Laptop Loan for Students in India

अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

SBI Laptop Loan Scheme for Students in India, Zero Down Payment Laptop Bajaj Finance, Laptop On Loan Installment (EMI) Pe/ Par Kaise Le: Dosto, aadhunik yug mein laptop ne jo jagah hamari aam zindagi se lekar hamare udyogon mein le li hai. Shayad hi iska koi muqabla kar paye. Computer or laptop aane ke baad electronics mein ek kranti aa gayi hai.

Jiski wajah se bahut sare sakaratmak badlav hamen dekhne ko mile. Aaj ke yug mein bina laptop ke kisi udyog ki kalpana bhi nahi ki ja sakti. Laptop ne udyogon ke alava hamare dainik jeevan mein bhi itni hi mahatvapurna jagah li hai.

Corona virus ke aane ke pashchat sarvavyapi lockdown laga. Jiske karan shiksha ko bhi classroom se hatkar laptop par aana pada.

Aise mein laptop aur bhi jaruri ho gaya hai. Dosto, aapke paas laptop to hoga hi. Yadi nahi hai to bhi chinta karne ki jarurat nahi hai. Kyunki aaj hum aapko, ek aisa aasan tarika batayenge.

Jisse aap aasani se laptop le sakte hain. Aaj hum baat karenge ki kis prakar se chhatra aur chhatraen bhi laptop le sakte hain.

SBI Laptop Loan Scheme for Students in India, Zero Down Payment Laptop Bajaj Finance, Laptop On Loan Installment (EMI) Pe/ Par Kaise Le

Laptop Loan Scheme

Audyogikaran ke yug mein technology ne sabhi chhatro ko prabhavit kiya hai. Corona lockdown ke karan sarvavyapi lockdown laga. Jiski vajah se shiksha bhi puri tarah se technology par hi nirbhar ho gayi. Shiksha ka digitalisation karna kahin na kahin Bhartiya samaj mein fit nahi baithta hai.

Bharat vartaman mein garibi aur berojgari jaisi samasyaon ka samna kar raha hai. Aise mein garib tabaka aadhunik yug ke sath chalne mein kafi mushkil utha raha hai. Shiksha ka digitalisation hone ke karan sari shiksha laptop par rah gayi hai.

Magar kuch logo ke pass to mobile bhi nahi hai. Aise mein unki shiksha ka kya ho. Issi pramukh samasya ko khatam karne hetu sarkar ne kai tarah ke prayas kiye. Jinme se kuchh prayas bahut hi prabhavi hai.

Aaiye hum baat karte hain ki yadi aap laptop nahi kharid pa rahe hain. To aise mein aap log loan laptop ke liye le hi sakte hain. Sath hi sath sarkar bhi aapko laptop de deti hai.

Ek sarkari anudan NCI ko eligible chhatron ko unke chune hue pathyakram ko pura karne mein sahayta karne ke liye, ek laptop rin pradan karne ki scheme bhi chala rahi hai.

22 July, 2020 ko sarkar dwara anumodit uch aur aage ke shikshan sansthano ke liye, covid samarthan ke package ke hisse ke roop mein, aage aur uch shiksha, anusandhan, navachar aur vigyan vibhag ne samarthan ke liye ekal covid-19 anudan ke liye punjigat dhan avantit kiya hai.

Ucch shiksha ke kshetra mein vanchit chhatro ko ICT upkaranon ki madad karne hetu yah scheme chalai hai. Magar isme aapko kuch niyam aur sharton ko pura karna padta hai.

इसे भी पढ़े 10000 Ka Loan Kaise Le (10000 का लोन कैसे ले)?

Yah scheme samaj ke nimn logo ke liye uplabdh karai jaati hai.

  • Samajik arthik badhaon se vanchit chhatra.
  • Pahli baar pripakav chatra.
  • Viklang chhatra.
  • Anshkalik/ lachila sikhane wale chatra.
  • Aage ki shiksha yogyata rakhne wale chatra.
  • Jo chhatra ghumantu aur roma samudayon ke sadasya hain.
  • Akele mata-pita jatiya alpsankhyakon ke sadasya.

Is scheme ke liye aavedan 15 October se shuru honge aur 31 January tak aavedan prakriya jaari rahegi.

Kerala KSFE Laptop Scheme 2021 Vidyashree! Kerala Sarkar ne aarthik roop se pichhade hue chhatron ko online shiksha dene ke liye iss yojana ka shubharambh kiya hai.

Corona Virus ke karan bacchon ki padhai par bahut bada prabhav pada hai. Issi prabhav ko kam karne hetu aur garib bacchon ko behtar shiksha pradan karne ke uddeshya se Kerala sarkar ne iss yojana ki shuruaat ki.

Jiske antargat lakhon bacchon ko free mein laptop bante gaye. Aise hi anya yojanayen rajya dar rajya mein chalai jaati hai. Taki garib bache padhai se vanchit na ho sake.

Best Bank for Laptop Loan Scheme

Lagbhag sabhi banko ke dwara laptop aur computer kharidne ke liye loan diye jate hain. Jisme se aap ₹20000 se lekar ₹200000 tak ka laptop kharid sakte hain. Darasal laptop loan kam samay ke liye diye jate hain.

In mein adhik se adhik samay awadhi 3 saal tak hoti hai. Jab ki byaj dar 18% varshik ke aas paas hoti hai. Chhatron ko aasan monthly kisto mein yah loan awadhi puri karni hoti hai.

Top loan online aur offline dono prakar se grahakon ko uplabdh karai jaati hai. Aap kisi bhi bank ke najdik shakha mein jakar laptop loan ke liye apply kar sakte hain. Ya phir aap kisi online platform ke madhyam se bhi loan ke liye apply kar sakte hain.

Jaise ki Moneyview ek online loan dene wala app hai. Jiske madhyam se aap ghar baithe hi laptop loan le sakte hain. “SBI Laptop Loan Scheme for Students in India, Zero Down Payment Laptop Bajaj Finance, Laptop On Loan Installment (EMI) Pe/ Par Kaise Le”

Sabse acchi baat yah hai ki loan rashi 24 ghante mein hi aapke khate mein daal di jaati hai. Aur yah process puri tarah se digital hai. Ismein kisi bhi prakar ki kagaji prakriya ke liye bhag daud nahin karni padti. Aap apne avashyak dastavej sidhe phone se hi upload kar sakte hain.

इसे भी पढ़े Paytm Se Loan Kaise Liya Jata Hai | पेटीएम से लोन कैसे ले?

Laptop in Installment

Dosto,vaise to ab aap koi bhi chij installment mein kharid sakte hain. Kyunki ab yah suvidha pratyek company apne pratyek utpaad ke sath de rahi hai. Aise mein grahakon ko to fayda hota hi hai. Sath hi sath company ko bhi fayda hota hai.

Laptop ko installment mein aasani se kharida ja sakta hai. Waise to bahut sari company aur bank aapko installment ke roop mein laptop pradan kar denge. Aur aap kisi bhi sambandhit company ya bank se jakar installment ke roop mein laptop le sakte hain.

Wahi dusri or Just Money namak ek company dawa karti hai ki vah 0% byaj daron par laptop, installment mein de rahi hai.

ZestMoney company ka dawa hai ki vah 0% down payment par bhi laptop pradan karti hai. Sath hi sath iske liye aapko koi bhi application fees nahi deni hoti.

Loan rashi ko aapko adhik se adhik 12 mahine ke andar chukana padta hai. Iske alava bahut sari aisi companiyan hain jo aapko installment mein laptop aur computer pradan kar sakte hain.

SBI Laptop Loan for Students in India

Yadi aap chhatra hain aur kisi recognised institute mein padhai karte hain. To aise mein aap SBI se education loan le sakte hain. Darasal laptop loan bhi education loan ka hi ek hissa hai.

Aap kisi bhi SBI ki bank shakha mein jakar education loan ke liye apply kar sakte hain. Aur apne kharchon ke anusar loan le sakte hain.

Yadi aap laptop lena chahte hain to State Bank of India ke dwara aapko laptop ke liye bhi loan de diya jayega.

Dosto, education loan ke liye aapko koi bhi bahut adhik byaj dar nahi bharni padti hai. Education loan par banko dwara samanya byaj daren di jaati hain.

Aur aapko ek lachili samay awadhi bhi di jaati hai. Jiske dauran aap aasani se loan ko repayment kar sakte hain. “SBI Laptop Loan Scheme for Students in India, Zero Down Payment Laptop Bajaj Finance, Laptop On Loan Installment (EMI) Pe/ Par Kaise Le”

इसे भी पढ़े Google Pay Se Loan Kaise Le Sakte Hain | Google Pay Loan कैसे देता है?

Zero Down Payment Laptop Bajaj Finance

Digitally karan aur aadhunik yug mein ek achcha laptop hona aapke liye jaruri ho jata hai. Kyunki digitalization ke daur mein sabhi kam online hi hote hain.

Aur bade bade udyog laptop ke chote chote button se hi sucharu roop se chal rahe hain. Darasal laptop aaj ke yug ki ek aham jarurat hai.

Magar kai baar aisa hota hai ki hum laptop nahi kharid paate. Kyunki acchi kimat ke bina acche laptop kharid pana sambhav nahi hai.

Ab aapka accha laptop kharidne ka sapna aasani se pura ho sakta hai. Kyunki Bajaj Finserv ke madhyam se aap zero down payment par laptop le sakte hain.

Bajaj Finserv ne bahut sari companiyon ke sath partnership kar rakhi hai. Jin se Bajaj Finserv ke madhyam se aap zero cost EMI par aur zero down payment par loan le sakte hain.

Is prakar aap apne laptop lene ke sapne ko sach kar sakte hain. Darasal HP, Dell aur anya pramukh laptop companiyan Bajar Finserv ke sath sajhedari mein kam kar rahi hain. Jinse aap Bajaj Finserv ke madhyam se zero down payment finance par laptop le sakte hain.

Laptop On Installments Without Interest

Dosto, laptop ko aap zero down payment par to le sakte hain. Magar 0% byaj par lena shayad hi sambhav ho. Kyunki yah baat to aap bhi aasani se samajh sakte hain.

Yadi company aapse kisi prakar ka byaj nahi legi, toh isme uska kya fayda hoga. Darasal sabhi companiyan aapko EMI par laptop to pradan kar deti hai. Magar un par thodi bahut byaj dar to rehti hi hai.

Jaise ki business loan par aapko bahut hi kam byaj dar deni hoti hai. Yah baat sach hai ki iss tarah ke upkaranon par byaj daren bahut jyada adhik nahi hoti hain.

Magar aapko zero pratishat byaj daron par bhi shayad hi koi aisi company mil paye, jo aapko laptop pradan kar de. Just money dawa karti hai ki vah 0% down payment ke sath sath 0% byaj daron par bhi laptop apne grahakon ko uplabdh karati hai.

Dosto, yadi aap online kharidari kar rahe hain. Aur koi bhi company aapse 0% byaj par laptop jaise upkaran dene ke baat kahati hai to uss company ki satyata ke bare mein jarur jankari le.

Kyonki sabhi badi companiyan laptop par kuchh na kuchh byaj daren to leti hi hain. Yah baat ab aap aasani se samajh sakte hain, ki jab itni badi company bhi 0% byaj par laptop nahi uplabdh karati. To koi bhi nayi company 0% byaj par laptop kyon uplabdh karvayegi.

इसे भी पढ़े Bharat Pe Loan Kaise Le (भारत पे लोन कैसे ले)?

Laptop On EMI Flipkart (Laptop Loan for Students in India)

Aapne Flipkart se kabhi na kabhi kuch to kharida hi hoga. Flipkart ek online shopping app hai jiske madhyam se aap ghar baithe hi apni pasand ka saman kharid sakte hain.

Yah saman aapko aapke ghar par hi delivery boy ke jariye uplabdh kara diya jata hai. Doston Flipkart se khariddari karne ke waqt jab hum bhugtan karte hain. To humko teen option dikhai dete hain.

Jisme ek hota hai, cash on delivery, online payment aur EMI. Yadi aap Flipkart se laptop lena chahte hain, magar aap paise ki tangi se joojh rahe hain. To aapko chinta karne ki avashyakta nahi hai, kyunki aap laptop ko Flipkart ke madhyam se bhi le sakte hain.

Flipkart se EMI par laptop lene ke liye sabse pehle apni pasand ke laptop ka chunav kare. “SBI Laptop Loan Scheme for Students in India, Zero Down Payment Laptop Bajaj Finance, Laptop On Loan Installment (EMI) Pe/ Par Kaise Le”

Ab aap bhugtan karne ke option par mike ka option chune. Jahan par aapko byaj dar, loan ki samay awadhi aur masik kist ke bare mein vistaar purvak bataya jayega.

Yadi aap Flipkart ki sharton ko pura karte hain aur EMI par laptop lete hain. To iske liye aapko apna credit card ka number bhi add karna hota hai. Iis prakar se aap Flipkart se EMI par laptop le sakte hain.

Loan Pe Laptop Kaise Le

Jaise ki humne aapko pehle bhi bataya ki vibhinn bank aur online loan pradan karne wale app ke madhyam se aap loan par laptop le sakte hain.

Magar dhyan rahe kisi bhi bank ya application ke madhyam se loan lete samay byaj daron aur loan ki sharton ke bare mein jarur pata kar le.

Kyonki kai baar hum bina sharton ko padhe hi loan le lete hain. Jisse baad mein humko kathinaiyan uthani padti hai.

Sarkari banko se education loan ke antargat loan par bhi laptop liya ja sakta hai. Iske liye wahi sharte puri karni hoti hai, jo aapko education loan lete samay puri karni padti hai.

Is tarah ke loan aasani se banko dwara de diye jaate hain. Kyunki in loan ki rashi anya loan ke muqable mein kam hoti hai. Aur sath hi sath inki samay awadhi bhi kam hoti hai.

Yadi aap laptop lene ka man bana rahe hain, to aap kisi najdiki bank shakha mein jakar bhi bank se finance kara kar laptop le sakte hain.

इसे भी पढ़े Loan Kaise Le Mobile Se? | मोबाइल से लोन कैसे ले सकते है?

Conclusion (Laptop Loan for Students in India)

Aaj humne jana Ki loan par laptop kaise le sakte hain. Aur sath hi sath isi topic se sambandhit anya mahatvpurn vishay jaise ki “SBI Laptop Loan Scheme for Students in India, Zero Down Payment Laptop Bajaj Finance, Laptop On Loan Installment (EMI) Pe/ Par Kaise Le” par charcha ki. Asha hai ki aapko sambandhit vishay ke bare mein sabhi jankariyan prapt ho gayi hongi.

Aisi hi anya mahatvpurn jankariyan lene ke liye hamari website ko visit kare. Aur nayi nayi yojnao ke bare mein jankar unka labh prapt kare. Yadi aapko anya kisi yojana ke bare mein pata karna ho to aap comment karke poochh sakte hain.

Yadi aapka koi sathi laptop lene ka man bana raha ho to aap usse iss article ke bare mein jarur bataye. Taki vah bhi suvidha ka labh utha sake.


अपने दोस्तों के साथ शेयर करें

Check Also

ZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise le? ZestMoney Account Kaise Banaye, Tamil, Customer Care Number, Review, etc.

ZestMoney Kya Hai in Hindi | ZestMoney से पर्सनल लोन कैसे ले?

अपने दोस्तों के साथ शेयर करेंZestMoney Kya Hai in Hindi and ZestMoney Se Loan Kaise …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

error: Content is protected !!