Fair Money Loan Kaise Le? | Fair Money Personal Loan Apply Online

अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

Fair Money Loan Kya Hai Aur Kaise Le? Fair Money Loan App Interest Rate, Review & Customer Care Number: Doston, aapko paiso ki kabhi na kabhi to emergency mein jarurat padti hi hogi. Aise mein aap apne doston aur rishtedaron se paise udhar lete honge.

Magar paristhitiyan hamesha saman nahi rehti hai. Kai bar hamare doston aur rishtedaron ke pass bhi paise nahi hote hain. Aur rishto mein paise ka len den sahi nahi hota hai.

Aaj hum aapko ek aise app ke bare mein batayenge, jahan se aap apni chhoti se chhoti jarurat se lekar badi jarurat ke liye loan le sakte hain. Iss app ka naam hai, Fair Money Loan App. Aaj ke iss article mein hum isi vishay ke bare mein baat karne wale hain.

Fair Money Loan Kya Hai Aur Kaise Le? Fair Money Loan App Interest Rate, Review & Customer Care Number

 

Is article mein hum janenge ki Fair Money loan App kya hai hai? Fair Money se kitna loan milega? Fair Money se kitne samay ke liye loan milega? Fair Money se loan lene par byaj kitna lagega? (Fair Money loan interest rate), Fair Money se kon kon loan le sakta hai? Fair Money se loan lene ke liye kin kin dastavejon ki jarurat padegi? Fair Money se hi loan kyon le? Fair Money se loan kaise lein? Fair Money loan kaise le? Fair Money loan app customer care number, Fair Money loan review, naisi mukhya jankariyon ke bare mein. To chaliye doston, jante hain is loan app ke bare mein. Aur hum aapko batayenge ki is app se loan lena sahi hoga ya galat.

Fair Money Loan App क्या है? (Fair Money Loan Kya Hai)

The Fair Money Bharat mein uplabdh ek tej, surakshit, vishvasniya aur muft android mobile banking app hai. Jiske madhyam se ham vyaktigat nakad cash loan prapt kar sakte hain. Iske liye aapko koi badi bhaag daud nahin karni hai. Iske liye sirf aapko Fair Money Loan App download karna hai.

Aur apne mobile, Aadhar card aur PAN card number ka upyog karke app mein sign up karna hai. Iske bad aapse kuch sawalon ke jawab mange jaenge. Aapke cibil score aur aapki patrata aur yogyata ke aadhar par aapko 5 minute ke bhitar tatkal nagad cash loan de diya jata hai.

इसे भी पढ़े CashBean Se Loan Kaise Le? | CashBean Loan Kya Hai?

Fair Money से कितना लोन मिलेगा?

Ab aap soch rahe honge ki aap kitne rupaye tak ka loan iss app ke madhyam se le sakte hain. To chaliye jante hain ki aap kitne rupaye tak ki loan is app ke dwara le sakte hain. Aap apni jaruraton ke hisab se yahan kam se kam rupaye se lekar adhik se adhik loan rashi le sakte hain.

Fair Money app newnatam 750 rupaye se lekar adhiktam 50 hajar rupaye tak ki loan seva pradan karti hai. Aap yahan se dainik jaruraton se lekar vyavsayik karyo ke liye bhi loan le sakte hain. Jaise ki app ke dwara loan rashi ki limit hai.

Fair Money से कितने समय के लिए लोन मिलेगा?

Ab aap soch rahe honge, ki iss loan ki punar bhugtan awadhi kya hoti hai. Jaise ki humne bataya ki aap 750 rupaye se lekar 50 hajar rupaye tak ki loan rashi iss app ke madhyam se le sakte hain. Jisse aapko 61 din se lekar 180 din ke andar lautana hota hai.

Loan awadhi loan rashi ke aadhar par tay ki Jaati hai. Loan awadhi ka sambandh sidhe taur par EMI par nirbhar hota hai. Jitni jyada EMI hogi. Utani jaldi loan ki rashi ka punar bhugtan ho jata hai. Isliye yah awadhi har kisi ke liye alag ho sakti hai.

Fair Money से लोन लेने पर ब्याज कितना लगेगा? (Fair Money Loan Interest Rate)

Kisi bank ya NBFC se loan lete samay bank ki byaj daro ke bare mein pata kar lena chahiye. Kyonki yadi byaj dar jyada ho to uss bank se loan lene ka koi fayda nahi hota. Ulta aapko hi nuksan hota hai. To chaliye jante hain Fair Money loan app ki byaj daro ke bare mein.

Fair Money Loan app se nyuntam 12% se lekar adhiktam 36% varshik loan liya ja sakta hai. App ki byaj daren vyakti vishesh se lekar kshetra vishesh mein badal sakti hain. Isliye loan lene se pehle apni byaj daron ke bare mein pata kar lena aham hota hai.

इसे भी पढ़े Pan Card Se Loan Kaise Le | पैन कार्ड से लोन कैसे लेते हैं?

उदहारण / Example

Maan lijiye 61 dinon ki awadhi ke liye aapne 24% (prativarsh) ki dar se 5000 rupaye ka loan liya. Hum dekhte hain ki:

Byaj = ₹5,000 x 24%/365 x 60 = ₹200 .
Processing Shulk = ₹5,000 x 5% = ₹250 ( Jis par ₹45 ka GST ke liye jate hain)
Rin ki kul lagat = ₹450

Kul vitrit rashi ₹4,705 (₹5,000 – ₹295) hogi.
Chukane ke liye kul rashi ₹5,200 (₹5,000 + ₹200) hogi.

Fair Money से लोन लेने के लिए किन – किन दस्तावेजों की जरूरत पड़ेगी?

Dosto, aapke liye bata de ki Fair Money App ki koshish rahi hai ki kam se kam kagjat grahako se liye jaye. Taki grahakon ko kisi badi kagji prakriya se na gujarna pade. Issi ke tahat unhone app ko design karte waqt bahut kam document mange.

Aapko jankar hairani hogi ki aapko Fair Money loan App se loan lene hetu Aadhar Card aur PAN card ki hi jarurat padti hai. In do dastavejon ke aadhar par hi aap loan lene ke liye aavedan kar sakte hain.

Fair Money से ही लोन क्यों ले?

Dosto, waise to market mein bahut se aise app hai, jo aapko loan dete hain. To aapke man mein yah sawal aana sambhavit hai ki isi app se loan kyon le. Dosto chaliye is sawal ka jawab dhundhte Hain.

  • Nyuntam kagji prakriya. Aapko nyuntam kagji prakriya se gujarna padta hai.
  • Aapka loan manjur ho jane ke baad 5 minute ke andar aapke khate mein paisa daal diya jata hai.
  • Loan mein choti se lekar badi, dono prakar ki jaruraton ke liye paisa liya ja sakta hai.
  • Loan rashi ke punar bhugtan ke liye acchi khasi avadhi ka samay diya jata hai.
  • Aapki credit history ke bare mein nahi pucha jata hai. Aur na hi aapka pichhle credit card ka record dekha jata hai.
  • Loan lene se lekar loan rashi ka bhugtan karne tak ki prakriya digital hai.

इसे भी पढ़े Adhar Card Se Paise Kaise Nikale | आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले?

Fair Money से कौन – कौन लोन ले सकता है? (Eligibility for Fair Money Loan App)

  • Avedankarta ke pass koi rojgar hona chahiye. Ya to vah vetan bhogi ho ya phir uska khud (Swarojgar) ka koi rojgar ho.
  • Aavedak mahine mein kam se kam 15000 rupaye kamata ho.
  • Avedankarta ki prati mah ki tankha bank khate mein aati ho.
  • Fair Money loan App se loan lene ke liye aapke credit card ka score/ cibil score 650 se jyada hona chahiye.
  • Avedankarta ki aayu 18 sal se lekar 58 saal tak honi chahiye.

Fair Money से लोन कैसे लें? (Fair Money Loan Kaise Le)

  • Google Play store se Fair Money loan app download kare.
  • Apne phone number ke sath sign up Karen.
  • Apna surakshit pin banaye. Yah pin kisi ke sath share na kare.
  • Ab aap home page mein rin ka anurodh (request) kar sakte hain.
  • Home page par “Laagu Kare” par click karen.
  • Kuch aasan sawalo ke jawab de. Yah sawal aapki loan rashi ko tay karne mein bhumika nibhate hain.
  • Apni pehchan satyapit kare, taki aapke loan ko swikriti di ja sake.
  • Uske baad ek rin prastav prapt kare.
  • Apne rin ke liye rashi aur awadhi chune. Pahle tay kar le ki aap kitni EMI pratimah de sakte hain. Baad mein EMI let ho jaane par jurmana lagaya ja sakta hai.
  • Rin prastav swikar kare.
  • Apna rin sidhe apne bank khate mein prapt karne ke liye bank vivaran (details) darj Kare.

इसे भी पढ़े Shriram Finance Vehicle Loan Details (श्रीराम फाइनेंस व्हीकल लोन डिटेल्स)

Fair Money Loan App Customer Care Number

Fair Money apne grahakon ko mobile phone se help nahi deti hai. Magar email seva jarur deti hai. Kisi bhi prashna, tippani aur mudde ke liye, kripya Fair Money. Loanhelp@fairmoney.ng ya help@fairmoney.in par email bheje.

Fair Money Loan Review

Ab tak Fair Money loan app ko 50 lakh se adhik log istemal/ download kar chuke hain. Iss app ki popularity ka andaza issi baat se lagaya ja sakta hai ki, Play Store par ek lakh logon ke to review hai. Iski rating 4.4 hai. Fair Money loan ke bare mein sakaratmak comments ki bharmar hai.

Shayad kisi bhi banking app ka yah (review) sabse mushkil pahlu hota hai. Kyunki aap jab review padhte hain to kuchh log aise milte hain jo app ki sabhi sewaon se santusht nazar aate hain. Jab ki kuch aise hote hain jinke comments aur review DGP padh kar lagta hai, ki kahin yah loan app fraud to nahi hai.

Fair Money loan app ke humne review padhe to paya ki adhiktar review positive hai. Jinme app ki bahut acchi quality batai gai hai. Aur loan process bhi aasan aur labhdayak paya gaya hai.

Magar kuch log app se santusht nahi hai. Kuch logo ka manana hai ki yah app sirf beginners ke liye hi sahi hai. Ek baar ke baad loan nahi milta hai. App se loan lena surakshit hai. App fraud nahi hai. Iski satyata ki jaanch ki ja sakti hai. Kisi bhi prakar ki loan lene mein pareshani aa sakti hai.

Wah aapko yahan bhi dekhne ko mil sakti hai. Ham aapko salah denge ki aap Play Store par jaakar app ke negative reviews dekhe. Taki aapko pata chal sake ki aapko kin kin pareshaniyon ka samna karna pad sakta hai. Aur in pareshaniyon se kaise bacha Ja sakta hai.

इसे भी पढ़े Mahila Loan 30000 Scheme 2021 | Mahila Samridhi Yojana

Conclusion (Fair Money Loan Kaise Le)

Dosto, iss article ke madhyam se humne jana ki “Fair Money Loan Kya Hai Aur Kaise Le? Fair Money Loan App Interest Rate, Review & Customer Care Number” Kya hai. Aur is se loan lene ki avadhi aur byaj daren kya hoti hai.

Aur bhi loan ke vibhinn pehluon par baat ki. Humne loan se sambandhit har prakar ki jankari ko article mein shamil kiya hai. Hum asha karte hain ki aapko yah article pasand aaya hoga.

Yadi aapka koi dost ya rishtedar loan lena chahta ho. To aap unse iss article ko share karke madad kar sakte hain. Yadi aapke man mein koi shanka ya sawal ho to aap usse bejijhak comment section mein poochh sakte hain.

Hum aapse vinti karte hain ki aap post ko Facebook aur WhatsApp jaisi social media sites ke jariye adhik se adhik logo tak pahuchaye. Taki adhik se adhik logon ka bhala ho sake. Aapko is post mein di gayi jankari kaisi lagi. Yah hame comment karke jarur bataye, dhanyavad.


अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

Check Also

ZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise le? ZestMoney Account Kaise Banaye, Tamil, Customer Care Number, Review, etc.

ZestMoney Kya Hai in Hindi | ZestMoney से पर्सनल लोन कैसे ले?

अपने दोस्तों के साथ शेयर करेंZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

error: Content is protected !!