KreditBee Loan Kaise Le/ Lete Hain, KreditBee Loan Interest Rate, Review and Customer Care Number: Kya aapke paise bhi mahine ki salary aane se pehle hi khatam ho jate hai? Kya aap bhi mahine ke beech mein paise ki tangi se joojh rahe hai and Kya aapko bhi apne kisi kaam ke liye paiso ki jarurat hai.
Kya aap ko bhi rishtedaro se paise mangna acha nahi lagta hai? Agar aapko uparlikhit sawalon se chutkara chahiye to aapko iss post ko pura padhna hoga.
Aaj hum baat karenge aapki jarurato ke liye loan dene wale platform KreditBee Personal Loan Kya Hai? KreditBee Loan Types, KreditBee Loan Eligibility, KreditBee Loan Documents, KreditBee Loan Kaise Le, KreditBee Loan Apply Online, KreditBee Loan Interest Rate And KreditBee loan Customer Care Number aisi hi anya jankariyon ke bare mein.
KreditBee Personal Loan Kya Hai (KreditBee Loan Details in Hindi)
विषय-सूची
Aaiye dosto, ab hum jante hai KreditBee ke dwara diye jane wale personal loan ke bare mein. Aap KreditBee se jab chahe loan le sakte hai. Iske liye aapko offline ya online avedan karna hota hai. Aaiye ab KreditBee ke personal loan ki jankari prapt karte hai.
KreditBee ek online digital rindata loan dene wali company hai. Jo vibhinn vyaktigat paise sambandhi jaruraton ko pura karne ke liye vyaktigat rin (niji loan) pradan karta hai. KreditBee personal loan 1000 rupaye se shuru hota hai. Aur 2 lakh rupaye tak ja sakta hai. Yah loan aapko apne hisab se tay ki gayi awadhi ke bhitar chukaya ja sakta hai.
इसे भी पढ़े – SBI Yono App Se Personal Loan Kaise Le?
KreditBee se Kitna Loan Le Sakte Hai?
KreditBee ke dwara aapko personal loan 2 lakh rupaye tak diya ja sakta hai. Personal loan par prati mahina 1.02% ki dar se byaj liya jata hai. Aap loan rashi ko kam se kam 2 mahine se lekar adhiktam 15 mahine ke bhitar bhar sakte hai.
Yadi aap KreditBee se loan lena chahte hai to sunishchit kare ki aapki umar 21 varsh se lekar 45 varsh ke beech mein hai. KreditBee ke dwara di jane wali loan par kul rashi ka 6% processing fees ke taur par le liya jata hai.
KreditBee se loan aap ghar baithe online hi le sakte hain. Ya phir KreditBee ke karyalay mein jakar kam se kam kagji prakriya mein loan le sakte hai. “KreditBee Loan Kaise Le/ Lete Hain, KreditBee Loan Interest Rate, Review and Customer Care Number”
Mukhya Bindu
- Loan Rashi- 2 lakh rupaye adhiktam
- Byaj dar- 1.02% prati mahine (12.24% prati varsh)
- Awadhi- 2 mahine se 15 mahina
- Umar- 12 to 45
- Processing fees- 6% (kul rashi ka jo aapko loan mein di jayegi)
KreditBee Loan Types
KreditBee ek aisa platform hai, jo yuva peshevaron ko instantly personal loan pradan karta hai. Aap online portal ke madhyam se 1,000 rupaye se shuru hone wale personal loan ke liye avedan kar sakte hai.
KreditBee ke dwara do prakar ke loan diye jate hai.
1. Flexi Personal Loans
2. Personal Loans For Salaried.
Flexi Personal Loan ke madhyam se aap 2 lakh rupaye tak ka loan le sakte hai. Jisko lautane ke liye adhiktam awadhi 6 mahine ki hoti hai..
Personal loan ke madhyam se bhi aap 2 lakh tak ka loan le sakte hai. Jisse aapko 15 mahine ki awadhi mein dena hota hai.
इसे भी पढ़े – Loan Kaise Le Mobile Se? | मोबाइल से लोन कैसे ले सकते है?
KreditBee Loan Features (KreditBee Loan Kaise Le/ Lete Hain?)
Loan Rashi: KreditBee se aapko nyuntam 1000 rupaye se 2 lakh rupaye tak ka loan mil sakta hai. KreditBee dwara di jane wali vyaktigat rin (personal loan) aapke liye faydemand sabit ho sakta hai.
Aap KreditBee se vibhinn karyon ko kar sakte hain. Jaise chikitsa aapatkalin kharche, kharidari, ghar ki marammat, shadi, aadi sahit vibhinn vyaktigat kharch ke liye aap yah loan le sakte hai.
Suvidhajanak Awadhi: KreditBee personal loan ki awadhi bhi kafi achhi hoti hai. Aur 2 se 15 mahine tak aap rashi ko lauta sakte hai.
Aasan Online Avedan: Digital platform aapko dhan ki aasan uplabdhta sunishchit karne ke liye kisi bhi samay vyaktigat rin ke liye online avedan karne ki anumati deta hai.
Nyuntam Dastavejikaran: Vyaktigat rin (personal loan) prapt karte samay ab aapko kai dastavej jama karne ki avashyakta nahi hai. Aap banko se loan lete waqt jis badi prakriya se gujarte hai, usse nahi gujarna padta hai.
Kyonki KreditBee kewal mool dastavej mangta hain. Jinhe rin aavedan ke samay online upload karne ki avashyakta hoti hai. “KreditBee Loan Kaise Le/ Lete Hain, KreditBee Loan Interest Rate, Review and Customer Care Number”
KreditBee Loan Eligibility
Agar hum baat kare ki aap iss loan ke liye eligible hai ya nahi? To hum kuch pehluon par vichar karte hai. KreditBee bhi inhi pehluon ke aadhar par aapko loan deta hai. Agar Hum baat kare rojgar vyakti ke liye diye jane wale personal loan ke bare mein, to Aapko inn mandando ko pura karna hota hai.
- Sabse pehle to KreditBee aapki umar pata karta hai ki aap 21 saal se 45 varsh ki aayu ke beech wale vyakti ho ya nahi. Aapki nyuntam aayu 21 varsh aur adhiktam 45 varsh honi chahiye.
- Dusra, aapki masik aay (monthly income) 15000 rupaye se jyada honi chahiye.
- Aur jis jagah aap naukri karte hai. Uss jagah par pichle 3 mahine se nirantar karya kar rahe ho.
इसे भी पढ़े – Pan Card Se Loan Kaise Le | पैन कार्ड से लोन कैसे लेते हैं?
KreditBee Loan Ke Liye Konse Documents Chahiye?
KreditBee ke liye aapko jyada badi kagji prakriya se nahi gujarna padta hai. Iske liye aapko bas kuch jaruri documents hi dene padte hai.
1. Personal Loan For Salaried
Personal Loan ke liye aapko bas 2 hi prakar ke document dene padte hain
- Pan Card
- Address Proof: Aadhar Card, Voter ID Card, Voter Card, Passport, Bank statement jis khate mein salary milti hai.
2. Flexi Personal Loan
- Pan Card
- Address Proof: Aadhar Card, Voter ID Card, Passport.
KreditBee Loan Kaise Le (KreditBee Loan Apply Online)
- KreditBee se loan lene hetu aapko KreditBee App Download karna hota hai.
- Ab aapko sign up karna hoga. Jisse aap facebook ke account se jod sakte hai.
- Ab aapko apna aadhar card, voter id card, passport, bank statement jis khate mein salary milti hai. Jaisi jankariyan bharni hogi, jisse aapki loan lene ke liye patrata check kari jaati hai.
- Ab aapko apni KYC sambandhit jankari upload karni hogi. Aap shadi shuda hai ya nahi. Iss bare mein bhi aapko jankari deni padti hai aur sath mein hi aapko apna sampark number bhi dena padta hai.
- Ab aapko apne khate ke bare mein jankari deni hogi. Jisme aapko apni salary slip bhi deni hogi.
- Ab aapko apne phone ke jariye hi e-hastakshar bhi dene honge.
- Yadi aapka loan approve ho jata hai to aapko 15 minute ke andar loan de diya jayega. Aur paise aapke khate mein hi aa jayenge.
इसे भी पढ़े – Mahila Loan 30000 Scheme 2021 | Mahila Samridhi Yojana
KreditBee Loan Interest Rate
KreditBee ke dwara 2 prakar ka loan diya jata hai. Dono prakar ke loan ke liye alag alag byaj dar hoti hai. Aapko loan ke liye avedan karne se pehle byaj dar ke bare mein avashya jaan lena chahiye.
Personal Loan for Salaried ki byaj dar 12.24% varshik hoti hai.
Agar hum baat kare dusre prakar ke Flexi Personal Loan ki to iski byaj dar 18% se 29.95% tak ki hoti hai.
Isliye aap byaj dar ke bare mein pehle se hi pata kar le.
KreditBee Loan Customer Care Number
KreditBee aapko online personal loan lene ka avsar pradan karta hai. Yadi aap ek vetan bhogi kamkaji peshevar hai. Jo nakdi ki kami ya mahine ke beech paise ki tangi se gujar rahe hai. To KreditBee aapko behtarin byaj dar par vyaktigat rin pradan karta hai.
Yadi aapko kisi prakar ki anya jankari chahiye to aap official customer care number 080- 44292200 par call kar sakte hai. “KreditBee Loan Kaise Le/ Lete Hain, KreditBee Loan Interest Rate, Review and Customer Care Number”
KreditBee Loan Review
Dosto, KreditBee ke bare mein maine online review search kiye. Aur main iss natije par pahuncha ki jis prakar ki suvidha online dikhayi gayi hai. Itni achi suvidha grahakon ko nahi di jati hai. KreditBee ke official facebook page par jitne bhi review hai.
Lagbhag sare app ke bare mein nakaratmak hain. Kahi kahi hamko sakaratmak chhavi bhi dekhne ko mili hai. Isliye hum aapko salah denge ki aap pehle sabhi tarah ke niyam aur sharton ke bare mein jaan le.
Aur google ya facebook par uplabdh review ko bhi padh le. Taki aapko pata lag sake ki aapko kin samasyaon ka samna karna pad sakta hai.
Aur in samasyaon se kaise bacha ja sakta hai. Hamari post sirf aur sirf jankari ke uddeshya se likhi gayi hai. Hum kisi bhi company ka aur kisi bhi app ka promotion nahi kar rahe hai. Yadi aapke sath bhavishya mein kuch aruchikar hota hai.
To iske liye hum jimmedar nahi honge. Iss post ka uddeshya aap logo ko jankari se rubaru karana hai. Yah post KreditBee se sambandhit kisi bhi niyam aur sharton ka dawa nahi karta hai.
इसे भी पढ़े – Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale | आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले?
Conclusion (KreditBee Loan Kaise Le/ Lete Hain?)
Aaj iss post ke madhyam se humne aapko bataya ki KreditBee Loan Kaise Le/ Lete Hain, KreditBee Loan Interest Rate, Review and Customer Care Number kya hai. Halanki KreditBee app se judi sari jankari, iss post mein de di gayi hai.
Agar iske bawajud aapko koi baat ho jo samjh nahi ayi. To use comment karke puch sakte hain, hum uska jawab aapko jarur denge. Agar aapko yah post jankari se bharpoor lagi ho to iss post ko apne dosto ke sath share kare.
Taki musibat ke samay mein wo bhi iss app ka fayda utha sake. Kai bar humein paiso ki atyant avashyakta hoti hai. Magar paise samay par nahi mil pane ki wajah se hamara bhari nuksan ho jata hai. Agar aap ko iss post ki jankari se lagta hai ki kisi ka fayda ho sakta hai. To iss post ko apne dosto ke sath jarur sanjha kare.