खेती की जमीन पर लोन कैसे ले? एक (1/१) बीघा जमीन पर कितना लोन मिलता/ मिल सकता है: Jeevan mein bura samay kab aa jaye kuch pata nahi chalta. Pichle kuch saalo mein jis tarah se garibi ne Bharat mein pair pasare hai, vah vastav mein ek chintajanak vishay hai.
Aise mein corona virus ke prakop ne aarthik sthiti ko aur bigad diya hai. Kai baar hame paise ki atyant jarurat hoti hai. Magar samay par paisa na hone ki vajah se na to hamara kaam ho pata hai. Aur na hi hamari samasya ka hal nikal pata hai.
Aise mein aaj him aapko bahut hi aasan aur saral tarika batane wale hai. Jisse aap majburi ke samay mein aarthik madad lekar apni samasya ko anjam tak pahucha sakte hai. Loan ke bare mein to aapne suna hi hoga.
Aaj hum iss article mein baat karenge ki kis prakar aap Jameen Par Loan Le Sakte Hain. Jameen par loan lena jitna mushkil kaam dikhta hai, vastav mein itna hai nahin.
Jameen par aap aasani se loan le sakte hai. Iske sath sath hi aap kheti ki jameen par bhi loan le sakte hai. Aaj ki iss post mein hum aapko isi vishay se sambandhit har prakar ki jankari pradan karenge.
Aaiye dosto, jante hai ki Jameen Par Loan Kaise Le. Kheti Ki Jameen Par Loan Kaise Le aur 1 Bigha Jameen Par Kitna Loan Milta Hai?
जमीन पर लोन कैस ले
विषय-सूची
Dosto, aap kai baar sochte honge ki Jameen Par Loan Kaise Le? To aaiye baat karte hai, jameen par loan lene ki. Isme hum baat karenge ki kis prakar aap jameen par loan le sakte hai? Loan lene ke liye aapko kin kin avashyak dastavejo ki jarurat hogi? Aur kis prakar se aap bank se loan le sakte hai. Jameen par loan lena property loan ke antargat aata hai. Property loan ko kuch girvi rakh kar liya jata hai.
Aapki jameen ki kimat ka aakalan kar kuch bank nirnay leta hai ki kitna loan aapko dena hai. Banko dwara jameen par loan dene ke liye alag alag byaj dar nirdharit hoti hai. Pratyek bank apne apne mapdand ke aadhar par loan rashi aur byaj dar ko tay karta hai.
Yadi jameen ke kagaz aapke naam par nahi hai to aise mein aap kaise loan le sakte hai? Kai baar dekha jata hai ki jameen ke kagaz ghar ke mukhya sadasyon ya bujurgo ke naam par hote hai. Aise mein sawal uthta hai ki loan kaise le? Yadi aapke paas zameen ke kagaz nahi hai to aap joint application ke antargat loan ke liye apply kar sakte hai.
Magar yah dhyan mein rakhe ki joint loan ke sabhi hissedaro ki likhit sahmati bhi jaruri hoti hai. Iss prakar aap joint application ke liye kisi bhi bank mein apply kar sakte hai. Aur aage ki kagzi karyawahi ko pura kar loan le sakte hai.
Yadi jameen ke kagaz aapke naam par hai to aapko aur bhi aasani se bank loan mil sakta hai. “खेती की जमीन पर लोन कैसे ले? एक (1/१) बीघा जमीन पर कितना लोन मिलता/ मिल सकता है”
इसे भी पढ़े – SBI Yono App Se Personal Loan Kaise Le?
खेती की जमीन पर लोन केसे लें?
Dosto, aksar dekha jata hai ki log apni kheti ki jameen par loan lete hain. Aayiye baat karte hai ki kheti ki jameen par loan kaise le? Kheti ki jameen par loan lena anya loan ke muqable ek saral prakriya hai.
Kheti ki jameen par loan lene par byaj dar bhi bahut kam hoti hai. Aise me adhiktar kisan arthik vipda ke samay mein kheti ki jameen par loan lena munasib samajhte hain. Kheti ki jameen par loan offline diya jata hai.
Jiske liye aapko kisi bhi najdiki bank shakha mein jakar aavedan form bharna padta hai. Adhikarik prakriya se guzarne ke baad yadi aap banko ke sabhi maapdand ko pura karte hai.
To aapka loan manjur ho jata hai aur aapki jameen ki kimat ka aakalan karne ke baad aap ko loan pradan kar diya jata hai.
“जमीन पर लोन कैसे ले/ खेती की जमीन पर लोन कैसे ले” लेने के लिए जरूरी मापदंड।
Dosto, kheti ki jameen par loan lene ke liye hamein bank ke dwara banaye gaye kuch mandando ko pura karna hota hai. Yadi hum in mandando par khara utarte hai, to bank hamare loan ko swikrit kar leta hai.
Aaiye dosto, jante hai in mandando ke bare mein. Sabse pehle to kheti ya jamin par loan lene ke liye aapki nyuntam aayu 27 saal honi chahiye aur adhik se adhik 65 varsh. Tabhi jakar aap ke loan ko swikriti mil sakti hai. Kujh bank nyuntam aayu ko 18 varsh tak mangte hain.
Jis jameen par aap loan lena chahte hai, us jameen ke kagaj aapko bank ko dene hote hai. Aur bank ke sath aapko ek agreement karna hota hai. Jisme yah likha hota hai ki yadi loan lene wala bank ka paisa kisi halat mein nahi chuka pata hai.
To aise mein bank un par kanooni karyawahi kar sakta hai. Sath hi sath kanoon ke dayre mein rahkar us jameen ko bhi neelam kar sakta hai.
Yaad rahe jis jameen par aap loan le rahe hai, vah jameen aapke naam par honi chahiye. Yadi jameen ek se adhik vyaktiyon ke naam par hai to aise mein un sabhi aadmiyon ko manjuri lena avashyak ho jata hai.
Kheti ki jameen par loan lene ke baad jameen ko kheti ke liye to istemal kiya ja sakta hai. Magar us par kisi prakar ka udyog ya business nahi kiya ja sakta. Na hi usse kisi anya vyakti ko becha ja sakta hai.
इसे भी पढ़े – Aadhar Card Se Paise Kaise Nikale | आधार कार्ड से पैसे कैसे निकाले?
खेती की जमीन पर लोन कैसे ले? एक (1/१) बीघा जमीन पर कितना लोन मिलता/ मिल सकता है?
Kheti ki jameen par loan lena krishi loan ka hi ek prakar hai. Krishi loan sabhi banko dwara diya jata hai. Jiske liye pratyek bank ki byaj dar alag alag hoti hai. Byaj dar kisi bhi loan ka pramukh karan hoti hai.
Isliye aapko sahi bank ka chunav karna bahut jaruri hai. Banko ke loan dene ke mapdand bhi alag alag hote hai. Isliye aapko pehle ye tay kar lena hai ki aap kis bank se loan lena chahte hain. Niche kuch banko ke dwara di jane wale property loan byaj dar kramash hai।
भारतीय स्टेट बैंक
Bhartiya State Bank 8.80% se 9.65% prativarsh ki dar se byaj leta hai.
Bhartiya State Bank ke dwara processing fees 0% prativarsh se lekar 1% prativarsh rin kul rashi ka liya jata hai.
ICICI Bank
ICICI bank ki byaj dar 9.6% prativarsh hoti hai.
Yadi baat kare processing fee ki to 0.5% prativarsh se 4% prativarsh kul rin rashi par li jati hai.
IDBI Bank
7% prativarsh aage bank ke vivek par
Indusind Bank
Indusind Bank 10% prativarsh byaj dar
Processing fees rin rashi par 1.25% +GST
Central Bank Of India
13.25% prativarsh byaj dar
Processing fees tay nahi.
Hum aapko salah dete hai ki jiss bhi bank se aap loan lena chahte hai. Ya to uski official website par jakar jankari prapt kar le. Behtar to yah hota hai ki kisi bhi prakar ka loan lene ke liye ya loan se sambandhit jankari ke liye bank shakha se sampark kiya jaye.
Iske alawa banko ki byaj dar samay samay par badalti rehti hai. “खेती की जमीन पर लोन कैसे ले? एक (1/१) बीघा जमीन पर कितना लोन मिलता/ मिल सकता है”
इसे भी पढ़े – Mahila Loan 30000 Scheme 2021 | Mahila Samridhi Yojana
खेती जमीन पर लोन लेने के लिए आवश्यक दस्तावेज
Dosto, kisi bhi bank se loan lene ke liye humko kagzi prakriya se gujarna padta hai. Kai baar bank ki kagzi prakriya bahut hi pechida hoti hai. Aur avedankarta ke pas sahi jankari na hone ke karan banko ke kai chakkar lagane padte hain.
Aise mein behtar hota hai ki aap ko pehle se hi aavashyak dastavejo ke bare mein pata ho. To dosto, baat karte hain ki kisi bhi bank se kheti ki jameen par loan lene ke liye kon se avashyak dastavejo ki jarurat hoti hai. “खेती की जमीन पर लोन कैसे ले? एक (1/१) बीघा जमीन पर कितना लोन मिलता/ मिल सकता है”
- Aavedan Patra (form)
- KYC
- Bhoomi/ sampatti dastavej
- Suraksha PDC
- Rindata dwara mange jane wala anivarya koi anya dastavej jaise:
Pehchan Patra, Ration Card, Aadhar Card ityadi.
जमीन पर लोन कैसे ले? खेती की जमीन पर लोन कैसे ले? How to apply for a land loan?
Jaise ki humne aapko pehle bhi bataya ki jameen par loan lene ke liye aapko najdiki bank shakha mein jakar tamam jankariyan ekatrit karni padegi. Uske baad aapko bank mein application form bharna hoga.
Jisme aapko avashyak dastavej lagane honge. (Aavashyak dastavejo ki list hamne upar bata di hai.) Iske baad aapko apna application form bank mein jama kar dena hai. Application form jama karne ke baad bank aapki application ki satyata par jaanch karta hai.
Ho sakta hai ki bank ka agent aapki jameen ki tehkikat karne bhi aaye. Yah ek lamba process hota hai, jisme kai din lag sakte hai.
Yadi bank ko aapke dwara di gayi jankari sahi milti hai. To bank aapke loan ko swikriti de deta hai. Loan rashi aapke khate mein hi daal di jati hai. Aur aapko phone call ya message ke jariye loan rashi ke baare mein bata diya jata hai. Iss prakar aap jameen par loan lene ke liye avedan kar sakte hai.
Bank loan rashi aapke khate mein dalne se pehle hi aapko byaj daro ke bare mein saaf taur par jankari de deta hai. Iske sath hi anya shulk jo processing ke taur par liye jate hai. Uske bare mein bhi puri jankari di jati hai.
इसे भी पढ़े – Pan Card Se Loan Kaise Le | पैन कार्ड से लोन कैसे लेते हैं?
एक (1/१) बीघा जमीन पर कितना लोन मिलता/ मिल सकता है?
Dosto, Bharat ke adhiktar kisaan chote kisaan hai. Aur Bharat mein kheto ka aakar bhi chota hai. Aise mein adhiktar logon ke pass ek ya do bigha jameen hi hoti hai. Yadi aap ek bigha jameen par loan lena chahte hai. To 1 bigha jameen par aapko kitna loan mil sakta hai.
Aaiye dosto jante hai ki 1 bigha jameen par kitna mil sakta hai? Darasal loan rashi jameen ki location par bhi nirbhar karti hai. Jaise ki yadi jameen kisi shehar mein hai to jameen ki kimat bhi jyada hogi.
Yadi jameen kisi gaon mein hai to jameen ki kimat shehar ki jameen ke mutabik kam hogi. Isi aadhar par yadi aap ki jameen road ke sath lagti hai, to jameen ki kimat adhik hoti hai. Aur gaon ke andar ki taraf jameen ki kimat kam hoti hai.
Koi bhi bank aapki jameen ki kimat ka lagbhag 80% loan deta hai. Maan lijiye aapki jameen ki kimat 30 lakh rupaye hai, to aapko lagbhag 18 lakh se lekar 24 lakh rupaye tak ka loan mil sakta hai. “खेती की जमीन पर लोन कैसे ले? एक (1/१) बीघा जमीन पर कितना लोन मिलता/ मिल सकता है”
Magar ek baat dhyan rakhni chahiye, ki pratyek rajya mein ek bigha ka aakar saman nahi hota hai. Jaise ki Assam mein ek bigha ka aakar 14400 square feet hota hai. Aise hi,
- Gujarat – 17427 Square feet
- Bihar – 27220 Square feet
- Haryana – 27225 Square feet
- Himachal Pradesh – 8712 Square feet
- Jharkhand – 27211 Square feet
Note: Ek bigha ki sankhya (Square feet) mein
Dosto,umeed hai ki ab aapko ek basic idea mil gaya hoga ki aapko ek bigha par kitna loan mil sakta hai.
इसे भी पढ़े – Google Pay Loan Kaise Le in Hindi | Google Pay Loan कैसे देता है?
Conclusion (एक बीघा जमीन पर कितना लोन मिल सकता है)
Dosto, aaj ke iss article mein humne jana ki “खेती की जमीन पर लोन कैसे ले? एक (1/१) बीघा जमीन पर कितना लोन मिलता/ मिल सकता है” Sath hi sath hamne jana ki ek bigha jameen par kitna loan mil sakta hai. Iss article mein humne jana ki kis prakar aap kheti ki jameen par loan ke liye kaise apply kare.
Sath hi sath humne ye bhi jana ki kheti ki jameen par loan ke liye kya kya dastavej jaruri hote hai. Iss post mein humne kheti ki jameen par loan ke vibhinn pehluyon par vichar kiya aur aapko kheti ki jameen par loan ke bare mein bataya. Yadi ab bhi koi aisi baat ya sawal hai jiska aapko jawab nahi mila ho to aap comment section mein bata sakte hai.
Iske alawa jameen loan se sambandhit tamam jankariyan humne aapko iss post me di hai. Agar aapko hamari post pasand aayi ho aur aapko lagta hai ki yah jankari aapke kisi dost ya rishtedar ko labh pahuncha sakti hai. To usse iss post se jarur avgat karaye. Post ko dosto ke sath share kijiye. Aur comment karke jarur bataye ki aapko yah post kaisi lagi.
Anya vibhinn prakar ki loan se sambandhit jankariyan hamari website par uplabdh hai, jaise ki krishi loan, home loan, personal loan, online aur offline di jane wali vibhinn prakar ki jankari isi website par di hui hai. Aap anya loan ke bare mein bhi hamari website ke madhyam se jaan sakte hai.