EMI Pe Mobile Kaise Le | किश्तों (EMI) पर मोबाइल फ़ोन कैसे ले?

अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

EMI Pe Mobile Kaise Le? Loan Pe/ Par Phone Kaise Milega/ Kharide? Online Kisto Par Debit Card Se EMI loan Par Mobile Phone Kaise Le/ Kharide?: Dosto! bade mobile phone rakhna aajkal ke yuvaon ka fashion ban gaya hai.

Sabki koshish hoti hai ki uske paas sabse acha mobile phone ho. Mobile phone mein pratispardha hone ke karan jaha mobile ki kimto mein ghatav aaya hai. Uske viprit hi bade bade mobile bhi bazaar mein uplabdh ho gaye hai.

Mobile ki kimat dahai ke aankade se shuru hokar lakh ke aankade par jane lagi hai. Darasal aaj ke yuvaon mein mobile ko lekar ek alag hi prakar ka prem umad raha hai. Yahi vajah hai ki mobile ki kimat mein atyadhik vridhi dekhne ko mili hai.

Dosto, ab aap ikattha phone kharidna chahenge to aapko 10,000 se adhik rupaye kharch karne honge. Kai baar aisa hota hai ki hamare paas itne paise nahi hote. To aise mein sawal uthta hai ki yadi hamein phone ki avashyakta pad jaye to, hum mobile phone kaise kharide?

EMI Pe Mobile Kaise Le? Loan Pe/ Par Phone Kaise Milega/ Kharide? Online Kisto Par Debit Card Se EMI loan Par Mobile Phone Kaise Le/ Kharide?

Dosto, yadi aap mobile phone kharidna chahte hai, magar paise ki tangi ki wajah se mobile phone nahi kharid pa rahe hai. To aap nishchint ho jaiye. Kyonki aaj hum aapke lihe iss samasya ka hal lekar aaye hai.

Hum aapko batayenge ki kis prakar aap kisto mein bhi phone ko kharid sakte hai. Aapko phone kharidte waqt kujh rashi ka bhugtan karna padega. Uske baad aapko phone ki shesh rashi installment mein mahine dar mahine bharni hogi. Aayiye jante hai ki EMI Pe Mobile Kaise Le.

इसे भी पढ़े 10000 Ka Loan Kaise Le (10000 का लोन कैसे ले)?

EMI Pe Mobile Kaise Le?

Dosto, pehle to aap yah faisla kijiye ki aapko mobile kaun si website se kharidna hai. Jaise ki flipkart ya amazon se hum mobile kharidte hai. Inme se kisi ek ka chunav kare.

Ab aapko apne manpasand mobile phone ka chunav karna hai. Jise aap kharidna chahte hai.

Ab aap apne mobile ki kimto ke baare mein jaan le. Yah sab jankari aapko yahin prapt ho jayegi.

Phone ki kimat aur detail check krne ke baad ab aap “Buy now” option par click kare. Uske baad aapko apna niwas sthan pta dalna hoga.

Address dalne ke baad ab aapko payment ke option milenge. Jaha par aapko EMI par click karna hai. Ab yaha par aapko aapki EMI ke bare mein puri jankari di jayegi. Ki aapko har mahine kitni EMI bharni hogi.

Ab aapko vibhinn banko ke option milenge. Jis bank mein aapka khata hai aur jis bank ka aapke paas credit card hai us bank ka aap chunav kare. Aapko EMI aur byaj dar ke bare mein puri jankari yahin di jati hai.

Aapko apni suvidha anusar loan awadhi ka chunav karna hai. Mobile phone ke liye aap mahine, 6 mahine aur 12 mahine ke liye loan awadhi ka chunav kar sakte hai. Ab aap apni credit card detail bharkar yaha kuch down payment kar dijiye. Payment karte samay aapke mobile phone par ek OTP aata hai. Ussi OTP ko dalne ke pashchat hi payment prakriya puri hoti hai. “EMI Pe Mobile Kaise Le?”

इसे भी पढ़े Dhani App Loan Kaise Le in Hindi | Dhani Personal Loan Kya Hai?

बिना क्रेडिट कार्ड के किश्तो पर मोबाइल फोन केसे लें।/ ऑफलाइन किश्तों पर मोबाइल फोन केसे ले।

Dosto, iss prakar ka loan aapko sirf credit card ke upar hi diya jata hai. Kujh company ne ab ATM card aur debit card par bhi mobile phone loan dena shuru kar diya hai. Dosto, credit card hum sabhi ke paas nahi hota hai.

Dosto aap ke aas paas bahut sari mobile phone bechne walo ki dukan hogi. Aap kisi bhi dukaan par jakar yah pata kar lijiye ki vah loan par mobile deta hai ya nahi. Waise to hamare aas paas mein iss prakar ki dukan mil hi jati hai.

Yadi aapko nahi milti hai to aap paas ke bade bazaar mein jakar pata kare. Yaha par aapko mobile phone lene ke liye apne dastavej jaise aadhar card, pehchan patra, photo jama karne honge. Aapko apne bank account number aur bank account passbook ki ek photocopy dukandar ko jama karni hogi.

Uske baad aapko down payment karni hogi. Down payment karne ke pashchat aap ko dukandar mobile phone de dega. Ab aapko har mahine apni kisto ka bhugtan karna hoga.

Yadi aap kisto ka bhugtan karne mein asamarth hote hai to mobile phone vikreta aap se phone wapas le sakta hai. Yadi aap phone wapas nahi dete hai to vah kanooni karyawahi bhi kar sakta hai.

Dosto, ab aap samajh gaye honge ki kis prakar se aap online aur offline mobile kharid sakte hai. Dosto kisto mein mobile phone kharidne ka yah fayda hota hai ki aapko sari rakam ek sath nahi deni padti hai. Aur aap ise aasani se mahine dar mahine bhar sakte hai.

इसे भी पढ़े MUDRA Loan Kya Hai | MUDRA Loan Kaise Le in Hindi

Debit Card Se EMI Par Mobile Kaise Kharide

Shuruaat mein EMI par kharidari karne ki suvidha sirf credit card dharak ko di gayi. Magar sabhi ke paas credit card ki suvidha uplabdh nahi hoti hai. Jiske karan bahut se logo ko EMI par kharidari karne mein mushkil aane lagi. Uske baad kai banko ne Debit card par bhi EMI suvidha uplabdh karai.

Ab aap debit card se bhi kisto par mobile le sakte hai. Magar yah baat dhyan rakhne yogya hai ki sabhi banko ke debit card se aaj bhi aap EMI par loan nahi le sakte hai. Yah suvidha kuchh chuninda banko ke liye di ja rahi hai. “Loan Pe/ Par Phone Kaise Milega/ Kharide? Online Kisto Par Debit Card Se EMI loan Par Mobile Phone Kaise Le/ Kharide?”

Debit card se EMI par mobile lene ke liye aapko Amazon App, Flipkart jaisi kisi bhi website se apne pasandida mobile ka chunav karna hoga. Jab aap uss mobile ke payment options par jayenge, to aapko wahan ek option dikhega “EMI on Debit Card”.

Aapko iss vikalp ka chunav karna hai, uske baad aapko saman prakriya se gujarna hoga. Jaise ki humne pehle bhi bataya ki aapko byaj dar aur masik kisto ke bare mein jankari di jayegi.

Aapse aapka debit card number bhi manga jayega. Ant mein aapko sari jankari fill kar deni hai. Jab aap is prakriya ko pura kar denge. Uske pashchat aapka mobile aapke address par deliver kar diya jayega.

इसे भी पढ़े Loan Kaise Le Mobile Se? | मोबाइल से लोन कैसे ले सकते है?

Conclusion (EMI Pe Mobile Kaise Le?)

Dosto! hum sabka ek sapna hota hai ki hamare paas bhi bada phone ho. Kyonki aajkal phone ke aadhar par hi aapki personality ke baare mein log andaza lagane lage hai. Isliye hi log mehnge phone ki aur akarshit ho rahe hai. Kai baar aisa hota hai ki hamare sabhi dosto ke paas bade aur mehnge phone hote hain. Magar hum aarthik sthiti ki wajah se mehnga phone nahi le sakte.

Lekin kisto mein mobile milne ke pashchat mehnga mobile kharidna aur bhi aasan ho gaya hai. Ab aap aasani se koi bhi manchaha phone kisto mein kharid sakte hai. Aaj ke iss article mein humne sambandhit vishay par charcha ki aur jaana ki Loan Pe/ Par Phone Kaise Milega/ Kharide? Online Kisto Par Debit Card Se EMI loan Par Mobile Phone Kaise Le/ Kharide?.

Dosto, yadi aapka koi dost mobile phone kharidna chahta hai to aap usse iss article ke baare mein jankari de sakte hai. Taki wah bhi samay rehte apna manchaha phone kharid sake.

Aisi hi anya mahatvapurn jankari ke liye hamari iss website ko visit kare. Aur pata kare ki kis kis prakar ki suvidhaon ko aap ghar baithe hi aasani se pa sakte hai. Agar aapko yah article jankari se bharpoor laga ho to isse apne dosto aur rishtedaro tak jarur pahunchaye. Taki musibat ke samay mein vah bhi iss suvidha ka labh utha sake.


अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

Check Also

ZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise le? ZestMoney Account Kaise Banaye, Tamil, Customer Care Number, Review, etc.

ZestMoney Kya Hai in Hindi | ZestMoney से पर्सनल लोन कैसे ले?

अपने दोस्तों के साथ शेयर करेंZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

error: Content is protected !!