CashBean Se Loan Kaise Le? | CashBean Loan Kya Hai?

अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

CashBean Se Loan Kaise Le? CashBean Loan Kya Hai, Interest Rate in Hindi, Customer Care Number, App Review: Doston paison ki jarurat pata nahi kab pad jaaye. Coronavirus lockdown ki vajah se desh mein garibi ne pair pasare hain. Aur lockdown ki vajah se lakhon log berojgar ho gaye. Aise mein na to rishtedaron ke pass paise hain, na dosto ke pass. Yadi aapko emergency mein paison ki jarurat pad jaye to, aap aise mein kya karoge?

Aisi hi ek anya jankari ke sath aaj hum phir haazir hai. Jisme hum aapko batayenge ki aap ghar baithe ₹1500 se lekar 7000 tak ka loan le sakte hain, wah bhi bina kisi guaranter ke. Yah loan aapko ghar baithe hi mil sakta hai. Iske liye aapko bas ek app download karna hoga aur loan ke liye apply karna hoga. Aadhe ghante ke andar aapko aapka loan de diya jaega.

CashBean Se Loan Kaise Le? CashBean Loan Kya Hai, Interest Rate in Hindi, Customer Care Number, App Review

Aaj ham baat karne wale hain Cashbean personal loan app ke bare mein. Iss post mein hum aapko batayenge ki Cashbean personal loan se aap kaise loan le sakte hain. Aur Cashbean loan app se loan lene ka process kya hai? aur aakhir mein Cashbean loan app ke bare mein review padhna mat bhoolna. To chaliye doston jante hain, Cashbean Loan app ke bare mein.

Cashbean Loan Kya Hai in Hindi?

the Cashbean loan app ek aisa app hai, jiske madhyam se aap ghar baithe online loan le sakte hain. Cashbean Bharat ka instant digital landing mobile aadharit personal loan platform hai. Cashbean loan app se aap instant loan le sakte hain. Sabse acchi baat yah hai ki aapko yah suvidha puri tarah se online hi uplabdh hai.

Cashbean loan app ke jariye aap apni chhoti aur badi jaruraton ke hisab se loan le sakte hain. Cashbean loan app ke jariye se aap newnatam 1500 se lekar adhiktam 60000 tak ka loan le sakte hain.

Abhi tak lakho logo ne is app ki suvidha ka istemal kiya hai. Vartaman mein bhi isko lakhon log use kar rahe hain.

इसे भी पढ़े Adhar Card Se Paise Kaise Nikale | आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले?

Cashbean Loan Ki Jankari?

The Cashbean RBI ke tahat panjikrit PC Financial Services Private Limited ka ek utpaad hai. Cashbean ka uddeshya mobile phone ki kharid, chikitsa jaruraton, bill bhugtan aadi se lekar vibhinn avashyaktao ke liye grahak ki vittiy jaruraton ko pura karna hai.

Cashbean loan application ke madhyam se Bharatiya logo ke liye online loan pradan karai jaati hai. Iss app ko ab tak ek crore se adhik log download kar chuke hain. Iske alava iski Play Store per rating bhi 4.3 hai. 12 lakh logo ne app ko istemal karke review bhi diye hain. Spasht hai ki online loan bajar mein Cashbean loan App ki ek bahut achi pakad hai.

Cashbean app ke madhyam se aap ghar baithe 1500 se lekar 60,000 rupaye tak ka loan le sakte hain. Vah bhi ek suvidhajanak awadhi ke liye. Iss app ka istemal kahi bhi kiya ja sakta hai. App ke madhyam se aap kisi bhi prakar ki emergency ke dauran loan le sakte hain. Tatkal ke kharche ke liye cashbean loan ek behtareen tarika hai.

The Cashbean par surakshit, nishpaksh, suvidhajanak aur kifayati online rin prapt kar sakte hain. “CashBean Se Loan Kaise Le and CashBean Loan Kya Hai, Interest Rate in Hindi, Customer Care Number, App Review”

Cashbean Loan Interest Rate in Hindi?

Jab bhi hum loan ki baat karte hain, to sabse pehla sawal hamare dimag mein byaj dar ka hi aata hai. Byaj dar kisi bhi prakar ki loan ka mukhya pahlu hoti hai. Yadi hum baat karen ki Cashbean loan interest rate kitna hota hai.

Cashbean app se liye jane wale loan par interest rate (byaj dar) 0.07% pratidin aur 25.55% prativarsh ke hisab se aapko byaj dena padta hai. Iske sath hi sath aapko processing fees ke taur par 90 rupaye se lekar ₹2000 tak dene pad sakte hain. processing fees aapki loan rashi par deni pad sakti hai.

Iske alava aapko 18% GST ka bhugtan karna padta hai.

Aaiye isse udaharan (example) ke jariye samajhte hain.

Yadi aap 10000 rupaye ka loan 6 mahine ki awadhi ke liye lete hain. (6 mahine = 180 Din)

Jaise ki humne pehle bhi bataya ki aapko 25.55% prati varsh ke hisab se loan diya jata hai.

Byaj dar = 10,000 × 25.55% / 365 × 180 = 1260

10,000 ke loan rashi per aapko 1260 rupaye ki alag se processing fees deni padti hai. Iske sath hi aapko 18% GST, jiska aap se ₹111.6 ka byaj company ke liye bhugtan karna padta hai.

Arthat ab aapko ₹10,000 + ₹1260 + ₹620 + ₹111.6 = ₹11,991.6 ka bhugtan karna padega. “CashBean Se Loan Kaise Le and CashBean Loan Kya Hai, Interest Rate in Hindi, Customer Care Number, App Review”

इसे भी पढ़े EMI Pe Mobile Kaise Le | किश्तों (EMI) पर मोबाइल फ़ोन कैसे ले?

Cashbean Loan Documents

1.Aapko ek aisa praman patra dena hai. Jiske madhyam se aap apni identity ko zahir kar sake, jaise ki PAN card.

2. Ab aapko nivas sthan ko pramanit karne hetu koi dastavej dena hoga. Jaise ki aadhar card, voter card, bijli bill, driving licence ityadi mein se koi ek.

3. Aapko selfie bhi upload karni hoti hai.

Ab aapko pata chal gaya hoga ki Cashbean loan documents kya kya hone chahiye.

CashBeane Loan Eligibility (CashBean Se Loan Kaise Le?):

  • Bhartiya Nagrik.
  • Aayu nyuntam 18 varsh aur adhiktam 56 varsh.
  • Aapke paas koi rojgar hona chahiye.

Cashbean Loan Kaise Le? (Cashbean Loan Apply Online)

Sabse pahle aapko Cashbean Application ko Google Play Store se download karna hoga.

Ab aapko app mein register karna padega.

Iske bad aapko kai prakar ke loan ke liye vikalp dikhaye jayenge. Aap apni jarurat ke hisab se loan ka chunav karen.

Ab aapko ek naye form par redirect kiya jayega, jisme ek form khulega. Ismein aapko avashyak dastavejon ki jankari B
bharni hogi. Aur dastavejon ko bhi upload karna hoga.

Iske bad aapke pass company se verification ke liye call kiya jayega. Yadi aapke loan ke liye swikriti pradan ki jaati hai, to aapko sms ke madhyam se bata diya jaega.

Iske baad loan agreement par aapko apni manjuri deni hogi.

Aapke loan agreement ke verification ke baad, swikrit loan rashi ko aapke khate mein dal diya jaega. Loan rashi ka aapko sms ke jariye bata diya jaega.

Is tarah aap step by step Cashbean app se loan Le sakte hain. Ab to aap bhi jaan gaye honge ki kitna aasan process hai.

इसे भी पढ़े Shriram Finance Vehicle Loan Details (श्रीराम फाइनेंस व्हीकल लोन डिटेल्स)

CashBean से ही लोन क्यों ले? (CashBean Se Loan Kaise Le?)

  • Koi credit Itihas ki avashyakta nahi hai.
  • Aapke mobile par hi paperless aur digital prakriya.
  • Kabhi bhi, kahin bhi 24×7 rin prapt karen.
  • Kushal aavedan samiksha (application review)
  • Swikrit hone ke baad apne connected khate mein bhugtan karen.
  • Uplabdh Pan India
  • Jaise jaise credit score badhta hai swikrit rashi dheere dheere badhti jati hai.
  • Suvidhajanak punar bhugtan vikalpon ki vividhata.

The Cashbean Loan EMI Payment Online?

Yadi aap Cashbean loan app ki EMI online dena chah rahe hain, to yah bahut hi aasan process hai.

Iske liye aapko Cashbean app par jana hoga. Ab aapko apne registered mobile number se login karna hoga.

Uske baad aap vah Vikalp chune, Jiske madhyam se aap loan chukana chahte hain. Jaise ki Phone Pay, debit card, bank transfer, Paytm ityadi.

Uske baad apni EMI ka chunav kar ke EMI bhej sakte hain.

इसे भी पढ़े Home Loan Subsidy Kaise Check Kare (होम लोन सब्सिडी कैसे चेक करे)

Cashbean Loan App is Real OR Fake?

The Cashbean loan app ki adhikarik website par mili jankari ke anusar Cashbean keval do vyaktiyon (yani upyogkarta aur company) ke bich len den ki suvidha pradan karta hai. Cashbean Bharatiya Reserve Bank ke sath panjikrit sangathan nahi hai.

Aur udhar dene ya udhar lene se sambandhit kisi bhi gatividhi mein sanlagn hone ka koi licence nahi rakhta hai. Cashbean company adhiniyam, 2013 (under the Companies Act, 2013) ya banking vinimay adhiniyam, 1949 (Banking Regulation Act, 1949) ya Bharat mein kuchh samay ke liye laagu kisi anya kanoon ke tahat ek vittiy sansthan nahin hai.

Cashbean bhi jama lene wali company ya chit fund ya Bharat mein lagu niyamon aur viniyamon ke anusar kisi bhi nivesh yojana ki peshkash karne wali company nahi hai.

The Cashbean Loan is Safe OR Not?

Kuch log app ke bare mein sakaratmak comments karte hain. Aur bahut sare log nakaratmak soch bhi rakhte hain. Aise mein jaruri hai ki aap tamam niyam aur sharton ko acchi tarah se padhe. Mere vyaktigat vichar hai ki yadi aap kisi anya App se loan le sakte hain, to koshish karen anya se hi le.

Kyunki Cashbean ka ravaiya grahakon ko aksar pasand nahi aata hai. Iski policy aur app working aapki cibil score ko bhi bigaad sakte hain. Cashbean loan application se loan lene ke baad aapko kai prakar ki dikkat aa sakti hain and “CashBean Se Loan Kaise Le – CashBean Loan Kya Hai, Interest Rate in Hindi, Customer Care Number, App Review”

इसे भी पढ़े Mahila Loan 30000 Scheme 2021 | Mahila Samridhi Yojana

Cashbean Loan Approval Time (CashBean Se Loan Kaise Le?)

Aapki application ko review karne mein company ko 30 minute ka time lagta hai. Yadi aapke loan ko swikriti pradan kar di jaati hai. To 5 minute ke andar aapki loan rashi aapke khate mein dal diya jata hai. Adhik se adhik hum ek ghanta maan sakte hain.

Cashbean Loan Customer Care Number

Aap Cashbean loan lene hetu kisi bhi prakar ki jankari niche diye gaye sampark sutra se le sakte hain.

Customer Service Email: cashbean.help@pcfinancial.in

Customer Care number: 18005728088, 0124-6036666

Cashbean Loan App Review

Dosto, Cashbean loan app ke hamne review padhe. Aur adhiktar review jo mile vah hamein nirashajanak mile. Jaise ki aksar app se loan lene ke baad hota hai ki loan ko time par pay karne ke bad bhi EMI pay nahi ho paati hai. Jiske karan aapka cibil score kharab hota hai aur aapko bhavishya mein loan lene mein mushkil hoti hai.

Iske alava cashbean loan app bahut adhik byaj dar vasool raha hai. 25.55% varshik dar adhik hoti hai. Iske alava cashbean loan app par logo ka bahut adhik vishwas bhi nahin hai.

Atha ham yahi kahana chahenge ki aapke paas koi alternate mein sadhan hai. To aap Cashbean loan app ko chhodkar anya kisi platform ya apne rishtedaro se paise mang kar bhi kam chala sakte hain. Byaj daron ke adhik hone ke karan, sath hi sath aapki karya pranali par bhi vishwas nahi hone ke karan ham yah app aapke liye nahi sujhayenge.

Note: Yah article jankari hetu likha gaya hai. Aur yah article kisi bhi prakar ke loan ki satyata aur app ki satyata ki pushti nahi karta hai. Na hi yah article app ke kisi bhi rules aur condition ko kharij karta hai.

Yah vichar lekhak ke niji vichar hai. Hamari website kisi bhi prakar ki satyata ke liye jimmedar nahi hai. Aur website kisi bhi aruchikar ghatna mein jimmedaar nahin hogi. Yadi kisi prakar ki vartani sambandhit ya satyata se sambandhit post mein galti ho. To uske liye hum aur hamare lekhak kshama prarthi hain.

इसे भी पढ़े Pan Card Se Loan Kaise Le | पैन कार्ड से लोन कैसे लेते हैं?

Conclusion (CashBean Se Loan Kaise Le?)

Aaj ki is post mein humne jana ki “CashBean Se Loan Kaise Le and CashBean Loan Kya Hai, Interest Rate in Hindi, Customer Care Number, App Review” Kya hai. Is post mein humne aapko sabhi tarah ki jankari de di hai. Iske alava humne loan se sambandhit jokhim ke bare mein bhi aapko tamam jankari de di hai.

Yadi phir bhi aapke man mein koi prashan ho to aap comment section mein poochh sakte hain. Ya phir aapko koi sujhav dena ho vah bhi aap comment section mein likh sakte hain. Jaldi hi hamari team aap se sampark karegi.

Aise hi anya loan aur bima sambandhit jankariyo ke liye bane rahe hamari website ke saath. Ya phir aapko koi anya loan ke bare mein janna ho to hamari website ko visit kar sakte hain. Iske alava aap bima sambandhit jankari bhi hamari website ke jariye pa sakte hain.


अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

Check Also

ZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise le? ZestMoney Account Kaise Banaye, Tamil, Customer Care Number, Review, etc.

ZestMoney Kya Hai in Hindi | ZestMoney से पर्सनल लोन कैसे ले?

अपने दोस्तों के साथ शेयर करेंZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

error: Content is protected !!