ZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise le? ZestMoney Account Kaise Banaye, Tamil, Customer Care Number, Review, etc.: Dosto, ab aapko shopping karne ke liye bazaron ki bheed se bachane ke liye online market mein bahut sare bade platform aa gaye hain. Jinke madhyam se ab aap ghar baithe hi shopping kar sakte hain.
Flipkart, Amazon aur anya bade e-commerce platform ka naam to aapne suna hi hoga. Iske alava ab jamana aur sabhi prakar ke udyog online ho gaye hain. To iss sthiti mein aapko loan bhi online hi milne lage hain. Pehle ki apeksha mein ab manav jivan aur bhi aasan ho gaya hai.
Ab puri duniya aapke ek phone tak simat kar rah gayi hai. Kisi bhi karya ke liye ab aapko ghar se bahar jaane ki jarurat nahi hai. Ab aap apne sabhi kamon ko ghar baithe hi kar sakte hain.
Dosto, jab bhi hum loan lete hain, to hame bhari bharkam byaj daro ka bhugtan karna padta hai. Magar in byaj daro se chutkara pane ke liye, aaj ke iss article mein hum aapko ek aisi jankari dene wale hain. Jiske madhyam se aap khushi se jhoom uthenge.
Aaj kis article mein, hum aapko ek aisi application ke bare mein batayenge. Jiske madhyam se aap 0% byaj par loan le sakte hain. 0% byaj par loan lena asambhav mahsus hota hai. Magar aaj ka article issi par kendrit hai. Aaj ke article mein hum aisi hi application ZestMoney ke bare mein janenge.
Yah article e-commerce madhyam se shopping karne ke liye aapko 0% byaj daro par loan uplabdh karata hai. Aaiye dosto, jante hain ZestMoney kya hai? Aur usse sambandhit anya pahluon ke bare mein.
ZestMoney क्या है? (ZestMoney Kya Hai in Hindi)
विषय-सूची
The ZestMoney ek online platform hai. Jiske madhyam se logo ko 0% byaj par loan diya jata hai. ZestMoney ke madhyam se aap sabhi unche brand jaise Amazon, Flipkart se online shopping kar sakte hain. Aur is shopping ke liye aapko kisi bhi prakar ka byaj nahi dena padta.
ZestMoney aapko yah shopping rashi loan par deta hai. Ab aapko shopping mein kharch ki gayi rashi pratimah EMI ke roop mein deni padti hai. ZestMoney app par vibhinn prakar ke product 0% par khareed sakte hain. Jaise ki fashion, travel, education, health care ityadi sambandhit.
Sabse acchi baat yah hai ki isme aap bina debit card aur credit card ke madhyam se bhi shopping kar sakte hain. Bina debit card aur credit card ke bhi aapko 0% byaj par loan de diya jata hai.
Ab aapko apni chhoti chhoti jaruraton ke liye bank se loan lene ki jarurat nahi hai. Ab aap apne ghar baithe hi application ko download karke apni jaruraton ko pura karne hetu loan le sakte hain.
Grahako ke prati aasan niyam hone ke karan yah aap din pratidin badhta hi ja raha hai. Haal hi ke kuch dino mein logo ne ise bahut pasand kiya hai. Iski nitiyon ke tahat bahut badi tadad mein grahak iski taraf aakarshit ho rahe hain.
Ek to yah online platform hai, dusra isme 0% byaj par aapko shopping karne ki chhut di jaati hai. Isi wajah se yah app kuchh dinon mein hi bahut jyada popular ho gaya hai. “ZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise le, ZestMoney Account Kaise Banaye, Tamil, Customer Care Number, Review, etc.”
इसे भी पढ़े – Pan Card Se Loan Kaise Le | पैन कार्ड से लोन कैसे लेते हैं?
ZestMoney Personal Loan की विशेषताएं और लाभ
Aaiye jante hain, ZestMoney Personal Loan se milne wali visheshtaon ke bare mein
- Dosto, zestMoney personal loan lene ke liye aapko kisi bhi shakha ke chakkar nahi katne padte hain. Aap iske liye apne mobile phone ke madhyam se hi apply kar sakte hain. Aur ise mobile phone ke madhyam se hi prapt kiya ja sakta hai.
- Iske alava aapko iss loan ke liye adhik cibil score ki bhi avashyakta nahi hoti. Kam cibil score par bhi yah loan aapko mil sakta hai. Anyatha hum bankon mein dekhte hain ki 750 se adhik wale grahakon ko hi loan milta hai. Magar ZestMoney mein aisa kuch bhi nahi hai.
- Bank se loan lene mein hame kai prakar ke charge dene hote hain. Magar ZestMoney par loan lete samay kisi bhi prakar ka loan ke liye atirikt charge nahi dena hota.
- Yadi aap loan ko kam se kam 6 mahine ke liye le rahe hain. To iske liye aapko processing fees bhi nahi deni hoti hai. Halanki 6 mahine se adhik ke loan lene par aapko processing fees deni hoti hai.
- Bankon mein hame loan band karane ke liye foreclosure charge dena hota hai. Magar ZestMoney mein aisa kuch bhi nahi hai. Aapko loan band karane par koi bhi charge nahi dena hota.
- Yah loan lene ke liye aapko credit card ya phir debit card ki bhi avashyakta nahi hoti.
- Ismein aapko puri tarah se paperless prakriya se gujarna padta hai. Aapko kagajon ki verification ke liye kisi bhi najdiki ZestMoney shakha mein nahi jana padta hai. Zestmoney mein aap document verification bhi online hi kara sakte hain.
ज़ेस्टमनी कैसे काम करता है? (How Zestmoney Works)
Jab hum ZestMoney application par apna account create karte hain. Aur usmein apna mobile number register karne ke pashchat sign up karte hain. To hame apni ek credit limit set karni hoti hai. Yah credit limit hi wah rashi hoti hai. Jiske madhyam se aap ZestMoney ke platform par shopping karte hain.
Iss credit limit ka hi istemal ZestMoney par shopping karne ke liye kiya jata hai. Aap Jo bhi shopping karna chahe, apni credit limit ke aadhar par kar sakte hain. Baad mein aapko iss rashi ka bhugtan kisto ke roop mein karna hota hai.
ZestMoney sirf bade platform aur bade brand ke liye hi available nahi hai. Balki iss par 8000 se adhik website aur choti choti aas paas ki dukaan hoti hai. Aap in dukaano par bhi Zestmoney ke madhyam se bhugtan kar sakte hain. “ZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise le? ZestMoney Account Kaise Banaye, Tamil, Customer Care Number, Review, etc.”
इसे भी पढ़े – Mahila Loan 30000 Scheme 2021 | Mahila Samridhi Yojana
ZestMoney Eligibility Criteria
Dosto, ab baat karte hain ZestMoney par account banane hetu aur iss par personal loan lene ke liye aapka eligibility criteria kya hona chahiye.
- Zestmoney ke liye aapki aayu nyuntam 18 varsh se lekar adhiktam 65 varsh ke beech mein honi chahiye.
- Aapke paas bank account hona chahiye. Iske alava aapko avashyak dastavejon mein PAN card aur Aadhar card ki bhi avashyakta padti hai.
- Aapko apne mobile number ki bhi jarurat padti hai. Kyunki ZestMoney mein account create karte samay aapko ek OTP bheja jata hai. Yah OTP verification ke liye bheja jata hai.
ZestMoney Personal Loan Interest Rate
The Zestmoney apne grahako se kisi prakar ka koi loan interest nahi leti hai. ZestMoney par 1000 se jyada e-commerce website uplabdh hai. Jinke madhyam se aap 0% par loan lekar shopping kar sakte hain. Asal mein Zestmoney par koi bhi byaj nahi liya jata hai.
Yadi phir bhi aapse koi charge liya jata hai. To punar bhugtan ke baad aapko cashback ke roop mein vah byaj rashi wapas de di jaati hai.
Zestmoney Account Kaise Banaye (ZestMoney Kya Hai in Hindi)
Zestmoney par account banane ke liye sabse pahle aapko Zestmoney.in par jana hoga. Ya phir googles search bar par Zestmoney search kare. Wahan par aapko iski Official Website par jana hoga. Jahan par aapko credit limit ka ek vikalp dikhai dega. Aapko yahan se credit vikalp ka chunav karna hota hai.
Ab aapse aapka mobile number aur email address pucha Jayega. uske baad aapke mobile number par ek OTP prapt hota hai. Iss OTP ko darj kare aur aage badhe.
OTP ko darj karne ke baad aapke number ki verification ho jati hai. Iske baad aapko ek naye form par redirect kiya jata hai. Jahan par aapko sabhi detail submit karni hoti hai.
Yadi aapki koi bhi detail mismatch hoti hai. To iss sthiti mein aapka account cancel bhi kiya ja sakta hai. Kisi bhi prakar ki jankari ko adhura na chhode. Iss sthiti mein bhi aapka account asavikar kiya ja sakta hai.
Uske baad aap se basic jankari mangi jati hai. Jaise ki aap kya kam karte hain aur pratimah aap kitne paise kamate hain? Iske alava aap se pratimah ke kharche ke bare mein bhi sawal puche jate hain. Sath hi sath aapse kuch anya niji jankari bhi mangi jati hai. Jaise ki aapke parivar mein kitne aadmi hai aur aap kin ke sath rehte hain ityadi.
Yah sab jankari darj karne ke pashchat, yah bhi jana jata hai ki aapne pehle bhi koi loan liya hai ya nahin. Yadi liya hai to usko samay par chukaya hai ya nahi. Kehne ka matlab yah hai ki aapka cibil score bhi check kiya jata hai. “The ZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise le? ZestMoney Account Kaise Banaye, Tamil, Customer Care Number, Review, etc.”
ZestMoney Personal Loan Kaise le?
0% byaj par shopping ki suvidha pradan karne ke alava ZestMoney apne grahakon ko personal loan ki suvidha bhi pradan karta hai. Zestmoney se aap online hi personal loan ke sakte hain.
Dosto, humne aapko ZestMoney app ko download karna to sikha hi diya hai. Ab aapko apne ZestMoney app mein jana hoga. Yahan par kisi bhi online website se kharidari karne ke liye aapko Zestmoney ka upyog karna hoga.
ZestMoney se ek baar shopping karne ke baad aap personal loan prapt karne ke yogya ho jaate hain. Uske baad aap patrata mandando ko pura kare. Yadi bhavishya mein aapko loan lena hoga to aapko kisi bhi prakar ki kagji prakriya se nahi gujarna hoga.
Yadi aap ZestMoney se personal loan lete hain. To dhyan rahe personal loan lene ke liye aapko varshik 20% se lekar 36% tak ka byaj dena pad sakta hai. Byaj daren vyakti ke cibil score ke aadhar par kam ya jyada ho sakti hai.
इसे भी पढ़े – Bajaj Finance Loan Details | Bajaj Finance Se Loan Kaise Le
ZestMoney Loan की भुगतान प्रक्रिया
Dosto, jab aap ZestMoney loan le lete hain to aapko loan ki rashi prati mahine EMI ke roop mein deni padti hai. Prati mahine aapko kisto ke roop mein apni Zestmoney loan ki rashi ka bhugtan karna hota hai.
Iske liye aap apne account mein, eNACH jaise vikalp ko use kar sakte hain. Jiske madhyam se aapki prati mahine ki kist apne aap aapke khate se cut jayegi. The ZestMoney se loan ki bhugtan prakriya puri tarah online hi hoti hai. “ZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise le and ZestMoney Account Kaise Banaye, Tamil, Customer Care Number, Review, etc.”
ZestMoney Login कैसे करे?
Login karne ke liye aapko kisi bhi mushkil prakriya se nahi gujarna padta. Aap aasani se ZestMoney app mein login kar sakte hain.
Zestmoney app mein login karne ke liye aapko Zestmoney ke official website par jana hoga. Official website par jate hi aapko login ke liye vikalp dikhai dega.
Aap iss par click kare. Click karne ke pashchat aap apna mobile number darj karen. Mobile number darj karne ke pashchat aapke pass OTP bheja jata hai. Aur OTP ko submit karne ke baad aap Zestmoney mein login kar sakte hain.
Iske alava aap Zestmoney mein app ke madhyam se bhi login kar sakte hain. App mein login karne ke liye bhi aapko samman prakriya se gujarna padta hai.
Wahan bhi aapko mobile number par OTP prapt hota hai. Jiske baad aap apne account mein login kar sakte hain. “ZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise le and ZestMoney Account Kaise Banaye, Tamil, Customer Care Number, Review, etc.”
इसे भी पढ़े – CIBIL Score How to Check | सिबिल स्कोर कैसे चेक करें?
ZestMoney Customer Care
Kisi bhi prakar ki asuvidha hone par aap Zestmoney ke customer care number par call kar sahayata prapt kar sakte hain. ZestMoney apne grahakon ko 24 ghante customer care ki sahayata pradan karta hai.
Iske alava email seva bhi Zestmoney ke dwara apne grahakon ko pradan ki jaati hai. Yadi aapko ZestMoney se kisi prakar ki sahayata ki jarurat ho, to aap niche diye gaye sampark sutra par bhi contact kar sakte hain.
- Zest money contact number 06269000097
- Zest money email id help@zestmoney.in
- Credit limit missed call number- 09513650707
ZestMoney Review (ZestMoney Kya Hai in Hindi)
Yadi hum baat karen Zestmoney ki, to yah sach hai ki iske madhyam se aap 0% byaj par kharidari kar sakte hain. Magar isme aapko kai prakar ki samasyaon ka samna karna pad sakta hai. Kai baar dekha jata hai, Zestmoney mein kist bharne ke baad bhi ismein update nahi hoti. Jiski wajah se aapka CIBIL score kharab hota hai.
Aksar dekha jata hai ki bahut sare logo ki profile hi swikar nahi ki jati. Aur usmein dobara se apply karne ke liye bhi bahut dinon ka time liya jata hai. 90 dino ke baad hi isme dobara apply kar sakte hain.
Yadi aap isme personal loan lete hain, to aapko personal loan ke liye bahut bhari bharkam byaj daro ka bhugtan karna padta hai. Jo ki aapke liye bilkul bhi faydemand nahi hoga. Isme credit limit bhi jyada nahi di jati hai. Isse aap nishchit aur simit chijon ke liye hi istemal kar sakte hain.
Iske alava kuch fayde bhi hain, jaise ki yah puri tarah se online hota hai. Aur isme kisi bhi prakar ka koi charge nahi dena hota. Sath hi sath aapko isme kisi bhi prakriya ke liye kisi nazdiki bank shakha ya anya koi shakha mein chakkar nahi katne padte.
Dosto, yadi aap ZestMoney se loan lena chahe to hum aapko salah denge ki Zestmoney se loan na le. Kyunki uski byaj dar bahut hi jyada hai. Isse aapko loan ka koi fayda nahi hone wala hai. Yadi aapki profile select ho jaati hai, to aap isse shopping kar sakte hain. Magar usme bhi kai prakar ke jokhimo ka dhyan rakhna hoga.
इसे भी पढ़े – 10000 Ka Loan Kaise Le (10000 का लोन कैसे ले)?
Conclusion (ZestMoney Kya Hai in Hindi?)
Dosto, aaj ke iss Zestmoney se sambandhit article mein humne ZestMoney ke mukhya pahluon ke bare mein charcha ki. Iss app ki mukhya baat yah hoti hai ki iske madhyam se aap 0% byaj daron par sabhi bade online platform aur e- commerce platform se kharidari kar sakte hain. Jaise ki “”ZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise le and ZestMoney Account Kaise Banaye, Tamil, Customer Care Number, Review, etc.”” ityadi ke bare mein.
Asha hai ki aapko yah jankari pasand aayi hogi. Aisi hi Anya mahatvpurn jankariyon ke liye aap hamari website par ja sakte hain. Kisi bhi loan jankari ke liye aap hamari website ke mukhya page par jakar jankari prapt kar sakte hain. Yadi aapko iss article se sambandhit koi baat samajh nahi aayi ho. To aap usse comment section mein bata sakte hain. Jaldi hi aapka jawab diya jayega.