Nabard Dairy Farm Loan Kaise Le/ Kaise Milega/ Milta Hai? Nabard Bank Dairy Farm Loan Scheme 2021, Application Form pdf in Hindi: Dosto, aarthik tangi kab aa jaye kuch pata nahi chalta hai.
Kai baar aisa hota hai ki hamare paas savings ke naam par bhi kuch nahi bachta hai. Tab Hamare dimag mein loan ka khayal aata hai. Magar loan ke sath bhi bahut sare jokhim hote hain, jisse face karne se hum katrate hain.
Sabse badi baat yah hoti hai ki loan lene ke liye guarantee ke taur par hame bank ko kuch jama karna padta hai. Guarantee ke liye pratyek vyakti ke paas aisa kuch hota nahi hai, jiske badle mein vah loan le sake Aaj hum aapki Isi samasya ka samadhan lekar aaye hain.
Aur iss article mein hum aapko batayenge ki kis prakar aap aasani se loan le sakte hain. Loan lena mushkil gramin kshetro ke logon ko aur bhi mushkil pratit hota hai.
Bharat ki adhiktar jansankhya gaon mein rehti hai. Aur gaon mein rehne wale logo ke paas gay aur bhains to hote hi hai. Shayad aapko pata nahi hoga, magar aap dairy product par bhi loan le sakte hain. Rashtriya Krishi aur Gramin Vikas Bank (NABARD) aur Dairy udyamita Vikas Yojana (DEDS) ke tahat pashu kharidne aur dairy karobar ke liye loan liya ja sakta hai.
Aaiye, dosto baat karte hain ki dairy loan kaise le aur Dairy farm loan kaise le aur hum dairy loan eligibility aur avashyak dastavejon ke bare mein bhi Janenge.
Dairy Loan Kaise Le
विषय-सूची
Dosto, yadi aap gramin kshetra mein niwas karte hain aur berojgar hai, to aap nirash na ho. Hum aapki iss samasya ka samadhan lekar aaye hain. Dosto, yadi aap pashupalan mein ruchi rakhte hain. To aapke liye khushkhabri hai. Dosto ab gaay ya bhains (dairy animals) par loan lekar apna khud ka vyavsay shuru kar sakte hain.
Dosto, yadi aapke paas do se adhik pashu hai, to aap is loan ke liye apply kar sakte hain. Magar yaad rahe pashuo ke liye charagah ki jameen hona bhi avashyak hai. Kyonki bank yah dekhta hai ki kya aapke paas apne pashuon ke liye charagah ke liye uplabdh jameen hai ya nahi. Jitne aapke paas pashu honge utne hi adhik aapke loan manjur hone ke chances honge.
Aur sath hi sath mein aapki loan rashi bhi adhik hogi. Yadi aapki aayu 18 varsh se lekar 65 varsh ke beech mein hai, to aap is loan ke liye apply kar sakte hain. Aaiye, dosto jante hain dairy loan lene ke liye avashyak niyam kya kya hai.
इसे भी पढ़े – Adhar Card Se Paise Kaise Nikale | आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले?
Dairy Farm Loan Kaise Le
Dairy farm loan lene ke liye hamein kuch aavashyaktao ko pura karna hota hai. Yadi aap in aavashyaktao ko pura karne mein saksham nahi hai, to aapka loan asweekar kiya ja sakta hai.
- Dairy farm loan lene ke liye aavashyak aayu seema 18 se 65 varsh ke beech mein honi chahiye.
- Dairy farm loan lene ke liye kam se kam do pashuon ka hona anivarya hai. Gaay ka 7 liter aur bhains ka 8 litre dudh dena bhi avashyak mana jata hai. Kyunki bank unhin aavedan karta ke loan ko swikriti deta hai. Jinki bhains 8 litre se adhik doodh deti hai.
- Panch pashuon ke liye aapke paas 0.25 acre zameen pashuon ke charagah ke liye uplabdh honi chahiye. Yadi aapke paas zameen nahi hai. To aap kisi ki zameen kiraye par lekar bank se agreement ke taur par bhi loan le sakte hain.
- Yadi aapne kisi anya prakar ka loan le rakha hai. To usmein aapki sthiti theek honi chahiye. Aur aapka record kharab nahi hona chahiye.
- Jis kshetra mein aap dairy lagana chahte hain. Uss kshetra ka aapke pass mool nivas praman patra bhi hona aavashyak mana jata hai.
- Yadi aapke paas yah sab uplabdh hai to aap kisi bhi najdiki shakha mein jakar dairy loan ke liye apply kar sakte hain. Yadi bank ko aap ke dwara di gai jankari satya aur pramanit lagi to aapka loan manjur kar liya jayega. Aur rashi aapke khate mein daal di jayegi.
- Yadi aap in aavashyaktao ko pura kar dete hain. To bank aap ke loan ko swikriti de deta hai. Iske pashchat aap dairy loan ki suvidha ka anand le sakte hain.
इसे भी पढ़े – Loan Kaise Le Mobile Se? | मोबाइल से लोन कैसे ले सकते है?
Nabard Se Dairy Loan Kaise Le
Dosto, dairy loan ko bank aur Nabard dono se liya ja sakta hai. Iske liye aapko apni sthiti ko dekhna hoga. Yadi aap dairy loan iss uddeshya se le rahe hain, ki aapko dairy vyavasaya mein kadam badhana hai. To iske liye aapko apne nazdiki bank shakha se sampark karna chahiye.
Kyunki Bank Nabard ke muqable mein jyada loan rashi uplabdh kara sakte hain. Sath hi sath yadi aap Nabard se dairy loan lena chahte hain, to iske liye aapko apne jile ke Nabard office jana hoga.
Yahan par aapko apne liye avashyak dastavejon ke sath loan ke liye apply karna padega. Bank mein jaakar aapko subsidy form bharna hoga. Nabard se dairy loan ke liye aapko Nabard ki official website par jakar form download karna padega.
Iske liye aapko Nabard ki official website par jakar “information center” option par click karna hoga. Uske baad aapko kai prakar ke PDF link dikhai denge. Aap jis bhi loan ko lena chahte hain, uss link par click karke form download kare. Aur Nabard office ya bank mein jakar dastavejon ke sath jama kara de.
Nabard Dairy Loan Scheme 2021
Nabard Dairy loan 2021 ke tahat khyal rakha gaya hai ki kis prakar gramin kshetro mein fail rahi berojgari ko kam kiya ja sake. Aur sath hi sath dudh utpadan mein teji lai ja sake. Kyonki dairy industry bhavishya mein pramukh industry mein se ek hogi. Jiska uddeshy badhti khadya padarthon ki maang ko pura karna hoga.
Isliye Kendra Sarkar Ne Nabard dairy loan scheme 2021 ke tahat gramin kshetro mein dugdh utpadan par subsidy dene ka elaan kiya hai. Jiska uddeshy garib aur gramin kshetro mein rehne wale berojgaro ko aise avsar pradan karna hai, jinki madad se vah rojgar pa sake.
National Bank for Agriculture and Rural Development (NABARD) Bharat mein ek vikas vittiy sansthan hai. (Finance Institute) jo krishi aur gramin upkramo ke liye yojana niti aur sanchalan, jaise rin sambandhi karyon ka prabandhan karta hai. “Nabard Dairy Farm Loan Kaise Le/ Kaise Milega/ Milta Hai and Nabard Bank Dairy Farm Loan Scheme 2021, Application Form pdf in Hindi”
Nabard krishi se sambandhit gatividhiyon aur gramin vikas ke liye loan muhaiya karta hai. Taki gramin kshetro mein rojgar utpann ho sake. Iss sanstha ka mukhya uddeshya deshbhar mein gramin kshetro ka vikas aur tarkki karna hai. NABARD lagbhag teen mukhya kshetra mein kam karta hai, jisme krishi kshetra ka vitt, vikas aur supervision shamil hai.
इसे भी पढ़े – Bharat Pe Loan Kaise Le (भारत पे लोन कैसे ले)?
नाबार्ड डेयरी योजना 2021 बैंक सब्सिडी
Dairy Udyamita Vikas Yojana (DEDS) ke tahat aapko dudh utpadan mein kam aane wale upkaran kharidne ke liye subsidy pradan ki jaati hai.
Dudh upkarano par aapko 30% tak ki subsidy di jati hai. Yadi aap SC ya ST varg se sambandh rakhte hain. To aapke liye subsidy 40% tak bhi di ja sakti hai.
Yadi aap panch pashuon ke aadhar par dairy loan lena chahte hain. To iske liye aapko kul lagat ka praman dena hoga. Iske liye aapko 50% sarkar dwara subsidy di jayegi aur 50% rashi aavedak ko alag alag kiston mein EMI ke roop mein dena hoga.
Nabard Dairy Loan Interest Rate
Dosto, loan to vibhinn prakar ki bankon ke dwara samay samay par pradan ki jaati hai. Magar Nabard ka uddeshya gramin kshetro mein rah rahe garib logo ko rojgar ke avsar pradan karna hai.
Jiske tahat Nabard dairy loan mein byaj daren bahut hi kam rakhi jati hai. Taki koi bhi ise aasani se chuka sake. Iss scheme ko banate samay is baat ka khyal rakha gaya tha, ki iska pramukh upyog karta chhote garib aur kisan honge.
Isliye Nabard dairy loan ki byaj daren anya loan ke muqable mein bahut hi kam rakhi gayi hai. “Nabard Dairy Farm Loan Kaise Le/ Kaise Milega/ Milta Hai and Nabard Bank Dairy Farm Loan Scheme 2021, Application Form pdf in Hindi”
Alpkalik punarvitt sahayata (Short Term refinance assistance)
|
Nimnlikhit sasthaon ke liye 4.50%
State Bank loan aur RRB vittiya loan, DCCB vittiya loan ityadi ke liye 4.50% ki byaj dar nirdharit ki gayi hai |
Dirghkalik punarvitt sahayata (Long Term refinance assistance) | Lambi awadhi ke liye, liye jaane wale loan par 5.80% ki byaj dar nirdharit ki gayi hai |
Kshetriya Gramin Bank (RRB) aur Rajya sahkari Bank (STCB) | In bankon se loan lene per 5 saal ya adhik loan ke liye 6.40% byaj daren,
5 saal se kam ke liye 6% byaj dar aur 3 saal se kam ke liye 5.50% byaj dar vasul ki jaati hai |
Rajya sahkari Krishi aur Gramin Vikas Bank (SCARDB) | In bankon se loan lene per 5 saal ya adhik loan ke liye 6.45 pratishat byaj dar,
5 saal se kam ke liye 6.05% byaj dar aur 3 saal se kam ke liye 5.55% byaj dar vasul ki jaati hai. |
इसे भी पढ़े – Google Pay Se Loan Kaise Le Sakte Hain | Google Pay Loan कैसे देता है?
Nabard Dairy Loan Eligibility
Dosto, ab baat karte hain Nabard dairy loan ke liye eligibility criteria ke bare mein. Jaise ki humne pehle bhi bataya Nabard dairy loan gramin kshetra ko dekhte hue taiyar ki gayi hai.
Isme avedan karne ke liye aapke paas kuch avashyak dastavej aur kuch avashyak niyamon ko pura karna hota hai.
- Dairy loan lene ke liye aavedak ki aayu 18 saal se 65 varsh ke beech mein honi chahiye. Aavedak ke pass charagah ke liye zameen ka hona bhi avashyak hai. Jameen nahi hai to vah kiraye par jameen lekar agreement ko jamanat ke taur par bhi rakh kar loan le sakta hai.
- Iske sath sath hi avedak ka cibil score 685 se jyada hona chahiye.
- Sath hi sath avedak ka dairy loan vyavsay ka praman patra bhi hona aavashyak hai.
- Yadi aap yogyataon ko pura karte hain to bank ki taraf se aapke loan ko manjuri de di jayegi.
Nabard Dairy Loan Apply Online
Dosto, Nabard dairy loan ke liye online aur offline, dono prakar ke aavedan swikar kiye jate hain. Yadi aap online aavedan karna chahte hain to iske liye aapko Nabard ki official website par jakar information center me apply karna hoga.
Yahan par aapko Nabard Dairy loan product ke bare mein tamam avashyak jankari de di jayegi. Yadi aap Nabard loan ke liye online apply karna chahte hain, to iske liye aapko apne kisi bhi najdiki bank shakha mein jakar application form ke sath avashyak dastavejon ko attach karna hoga. Uske baad aapko yah form bank mein jama karna hoga.
इसे भी पढ़े – एक बीघा जमीन पर कितना लोन मिल सकता है? | खेती की जमीन पर लोन केसे लें?
Nabard Dairy Loan Required Documents
Dosto, ab baat karte hain Nabard Dairy loan ke liye avashyak dastavej kya kya hai. Dosto, yadi hum baat kare NABARD Dairy loan ke liye avashyak dastavejon ki, to
- Ismein aapko sabse pehle aapka pehchan patra hona chahiye.
- Iske sath sath hi aapke paas Jati Praman Patra (Caste certificate) bhi hona anivarya hai.
- Aapko apne vyavsay ka praman patra ki bhi avashyakta padti hai.
- Rihayashi Praman Patra
- Passport size photo
Nabard Dairy loan ki kagji prakriya bahut lambi chaudi nahi hoti. Isse aasani se pura kiya ja sakta hai. “Nabard Dairy Farm Loan Kaise Le/ Kaise Milega/ Milta Hai and Nabard Bank Dairy Farm Loan Scheme 2021, Application Form pdf in Hindi”
Nabard Dairy Loan Application Form
Vaise to NABARD dairy loan ke liye aavedan form sambandhit bank ya Nabard office mein hi pradan kiya jata hai. Yadi phir bhi aapko form nahi mil pata hai, to iske liye aapko aasan sa ek process follow karna padega. Jiske madhyam se aap aasani se sirf teen click mein Nabard dairy loan application ka form download kar sakte hain. Aaiye jante hain ki Nabard dairy loan application form ke bare mein.
Nabard Dairy loan application form download karne ke liye sabse pahle aapko Nabard ki official website per jana hoga.
Nabard ki official website par home page kholne ke baad aapko ek option milega. Jahan par likha hoga “information center”. Aapko information center par click karna hai. Uske baad aapko ek naye page par redirect kiya jayega.
Jahan aapko vibhinn prakar ke vibhinn loan diye honge. Ab aap Nabard loan application form ke liye link par click karke application form download kar sakte hain.
Nabard Dairy Loan Customer Care Number
Kisi bhi prakar ke dairy loan se sambandhit jankari ya shikayat darj karne hetu aap niche diye gaye number par sampark kar sakte hain.
(91) 022-26539895 OR (91) 022-26539899 OR (91) 022-265398996
इसे भी पढ़े – Paytm Se Loan Kaise Liya Jata Hai | पेटीएम से लोन कैसे ले?
Conclusion (Dairy Farm Loan Kaise Le?)
Dosto, humne is article mein jana ki kis prakar hum aasan tarike se khud ka vyavsay shuru kar sakte hain. Aur kis prakar se kam byaj daron mein dairy loan le sakte hain. Doston dairy loan lena bahut hi labhdayak hota hai. Darasal, iss prakar ka loan samay samay par logo ki avashyakta ko dekhte hue shuru kiya jata hai.
Yah loan Kendra sarkar ki sahayata se pradan kiya jata hai. Jiska uddeshy janta ko labh pahunchana hota hai. Isliye hi inki byaj daren anya loan ke mukable bahut hi kam hoti hai. Taki koi bhi in loan ka fayda utha sake.
Aur khud ka vyavsay shuru kar sake. Aaj ke iss article mein humne jana ki Dairy Loan Kaise Le, Dairy Farm Loan Kaise Le. Nabard se dairy loan kaise le, Nabard dairy loan scheme 2021, Nabard dairy loan interest rate, Nabard dairy loan eligibility, Nabard dairy loan apply online, Nabard dairy loan required documents, Nabard dairy loan application form ityadi. Asha hai ki aapko sambandhit vishay se ke bare mein sabhi prakar ki jankari mil gayi hogi.
Yadi phir bhi aapke man mein koi prashna hai, to aap use comment box mein poochh sakte hain. Hum jaldi aapka reply karenge. Aise hi mahatvapurna loan jankariyon ke liye hamari website ko visit kare. Aur vibhinn prakar ke loan aur loan sambandhi jankari prapt kare.