution, Self help group bank, Stree Nidhi aadi bank se prapt kiya ja sakta hai. Iss yojana ka labh aap apne najdiki CSC kendra se utha sakte hai.
Chunki ab jamana digital ho chuka hai aur sabhi karya online hi hote hai. Aise mein Pradhan Mantri Sannidhi Yojana ko bhi online prapt kiya ja sakta hai.
प्रधानमंत्री स्वनिधि योजना के लिए ऑनलाइन एप्लीकेशन
Pradhan Mantri Sannidhi Yojana ke liye online bhi apply kiya ja sakta hai. Iske liye aapko sabse pehle google play store par jana hoga. Waha par pradhanmantri Sannidhi App download karna hoga.
Iss app mein jane ke baad Pradhan Mantri Sannidhi Yojana ke liye avedan karna hoga. Loan ko swikriti milne ke baad rashi sidhe aapke bank khate mein daal di jayegi. Iss prakar aap aasani se Pradhan Mantri Sannidhi Yojana ka labh utha sakte hai.
इसे भी पढ़े – Pan Card Se Loan Kaise Le | पैन कार्ड से लोन कैसे लेते हैं?
आधार कार्ड से 10000 का लोन केसे ले?
Dosto, yadi hum baat kare ki 10000 rupaye ke loan ki to aap isse kai prakar se prapt kar sakte hai. Issi prakar aap iss loan ko sirf aadhar card ke aadhar par bhi le sakte hai. Isme aapko nyuntam kagzi prakriya se guzarna padega aur sath hi sath aapko bahut hi kam byaj dar mein loan bhi mil jayega.
Aur iss loan ko aap aaram se 2 mahine ki awadhi mein lauta sakte hai. Dosto, hum baat kar rhe hai ‘Yocash App’ ki. Yah App aapko instant loan ki suvidha deta hai. Sath hi sath yah puri trah se aurakshit hai kyonki yah RBI approved hai.
Kisi bhi bank se loan lene ke liye aapki aayu 18 varsh se lekar 60 varsh ke beech mein honi chahiye. Sath hi sath aapka Bhartiya nagrik hona bhi awashyak hai. Yah suvidha sirf bharatiyon ke liye hi hai.
Iske alava aapko apni salana aay ke bare mein bhi jankari deni hoti hai. Yadi aap yogyatao ko pura karte hai, to aadhar card ke base par hi aapko loan de diya jayega. “Bank Se 10000 Rupaye Tak Ka Loan Kaise Le/ Milega? आधार कार्ड से 10000 का लोन कैसे ले?”
आधार कार्ड लोन लेने के लिए जरुरी दस्तावेज
Yah sawal aksar pucha jata hai ki aadhar card se loan lene ke liye kya sirf aadhar card ki jarurat hoti hai? Ya iske alava anya koi praman patra ki bhi avashyakta hoti hai? Dosto, aadhar card se loan lene ke liye bhi anya pramukh dastavejo ki jarurat padti hai. To aaiye jante hai, aadhar card se loan lene ke liye jaruri dastavejo ke bare mein:
- Pehchan Patra
- Aadhar Card
- Vartman Nivas Sthan Praman Patra
- Salary Slip
- Self Employed Certificate
- Mobile Number aur Bank Mein Khata.
आधार कार्ड से लोन लेने की प्रमुख शर्तें।
- Card se loan lene ke liye aapka bhartiya nagrik hona jaruri hai.
- Aapki aayu 18 varsh se lekar 60 varsh ke beech mein honi chahiye.
- Aapke paas email account aur mobile number hona chahiye.
- Aapke paas pichla koi bhi loan nahi hona chahiye, jo ki abhi tak chukaya nahi gaya ho.
Aadhar card se loan lene ke liye aapke paas bank ka account hona bhi avashyak hai. Kyonki bank account mein sidhe hi rashi daal di jaati hai. Aadhar card ke sath sath vyakti ka koi rojgar bhi hona chahiye. Jisse vah sabit kar sake ki vah loan ki adaigi kar dega.
इसे भी पढ़े – Mahila Loan 30000 Scheme 2021 | Mahila Samridhi Yojana
Money View Se 10000 Ka Loan Kaise Le?
Aaiye dosto, ab jante hai ki 10000 rupaye ka loan ek aur tarike se lene ke baare mein. Dosto Money View waise to vibhinn prakar ki loan muhaiya karta hai. Aur apne grahakon ko sevaye deta hai. Money View App ke madhyam se 5000 rupaye se lekar 500000 rupaye tak ka loan le sakte hain.
Magar yah app alag se 10000 rupaye ka loan bhi deta hai. Money View App ko Google Play Store se download kiya ja sakta hai. Yadi aapki Aayu 18 varsh se lekar 60 varsh ke beech mein hai. Aur aapki masik aay 13,500 hai to aap iss loan ke liye aavedan kar sakte hai.
Magar yaad rahe ki loan lene ke liye aapka Cibil Score 650 se adhik hona chahiye. Dosto Money View App se loan lene ke liye aapko 1.33% byaj dar ka bhugtan karna padta hai aur iske liye processing fees 2% se lekar 8% tak ho sakti hai.
Iss prakar bhi aap 10000 rupaye ka loan le sakte hai. “Bank Se 10000 Rupaye Tak Ka Loan Kaise Le/ Milega? आधार कार्ड से 10000 का लोन कैसे ले?”
10000 Ka Loan Lene Ke Liye Documents
Dosto, koi bhi loan lene ke liye sabse avashyak chij jo hoti hai, wah aapke dastavej hi hote hai. Yadi aapke dastavej sampuran aur sahi hai to aap ka loan swikrit kar liya jata hai.
Yadi aapke dastavejo mein koi kami hai, aur aap bank ke maapdando par pura nahi utar rahe hai, to aise mein aapke loan ko reject bhi kiya ja sakta hai. Kisi bhi loan ki prakriya mein lagne wala samay sabse jyada dastavej prakriya mein hi lagta hai.
Isliye avashyak dastavejo ka pehle se hi pata hona jaruri ho jata hai. Taki aapka samay bach sake aur aapko aasani se loan bhi mil sake.
- Pehchan Patra ke roop mein Aadhar Card, Driving License, Passport, Voter Id Card ityadi mein se koi bhi.
- Pan Card.
- Niwas Praman Patra
- Salary Slip
- Self Employed aur Business Certificate jisse aapka vyavsay sidh ho sake
- Khate se link mobile number aur bank mein khata hona aavashyak hota hai.
इसे भी पढ़े – Adhar Card Se Paise Kaise Nikale | आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले?
Conclusion
Dosto aaj ke iss article mein humne jana ki 10000 Ka Loan Kaise Le. Pradhan Mantri Sannidhi Yojana Kaise Le, Aadhar Card Se 10000 Ka Loan Kaise Le? Aadhar Card Loan Lene Ke Liye Jaruri Dastavej, Aadhar Card Se Loan Lene Ke Liye Pramukh Sharte, Money View App Se 10000 Ka Loan Kaise Le? 10000 Ka Loan Lene Ke liye Documents, Pradhan Mantri Sannidhi Yojana Ke Online Application ke bare mein.
Aur humne iss article mein yah bhi bataye ki kaise aap bina byaj ke loan le sakte hai. Yadi aapka koi bhi prashna ya koi anya jankari aapko iss article mein nahi mili ho, to aap usse comment karke puch sakte hai. Aapki samasya ka hal jaldi kiya jayega.
Anya mahatvpurn loan jankari ke liye hamari issi website ke home page par jaye. Isi prakar ki jankari ke liye hamari website ko bar bar check karte rahe. Iss post ko apne dosto aur rishtedaro ke sath jarur share kare, taki wo bhi iss labhdayak loan ke bare mein jaan sake aur aapatkalin sthiti mein iska fayda utha sake.