Home Loan Subsidy Kaise Check Kare (होम लोन सब्सिडी कैसे चेक करे), Home Loan Subsidy Status & Last Date (होम लोन सब्सिडी स्टेटस – लास्ट डेट): Bharat ki adhiktar jansankhya gaon mein rehti hai aur pichle kuch varshon mein Bharat mein garibi ne bhi apne kadam badhaye hai.
Aajadi ke 70 saal baad hi Bharat mein garibi puri tarah se samapt nahi hui hai. Abhi bhi kuch log aise hain jinke paas rehne ke liye pakka makan tak nahi hai. Jin logo ke paas khud ka pakka makan nahi hai. Ab sarkar unke liye ek yojna lekar aayi hai. Jiske tahat aise logo ko pakka makan banane ke liye arthik sahayata pradan ki jayegi.
Gareeb logo ko pakke makan banane ke udeshya se kendra sarkar ne san 2015 mein Pradhan Mantri Awas Yojana ki shuruaat ki. Jiska uddeshya garib logo ko pakka makan uplabdh karana hai.
Dosto, Home Loan subsidy ke liye yadi aap jankari chahte hai to yah article aapke liye aapki sari samasya ka hal lekar aaya hai. Home Loan se sambandhit jitni bhi aapki queries aur sawaal hai, un sabhi sawalo ke jawab iss article mein mil jayenge.
Dosto, Bharat ke mananiya Pradhan Mantri Shri Narendra Modi ne san 2015 mein Pradhan Mantri Awas Yojana namak ek scheme ka udghatan kiya tha. Jiska uddeshy jhuggi jhopdi mein rah rahe logo ko pakka makan uplabdh karana tha.
Iss yojna ke tahat garib logo ko kai prakar ke fayde diye gaye, taki wah apna khud ka ghar banane ka sapna pura kar sake. Iske sath sath hi Pradhanmantri Aawas Yojana ke tahat jaruratmand ko ghar banane hetu loan dene ke liye bhi yojana banai gayi. Taki gareeb log avashyakta ke samay loan lekar apna ghar bana sake.
Home Loan Subsidy Kaise Check Kare (होम लोन सब्सिडी कैसे चेक करे)
विषय-सूची
Pradhan Mantri Awas Yojana ke antargat sarkar Bharat ke sabhi vyaktiyon ko pakka ghar banane hetu loan pradan kar rahi hai. Taki garib jhuggi aur jhopdi mein rehne wale log apna khud ka ghar bana sake aur arthik madad bank se loan ke madhyam se le sake. Iske liye sarkar ki taraf se loan par subsidy bhi di ja rahi hai.
Taki loan ka bhugtan karna in logo ke liye aur bhi aasan ho jaye. Aur sarkar ka uddeshya, sabhi logo ke liye pakka ghar bnane ka pura ho sake. Aayiye jante hai ki Home Loan Subsidy Kaise Check Kare.
Dosto, yadi aapne Pradhan mantri Awas Yojana ke antargat bank se loan liya hai. Aur ab aap yah dekhna chahte hai ki aap ko sarkar ki taraf se abhi tak sahayika mili hai ya nahi. To aap niche diye gaye tarike ke madhyam se pata laga sakte hai. “Home Loan Subsidy Kaise Check Kare (होम लोन सब्सिडी कैसे चेक करे), Home Loan Subsidy Status & Last Date (होम लोन सब्सिडी स्टेटस – लास्ट डेट)”
इसे भी पढ़े – Home Loan Kaise Le Sakte Hain? | होम लोन कैसे मिलता है?
Home Loan Subsidy Status (होम लोन सब्सिडी स्टेटस)
Pradhan Mantri Awas Yojana ke antargat subsidy check karne ke liye sabse pehle aapko pradhanmantri Awas Yojana ki official website par jana hoga.
Official website ke Homepage par kai prakar ke options aapko nazar aayenge. Jinme se aapko “Citizen Assessment” option par click karna hai. Uske baad aapko kai prakar ke anya vikalp dikhai denge.
“Citizen Assessment” vikalp par click karne ke pashchat aap ko ” Track Your Assessment Status” par click karna hoga.
Iske pashchat aapko 2 prakar ke anya vikalp dikhaye jayenge jisme se aapko kisi ek ka chunav karna hoga. Yah 2 vikalp honge “Assessment ID ya By Name”, Father’s Name, Mobile Number.
Uske baad aap se Pradhanmantri Awas Yojana ke sambandh mein personal jankari mangi jayegi. Jo aapko sahi sahi fill kar deni hai.
Jab aap iss form ko submit kar denge to aapko ek naye phone par redirect kiya jayega. Jahan par aap apne loan ke status ko check kar sakte hai. Aur pata laga sakte hai ki aap ki subsidy aayi ya nahi.
Yah bahut hi aasan tarika hai, jiske madhyam se aap aasani se jaan sakte hai. Ki abhi Pradhan Mantri Awas Yojana ke tahat aapki subsidy sarkar ke dwara manzoor ki gayi hai ya nahi.
इसे भी पढ़े – Best Home Loan Bank in India with Low Interest Rates
Home Loan Subsidy Last Date (होम लोन सब्सिडी लास्ट डेट)
Kendra Sarkar ne Pradhanmantri Aawas Yojana san 2015 mein shuru ki thi, taki gareeb aur jaruratmand logo ke liye pakke makan banaye ja sake. Iss yojana ka uddeshya Bharat ke sabhi logo ke liye pakke makan banwane ka tha.
Iss yojana ke tahat anuman lagaya gaya ki 2022 tak sabhi jaruratmand logo ko ghar banwane ke liye arthik sahayata pradan kar di jayegi. Aur san 2022 tak sabhi ke paas pakke makan honge.
Sarkar ka anuman hai ki 31 march, 2022 tak iss yojana ka labh sabhi patra logo tak pahunch jayega. Iss prakar hum keh sakte hai ki Home loan subsidy ki last date 31 march, 2022 hai.
होम लोन सब्सिडी कस्टमर केयर नंबर
Home loan subsidy ke grahak jyadatar gramin aur garib log hai. Aise mein inn logo ke paas shiksha ka bhi abhav hai. Yah log online status check nahi kar sakte aur apni subsidy ko online track bhi nahi kar pate hai. Aise mein in logo ko customer care number ki avashyakta hoti hai. Taki jarurat padne par wah phone karke Pradhan Mantri Awas Yojana ke status se parichit rahe.
PMAY (Pradhanmantri Aawas Yojana) ke bare mein online shikayat karne ke liye , aap niche diye gaye number par dial kar sakte hai: 011- 23060484, 011- 230063285, aur pmaymis-mhupa@gov.in par apni query ke sath email bhi bhej sakte hai. Iske alawa, aap Pradhanmantri Awas Yojana karyalay mein ja sakte hai.
Jiska pata hai: Pradhan Mantri Awas Yojana (Shahri) awas aur shahri mamlo ke Mantralaya Nirman Bhawan, New Delhi, 110011. “Home Loan Subsidy Kaise Check Kare (होम लोन सब्सिडी कैसे चेक करे), Home Loan Subsidy Status & Last Date (होम लोन सब्सिडी स्टेटस – लास्ट डेट)”
इसे भी पढ़े – Home Loan Interest Rates All Banks 2021 in India
होम लोन सब्सिडी एलिजिबिलिटी 2022
Dosto, Pradhan Mantri Awas Yojana ko laagu karte waqt kuch niyam aur sharte bhi laagu ki gayi thi. Jinke aadhar par hi yogay aur ayogay logo ki pehchan ki gayi thi. Aaiye jante hai ki home loan subsidy ke liye eligibility criteria kendra sarkar ke dwara kya rakha gaya hai.
Aavedan karta ke ghar se kisi bhi sadasya ka pakka ghar nahi hona chahiye. Tabhi jakar Pradhanmantri Aawas Yojana ke liye apply kar sakta hai.
Avedankarta/ labharthi kisi bhi rajya ya kendra sarkar ke dwara chalai gayi anya aawas yojana ka fayda nahi utha raha ho. Jaise ki Indira Gandhi Aawas Yojana ka fayda utha rahe logo ko Pradhanmantri Aawas Yojana ka fayda nahi milega.
Pradhanmantri Aawas Yojana ke liye apply karne wale vyakti ke ghar mein se koi bhi PLI jaisi subsidy ka fayda nahi utha raha ho.
Labharthi parivar ko apne aadhar card number dena jaruri hai.
Jis sampatti par aap loan lena chahte hai, vah sampatti 2011 ki janganana ke anusar vadhanik jagah par sithat honi chahiye. Tabhi jakar aapke liye Pradhanmantri Aawas Yojana se subsidy uplabdh ho payegi.
Pradhan Mantri Awas Yojana (PMAY) ka labharthi pati, patni aur avivahit betiyan/ bete ho sakte hai.
Inke paas pakka ghar nahi hona chahiye. Jiska arth hai ki ghar uske naam par ya pure Bharat mein parivar ke kisi anya sadasya ke naam par bhi nahi hona chahiye.
Pradhan Mantri Awas Yojana ke antargat bathroom, rasoi aadi sahit atirikt kamro ke swamitva, navinikaran (renovation) aur yahan tak ki nirman (construction) ke liye bhi subsidy uplabdh hai. “Home Loan Subsidy Kaise Check Kare”
Agar koi vyakti upar likhi hui patrata ko puri karta hai. To vah Pradhanmantri Aawas Yojana ke antargat milne wali subsidy ke yogya hai.
प्रधानमंत्री आवास योजना के लिए वार्षिक आय कितनी होनी चाहिए।
Varshik aay bhi Pradhan Mantri Awas Yojana ke liye ek mahatvapurna bhumika nibhati hai. Varshik aay ke liye bhi ek limit tay ki gayi hai. Yadi koi vyakti anya yogyataon ko puri karta hai aur uski varshik aay isse jyada hai. To aise mauke mein bhi uska loan application reject ho sakta hai.
EWS Yojana ke tahat vyakti ke liye varshik aay seema 3 lakh rupaye se kam honi chahiye. LIG (Low Income Group) Yojana ke liye varshik aay seema 3 lakh rupaye aur 6 lakh rupaye ke beech hai. (Middle Income Group) MIG yojana ke liye varshik aay seema 6 lakh rupaye aur 12 lakh rupaye ke beech hai. Aur MIG II Yojana ke liye varshik aay seema 12 lakh aur 18 lakh rupaye ke beech hai.
Benefits Under PMAY (Home Loan Subsidy Kaise Check Kare)
Subsidy milne ke kya fayde hote hai. Jaise ki aapko kisi bhi prakar ka income tax nahi dena hota hai.
Subsidy milne ke pashchat loan ki adhiktam rashi tay nahi hoti hai. Aap apni jarurat ke anusar rashi loan par le sakte hai.
Aapke loan par subsidised byaj dar hi lagti hai.
Subsidy ki rakam sidhe aapke bank khate mein hi daal di jati hai.
Udaharan ke taur par aapko 1200000 rupaye ka Pradhanmantri Aawas Yojana ke antargat loan diya jata hai. Aur iss par aapko 8.5% varshik byaj dar par bhugtan karna hoga. Maan lijiye iski loan awadhi 20 saal hai. Iss prakar aap ki maasik kist 10414 rupaye ki hogi. Iss prakar aapko byaj sahit 1299331 rupaye ka bhugtan hoga.
Agar aapko 3% subsidy mil jati hai. To aapko masik kist 8418 rupaye ki ho jayegi. Aapko 1050292 rupaye ka bhugtan karna hoga. Pradhanmantri Aawas Yojana ke antargat 3 percent subsidy milne se aapko 249039 rupaye ka fayda ho jayega.
इसे भी पढ़े – A Loan With Bad Credit | Get a Personal Loan With Bad Credit
Conclusion (Home Loan Subsidy Kaise Check Kare?)
Aaj ke iss article mein humne home loan subsidy se sambandhit mukhya pehluo par charcha ki aur jana ki kis prakar se home loan subsidy per loan milta hai. Aur sath hi mein humne home loan subsidy ke mukhya pahluo jaise ki “Home Loan Subsidy Kaise Check Kare (होम लोन सब्सिडी कैसे चेक करे), Home Loan Subsidy Status & Last Date (होम लोन सब्सिडी स्टेटस – लास्ट डेट)” par charcha ki.
Umeed hai ki aapko yah article pasand aaya hoga. Aur isme di gayi jankari se aap santusht bhi honge. Isi prakar ki anya jankari ke liye aap hamari website par bane rahiye. Aisi hi anya sarkari yojnao aur loan sambandhit yojnao ke liye aap hamari website ke homepage par jaakar check kar sakte hai.
Jahan par bahut sari sarkari yojana aur loan ke bare mein vistaar purvak jankari di gayi hai. Yah article jaruratmand tak jarur pahunchaye taki vah bhi iss article se jankari prapt kar apne liye pakka makan banwa sake.