Airtel Payment Bank Se Loan Kaise Le? Airtel Payment Bank Loan (Airtel Thanks App Personal Loan) Interest Rate, Customer Care Number, Review, etc.: Airtel payment bank se loan lene ke liye aapko lambi chaudi kagji prakriya se nahi gujarna padta hai Aur Airtel payment bank se aap aasani se hi paperless tarike se loan le sakte hain.
एयरटेल थैंक्स एप से (Airtel payment bank) se kisi bhi prakar ka loan lene hetu aap apne mobile phone ke madhyam se hi loan le sakte hain. Yadi aapka khata Airtel payment bank par nahi khula hai. To aap apna account online hi Airtel thanks app ki madad se apna khata bhi khol sakte hain.
Airtel payment bank se khata kholne ke pashchat aap kisi bhi prakar ka loan lene ke liye online hi aavedan kar sakte hain.
Airtel Payment Bank Loan Key Details
विषय-सूची
लोन का प्रकार | होम लोन, पर्सनल लोन |
लोन राशि | न्यूनतम 3000/- से लेकर अधिकतम 8,00,000/- तक |
लोन अवधि | 3महीने से लेकर 36 महीने |
ब्याज दरें | 11.99% से 59.99% |
लोन जानकारी | Call 400 कॉल करें। |
Airtel Payment Bank Eligibility
Dosto, Airtel payment bank se loan lene ke liye hame kuch niyam aur sharton ko pura karna padta hai. Tabhi jakar hamari loan application bank ke dwara swikar ki jati hai. Aaiye jante hain, airtel payment bank se loan lene ke liye aapko kin kin niyam aur sharton ko pura karna padega.
- Payment bank se loan lene hetu aavedan karta ki aayu 18 varsh se adhik honi chahiye. Aur 60 varsh se kam honi chahiye. Airtel payment bank se loan suvidha sirf bhartiyo ko hi di jati hai.
- Aavedan karta ke paas Airtel Payment Bank mein khud ka account hona jaruri hai.
- Airtel payment bank se loan lene ke liye aapke paas aaya ka koi sadhan hona chahiye. Aur aapki masik aay 10000 rupaye se adhik hone chahiye.
Yadi aap upar likhit baaton ko pura karte hain, to aap Airtel Payment Bank se loan lene ke liye eligible hai. “Airtel Payment Bank Se Loan Kaise Le? Airtel Payment Bank Loan (Airtel Thanks App Personal Loan) Interest Rate, Customer Care Number, Review, etc.”
इसे भी पढ़े – Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale | आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले?
Airtel Payment Bank Ke Liye Document Kya Kya Chahiye
Airtel Payment Bank mein khata khulwane hetu avashyak dastavej
- Airtel Bank mein khata khulwane ke liye aapko PAN card, Aadhar card ya anya koi sarkar dwara jaari ki gayi ID ki jarurat hoti hai.
- Iske alava aapke paas Airtel ka number hona bhi avashyak hai.
लोन लेने के लिए दस्तावेज (Loan Lene Ke Liye Dastavej)
Airtel payment bank se loan lene ke liye aapko nimnalikhit dastavejon ki avashyakta hoti hai. Aur yah dastavej aapko loan application ko fill karte samay upload karne hote hain. Aaiye jante hain, Airtel Payment Bank ke liye loan documents kya-kya chahiye.
- PAN card
- Aadhar card ki photocopy. Jiske aage aur piche dono taraf se aapka naam aur pata dikh raha ho.
- Aadhar Card na hone ki sthiti mein aap apna driving licence, passport jaisi koi anya sarkari ID ko bhi upload kar sakte hain.
- Passport size ka photo.
- Email address
- Aapko apni salary slip ki photo copy bhi upload karni hogi.
- Aapko apne pichhle mahine ki bank statement bhi upload karni pad sakti hai. Jismein aapka bank se len den dekha jayega.
- Vartaman samay mein aapka nivas sthan praman patra bhi aapko upload karna hoga.
- Loan lene ke liye aapka credit score check kiya jata hai. Aur aapka cibil score yadi acha nahi hai. To iss sthiti mein aapki loan application ko reject bhi kiya ja sakta hai. Isliye cibil score ka accha hona bhi bahut jaruri hai.
Airtel Payment Bank Personal Loan Interest
Dosto, yadi hum baat kare Airtel payment bank se personal loan lene par aapko kitne pratishat tak ka byaj salana taur par dena padega. To aapko bata de ki Airtel payment bank se personal loan lene hetu aapko 11.99% se lekar adhiktam 59.99% varshik dar se byaj daro ka bhugtan karna padta hai.
Byaj daren aavedan karta ke banking record aur anya banko se liye gaye loan ke aadhar par tay hoti hai. Iske alava aapki job aur aapke rehne ka sthan bhi byaj daro ko nirdharit karne mein ek mahatvpurn bhumika nibhata hai.
Isliye hi airtel payment bank se personal loan lete samay aapko byaj daron ke bare mein puri jankari leni chahiye.
Kyunki yadi aapko 11.99% se personal loan milta hai to yah bahut hi accha hai. Yadi kisi karanvash aapko 59.99% pratishat varshik dar se loan milta hai, to yah loan aapke liye faydemand nahi hoga.
Kyonki aapko Itni byaj dar se byaj ka bhugtan karne mein aapki jeb ka ek bada hissa loan ki adaigi mein hi chukana padega.
इसे भी पढ़े – Loan Kaise Le Mobile Se? | मोबाइल से लोन कैसे ले सकते है?
Airtel Payment Bank Loan Types
Dosto, Airtel Payment Bank online rin data bank hai. Jiske madhyam se aap apni avashyakta ke anusar online hi loan le sakte hain. Airtel payment bank se loan lene hetu aapko airtel Thanks app, Google Play Store se download karna hota hai.
Uske baad aap apni jarurat ke hisab se loan le sakte hain. Airtel payment Bank aapko kai prakar ke bank loan pradan karta hai. Jiske madhyam se aap kisi bhi sthiti mein loan le sakte hain.
Aaiye jante hain, Airtel payment bank se aap kaun kaun si loan le sakte hain. “Airtel Payment Bank Se Loan Kaise Le? Airtel Payment Bank Loan (Airtel Thanks App Personal Loan) Interest Rate, Customer Care Number, Review, etc.”
1-Airtel Payments Bank Home Loans
2-Airtel Payments Bank Personal Loan
3-Airtel Payments Bank Education Loan
4-Airtel Payments Bank Business Loan
5-Airtel Payments Bank Car Loan
6-Airtel Payments Bank Two Wheeler Loan
7-Airtel Payments Bank Gold Loan
Yah sabhi prakar ki loan aapko Airtel Payment Bank ke official app par online hi pradan karai jaati hai. Aur yah puri tarah se paperless aur online hoti hai.
Airtel Payment Bank Se Loan Kaise Le (Airtel Payment Bank Loan Apply)
Dosto, aap jante hain Airtel Payment Bank se loan kaise lein. Aur Airtel payment bank se online loan apply kaise kare.
Step-1 Download App & Create Account
Sabse pahle to aapko Airtel payment Bank ka official app Google Play Store se download karna hoga. Airtel Payment Bank ke official app ka naam “Airtel Thanks App” hai.
App ko download karne ke pashchat usmein aap apna account kholiye. Jab aap Airtel Bank mein khud ka khata khol lenge. To uske baad aapko Airtel thanks app ke home page par “get loan” ka vikalp dikhai dega.
Get loan par click karne ke pashchat aapko ek naye page par le jaya jayega. Jahan par aapko vibhinn prakar ke loan dikhaye jayenge. Ab aap apni avashyakta ke anusar kisi ek loan ka chunav kare.
Udaharan ke liye apne Airtel payment bank se personal loan lene ke liye aavedan kiya hai. To aapko agle step mein loan rashi bharni hogi. Jitni rashi ka loan aap lena chahte hain, usse darj karen.
Airtel payment bank se aap nyuntam 3000 rupaye se lekar adhiktam 800000 rupaye tak ka loan le sakte hain.
Uske baad aapko loan ki samay awadhi ka chunav karna hota hai. Airtel payment bank se loan rashi 3 mahine se lekar 36 mahine tak ke samay ke liye di jati hai.
Uske baad aapko apne area ka pin code number dalna hota hai. Koshish kare ki apne aaspass ke kisi shehar ka number hi dalen. Kyonki kai baar dekha jata hai ki gaon mein aur chhote shehron mein Airtel Payment Bank ki puri suvidha uplabdh nahi hone ke karan loan reject kar diya jata hai.
Iske baad aapko Airtel Payment Bank ke niyam aur sharton ke bare mein bataya jayega. Yadi aap sabhi niyam aur sharton ko mante hain. To aap “niyam aur sharton” par click karke aage badhe. Terms and conditions ke box ko acche se padh kar aap box ko tick karenge aur proceed par click kare.
Step-2 Apply for Airtel Payment Bank Loan
Ab aapko Airtel Bank ke loan partner ke official page par free direct kiya jayega. Jo website ya loan company aapko loan dena chahegi. Wah aapke number par ek OTP send karegi. “Get OTP” par click karne ke pashchat aapke paas OTP send kar diya jayega. Ab aap is OTP ko darj kar de.
Iske baad aapko apne avashyak dastavej aur basic jankari app mein darj karni hogi. Avashyak dastavejon ke bare mein aapko upar hi jankari de di gayi hai. Aur aapko basic jankariyon mein apna rehne ka sthan, area ka naam, pin code number, mata- pita ka naam, ling, mobile number ityadi dena hoga.
Is prakar aapki loan application bhar kar taiyar ho jaati hai. Ab aap ek baar apni sari jankari ko re-check karle. Yadi kahi galti ho to usse sahi karde.
Detail address Airtel app mein bharne ke pashchat aap continue par click kare. Iske baad aapko eligible loan rashi ke liye bhi bataya jayega, ki kitni rashi ka loan aapko mil sakta hai Aur Iske sath sath hi aapko apni bank details bhi bharni hogi.
Iske pashchat aapki loan application review ke liye chali jati hai. Jahan par loan committee aapki loan application par vichar karti hai. Yadi aapke dwara di gayi jankari sahi payi jati hai. Aur aapka cibil score acha hai. To aapka loan sweekar kar liya jata hai.
Aur loan rashi sidhe hi 24 ghante ke andar aapke bank khate mein daal di jati hai. “Airtel Payment Bank Se Loan Kaise Le? Airtel Payment Bank Loan (Airtel Thanks App Personal Loan) Interest Rate, Customer Care Number, Review, etc.”
इसे भी पढ़े – SBI Yono App Se Personal Loan Kaise Le?
Airtel Payment Bank Loan Customer Care Number
Dosto, yadi aapko Airtel payment bank se loan lene mein kisi prakar ki asuvidha mahsus hoti hai. To aap customer care ki sahayata se apni asuvidha ko dur kar sakte hain. Kisi bhi asuvidha ka samadhan pane ke liye aap niche diye gaye number par call kar sakte hain.
Airtel Payment Bank customer care se aap Hindi, English aur kisi bhi bhasha mein jankari prapt kar sakte hain.
Call Center: For airtel Customers: 400; For Other operators: 8800688006 (Standard calling rates apply).
Email: wecare@airtelbank.com
Airtel Payment Bank Review
Yadi hum baat kare Airtel payment bank ki to Google Play Store par 2021 ke December mah mein jitne bhi review diye gaye hain, vah sabhi Airtel payment bank ke bare mein nakaratmak hai. Logon ka kehna hai ki Airtel payment bank ki customer seva bahut hi kharab hai.
Aksar bank agent baat nahi karte hain. Yadi baat karte bhi hain, to beech mein hi call disconnect ho jati hai. Uske baad loan application mein bhi kai prakar ki dikkat samne aati hai. Jaise ki application ka beech mein hi ruk jana ya bugs ka aa jana ityadi.
Yadi hum baat kare Airtel payment bank se di jane wale loan ki byaj daro ke bare mein. To yah 11.99% se shuru hoti hai. Magar takriban 60% varshik dar par pahunch jaati hai.
Ab yah nirbhar karta hai ki yadi aapko 20% se niche byaj mil raha hai, to ho sakta aapke liye kuch faydemand ho. Magar yadi yah aankda 30% se jyada chala jata hai. To hamari salah hai ki aap iss loan ko lene se bache.
Kyunki jyada byaj dar vala loan grahak ke liye faydemand sabit nahi hota hai. Jitne ka fayda nahi hota hai, usse jyada ka grahak byaj bhar deta hai.
Halanki kuch logo ka kahana hai ki Airtel Payment Bank ki seva acchi hai. Magar jyadatar review jo humko google par mile. Wah iss app ke bare mein nakaratmak hi mile.
Isliye hum aapko salah dete hain ki koi bhi kadam uthane se pahle aapko soch vichar jarur kar lena chahiye. Taki aap bhavishya mein aane wali kisi bhi pareshani se bach sake.
इसे भी पढ़े – Pan Card Se Loan Kaise Le | पैन कार्ड से लोन कैसे लेते हैं?
Conclusion
To dosto, aaj ke iss article mein humne Airtel Payment Bank ke bare mein vistaar purvak jana. Aur Airtel payment bank se sambandhit sabhi prakar ki jankari humne iss article ke madhyam se prapt ki. Asha karte hain ki yah article aapke liye jankari se bharpur hoga.
Iss article mein humne Airtel payment bank se sambandhit mukhya pehluon par charcha ki jaise ki “Airtel Payment Bank Se Loan Kaise Le? Airtel Payment Bank Loan (Airtel Thanks App Personal Loan) Interest Rate, Customer Care Number, Review, etc.” ityadi ke bare mein.
Is article ko apne dosto aur rishtedaron tak jarur share kare. Taki wah bhi emergency ke waqt mein online loan ka lutf utha sake. Issi prakar ki anya mahatvpurn loan jankariyon ke liye aap hamari website ke mukhya page par jakar jankari prapt kar sakte hain.
FAQ Related to Airtel Payment Bank
Airtel Bank Se Loan Kaise Milega?
Airtel Payment Bank ek online bank hai. Jiski sahayata se aap online hi loan le sakte hain. Airtel bank se loan lene ke liye aapko “Airtel Thanks App” download karna hoga. Jahan par aapko “get loan” ka option dikhai dega. Yahan par aap loan ki formalities ko pura karke loan le sakte hain.
Airtel Bank Ka Account Kaise Check Kare?
Aapka Airtel Payment Bank mein khata hai. To aap Airtel Payment Bank ke USSD code ke dwara apna balance check kar sakte hain. Airtel Bank ka USSD code hai *400#. Iske alava kisi bhi upi registered app se apne account balance ko check kar sakte hain. Jaise ki hum Phone Pay, Google Pay, Bhim App ityadi par karte hain.
एयरटेल पेमेंट बैंक से पैसे कैसे निकाले?
एयरटेल पेमेंट बैंक से पैसे निकालने के लिए आप एयरटेल थैंक्स एप के माध्यम से ही पैसा निकाल सकते हैं। इसके अलावा आप एयरटेल पेमेंट बैंक के ऑफिशल वेबसाइट पर जाकर आधार कार्ड की मदद से भी पैसा निकाल सकते हैं। इसके लिए आपको ऐप और ऑफिशल वेबसाइट पर दोनों जगह कैश विड्रोल का ऑप्शन दिखाई देगा।
Airtel Payment Bank Se Paise Kaise Nikale?
Airtel payment bank se paise nikalne ke liye aap “Airtel Thanks App” ke madhyam se hi paisa nikal sakte hain. Iske alava aap Airtel Payment Bank ke official website par jakar aadhar card ki madad se bhi paisa nikal sakte hain. Iske liye aapko app aur official website par, dono jagah “cash withdrawal” ka option dikhai dega.
Airtel payment bank loan interest rate क्या है?
Airtel payment bank se personal loan lene hetu aapko 11.99% se kekar adhiktam 59.99% varshik dar se byaj daro ka bhugtan karna padta hai.
एयरटेल पेमेंट बैंक (Airtel payment bank) का account कैसे खोले?
- Airtel Payment Bank mein khata kholne ke liye sabse pahle aapko Airtel thanks app download karna hoga.
- Iske pashchat aapko app ke “More” vikalp ko chunana hoga.
- More vikalp ko chunane ke baad aapko “Get wallet” par jana hoga.
- Aapko sabhi avashyak jankariyan ek naye interface mein darj karni hogi.
Airtel payment bank customer care number
एयरटेल पेमेंट बैंक का कस्टमर केयर नंबर.
For airtel Customers: 400
Other operators: 8800688006.