Kissht Loan Kaise Le? | Kissht Personal Loan Apply Online

अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

Kissht Personal Loan App Kya Hai & Kaise Le/ Kare? Kissht Loan App Review & Customer Care Number: Dosto, aapko paise ki jarurat to padti hi hogi. Aur kai bar aisa hota hoga ki aapke paas paise nahi hote honge.

To aap paise mangne ke liye apne rishtedaron ya dosto ke paas jate honge. Yadi vah bhi mana kar de to fir kya ho. Fir aap loan lene ke bare mein vichar karte honge. Magar bank se loan milna koi aasan kaam nahi hai.

Iske liye banko ke mahine bhar chakkar lagane padte hai. Jo bahut mushkil hota hai. Itne mein to aapki agle mahine ki salary bhi aa jayegi. Jab tak aapka loan milega. Yadi aapko aise hi mahine ke beech mein paiso ki avashyakta pad jaye to kya ho?

Dosto, aaj hum aapki iss samasya ko hal karne ke liye ek upay hai. Aaj hum aapko ek aise app ke bare mein batayenge. Jisse aap 10000000 rupaye tak ka loan le sakte hai. Aur iske liye aapko kisi bank ke chakkar bhi nahi katne padenge.

Yah loan puri tarah se online hai. Aur isme kisi prakar ka koi guarantee nahi chahiye. Aapko bus app ko download karna hota hai. Aur aapne kuch jankariyan deni hoti hai. Uske baad bank aapke khate mein paise bhej deta hai. To chaliye dosto jante hai, iss app ke bare mein. Iss app ka naam hai, Kissht Personal Loan App.

Kissht Personal Loan App Kya Hai & Kaise Le/ Kare? Kissht Loan App Review & Customer Care Number

Kissht Loan App Kya Hai

Kissht loan app RBI se panjikrit hai. The Kissht loan app se aap kabhi bhi aur kahin bhi shopping kar sakte hai. Kissht app aapko kai prakar ki loan suvidhayein uplabdh karata hai. Yahan se aap apne chote se chote kaam se lekar bade udyog ke bare mein bhi soch sakte hai.

Kyonki yah app aapko aapki jarurat ke anusar 10 lakh rupaye tak ka loan deta hai. Jaise ki personal loan, shopping loan ityadi ki madad se aap 10000 se lekar 10 lakh rupaye tak ki loan le sakte hain. Byaj daren 14% se 28% APR tak ho sakti hai.

Loan rashi ko aap ko 3 mahine se lekar 24 mahine ki awadhi mein chukana padta hai. Magar yaad rahe ki loan rashi aapke credit card ke aadhar par nirbhar karti hai. Jitna accha aapka cibil score hoga, utna accha amount aapko loan ke dwara milega.

Yah baat hum pehle hi saaf kah dete hain ki kai baar aapke card ke score ko dekhkar bahut kam rashi ka loan aapko diya jata hai. To dosto, ab aap samajh gaye honge ki kissht app kya hai.

इसे भी पढ़े Loan Kaise Le Mobile Se? | मोबाइल से लोन कैसे ले सकते है?

Types of Personal Loans Offered by Kissht Loan App

1. Online Shopping Purchase Loan:

Kissht app bhagidaron jaise Flipkart, Amazon, Samsung se EMI par online kharidari karne ke liye aap loan le sakte hain. Aur shopping ke liye arthik madad prapt kar sakte hain.

Yadi hum baat kare online shopping purchase loan ki to isko bhi 3 se 24 mahine ki awadhi mein chukana padta hai. Iski byaj daren 24% se 28% tak hoti hai.

2. Quick Personal Loan:

Kissht loan application ke antargat self employed (swarojgar) vyaktiyon aur vetan bhogi (salaried) vyaktiyon ko quick personal loan liya jata hai. Iss loan ke tahat aapko ₹5000 se lekar 1,00,000 tak ki loan rashi vitrit ki jati hai.

Jisse aapko 3 mahine se lekar 15 mahine ki awadhi mein chukta karna hota hai. Agar baat kare byaj daron ke bare mein to yah 16% se lekar 26% tak ka byaj daron ke aadhar par quick personal loan deta hai.

3. Revolving line of credit up to 2 years:

Kissht application ke jariye aap do saal ke liye loan le sakte hai. Yadi grahak pabandi ke sath EMI deta rahata hai. To uski card limit badhane ke sath sath grahak ko byaj daron mein chhut di jaati hai.

Yadi company ke sath grahak ka len den sahi rehta hai, to grahak ko 30000 tak ki card limit badha di jaati hai. Iske liye company 20% se 28 pratishat tak ka loan vasul sakti hai.

Kissht Personal Loan Ke Liye Apply Kaise Kare/ Kissht Personal Loan Kaise Le?

  • Sabse pehle aapko Kissht loan app download karna hai.
  • Uske baad aapko apne mobile number se register karna padta hai.
  • Uske baad app aap se kai prakar ki anumati (permission) mangega. Aapko vah anumati de deni hai.
  • Ab aapko apna KYC document bharna padega. Taki aapka credit score check kiya ja sake.
  • Uske baad aapke samne NBC companiyon ke loan agreement aaenge. Aapko jo loan lena ho usse aap sign kar de.
  • Uske baad aapki loan approval ke liye jayegi.
  • Yadi aapki loan approve hoti hai to aapka paisa aapke diye gaye khate mein daal diya jayega.

इसे भी पढ़े SBI Yono App Se Personal Loan Kaise Le?

किश्त ऐप से लोन लेने के फ़ायदे। (Kissht Personal Loan Kaise Le?)

  • Kissht app RBI dwara panjikrit NBFC hai.
  • Kam byaj dar aur processing shulk.
  • Kam lagat wali EMI ke liye suvidhajanak loan chukane ki avadhi.
  • Keval 5 minute mein online vyaktigat loan ko manjuri.
  • Koi collateral aur credit card ki avashyakta nahi hai.
  • Upi, Debit Card aur bank transfer se aasan tarike.

किश्त लोन एलिजिबिलिटी/ Kissht Personal Loan Eligibility

Ab aap soch rahe honge ki kaun kaun iss suvidha ka labh utha sakte hain. Kissht loan lene ke liye kya kya eligibility chahiye? Aur aapki patrata kya honi chahiye? To dosto, aaiye jante hain ab kissht loan app ki patrata mandand ke bare mein.

  • Kissht aap se loan lene ke liye sabse pahle aapko Bhartiya hona jaruri hai.
  • Aapki aaya kam se kam 12000 rupaye honi chahiye.
  • Aapka koi rojgar hona chahiye. Swarojgar ya vetan bhogi karmchari hone chahiye.
  • Aapki aayu kam se kam 21 varsh honi chahiye.
  • Aur sabse mukhya bindu aapka cibil score 700 se adhik hona chahiye.

Dekha dosto, kissht loan app ke kitne aasan mapdand hai.

इसे भी पढ़े Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale | आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले?

Kissht Personal Loan Ke Liye Document Kya Kya Chahiye

Ab aap soch rahe honge ki aapko Kissht app ke liye kaun kaun se dastavej dene honge. To aapko bata de ki aapko bahut kam kagji prakriya se gujarna padta hai.

Uske liye bhi aapko kisi bank ya loan dene wali company ke chakkar nahi katne padte hain. Yah loan aap puri tarah se online le sakte hain. Kissht loan ke liye jaruri kagjat hai:

  • Iske liye Aadhar Card hona chahiye.
  • Aapka bank account hona jaruri hai.
  • Ek android smartphone hona chahiye, jisme internet ka access ho.
  • Aap pehchan patra ke roop mein aadhar card, driving licence, PAN card ka sahara le sakte hain.
  • Aapko apne nivas sthan ka pata bhi dena hoga. Jiske Liye aapse ration card ya bijli ke bil ka sahara le sakte hain.
  • Kissht personal loan app ke liye aapka cibil score record theek hona chahiye. Tabhi aap adhiktam loan le sakte hain.
  • Aapko passport size photo upload karne ki bhi avashyakta pad sakti hai.
  • Ant mein aapko apni salary slip upload karni hogi. Yadi aapke pass salary slip nahi hai to aap bank statement bhi send kar sakte hain.

Kissht Personal Loan Interest Rate

Yadi hum baat kare Kissht personal loan interest rate ki to. Jaise ki humne uppar bhi bataya aapko ki yah teen prakar ki suvidha deta hai. Aur teenon prakar ki loan mein interest rate alag alag hota hai.

Kisi bhi prakar ki loan lene se pehle aap uski byaj daro ke bare mein jarur pata kar le. Kyonki kai baar adhik byaj hone ki wajah se aapko aapke loan ko repayment karne mein dikkat aati hai.

Online shopping purchase loan ki byaj daren 24% se 28 pratishat tak hoti hai.

16% se 26% tak ka byaj daron ke aadhar par quick personal loan deta hai.

Revolving line of credit upto 2 years ke liye company 20% 28% tak ka loan bhi vasul sakti hai.

इसे भी पढ़े Mahila Loan 30000 Scheme 2021 | Mahila Samridhi Yojana

Example (Kissht Personal Loan Kaise Le/ Kare?)

Udaharan ke liye yadi aap kissht personal loan app se loan lete hain. To aapko maan lijiye 30000 rupaye ka loan milta hai. Aur usko aapko 12 mahine ki awadhi mein chukana hai.

Jis par aap se prati varsh 18% ka byaj liya ja raha hai. To aapko iske liye processing fees ke taur par GST ko milakar 750 rupaye dene honge. Jo ki kul rashi ka 2.5% banta hai.

Agar baat kare EMI ki to iske liye aapko 2750 rupaye ki EMI deni hogi (pratimah). Jis par APR 22.91% hoga. “Kissht Personal Loan App Kya Hai & Kaise Le/ Kare? Kissht Loan App Review & Customer Care Number “

The Kissht Loan App Customer Care Number

Kisi bhi prakar ki jankari lene ke liye Kissht loan app ke customer care number par bhi call kiya ja sakta hai. Sath hi sath aap whatsapp par bhi apni queries jaan sakte hain. Iske alava aapko email ka bhi vikalp diya jata hai.

1. Call- 022 62820570
2. WhatsApp- 022 48913044
3. Email- care@kissht.com

The Kissht Loan App Review

Dosto, aaj se pehle bhi humne aapko bahut se loan dene wale app ke bare mein jankariyan di hai. Jisme hum unke review bhi dete hain. Kissht personal loan app ke bare mein humne review padhe. Aur pata chala ki yahan bhi same wahi pareshaniyan logo ke samne aa rahi hai.

Ki kahin loan approve nahi ho pata hai. To kai bar loan app sahi se function nahi kar pata hai. Iske alava bahut sare logo ne iske bare mein positive comment bhi kiye hain.

Aur jo batate hain ki loan lena aasan hai. Hum aapko salah dete hain kisi bhi prakar ka loan lene se pehle loan ke vibhinn pehlu par vichar kare. Aur byaj daron ke bare mein sahi se jankari prapt kar le. Taki aapko bhavishya mein koi pareshani na aaye.

Waise app puri tarah se surakshit hai Reserve Bank of India ke dwara panjikrit bhi hai. To app se loan lena surakshit to kaha hi ja sakta hai. Phir bhi hum aapko salah dete hain ki kisi bhi prakar ka loan lene se pehle company ke niyam aur sharton ko jaan le.

इसे भी पढ़े Pan Card Se Loan Kaise Le | पैन कार्ड से लोन कैसे लेते हैं?

Conclusion (Kissht Loan Kaise Le?)

Is app mein humne jana ki “Kissht Personal Loan App Kya Hai & Kaise Le/ Kare? Kissht Loan App Review & Customer Care Number क्या है?” Yadi aapko yah post jankari se bharpur lagi ho to iss post ko apne dosto tak pahunchaye.

Aur comment karke bataye ki aapko yah post kaisi lagi. Yadi aapke man mein kisi prakar ka prashna hai to aap usse comment section mein poochh sakte hain.


अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

Check Also

ZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise le? ZestMoney Account Kaise Banaye, Tamil, Customer Care Number, Review, etc.

ZestMoney Kya Hai in Hindi | ZestMoney से पर्सनल लोन कैसे ले?

अपने दोस्तों के साथ शेयर करेंZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

error: Content is protected !!